webnovel

The black moon

Ar_Sh · ファンタジー
レビュー数が足りません
19 Chs

chapter: 10 confusion

Shyra bhi thode samay ke baad class se nikal jaati hai aur library mein chali jati hai.. aur vo wahan par Abeer ko dhoondhti hai, par Abeer usse kahin bhi nhi dikhta.. vo poori library mein ghoomti hai... Abeer ko wahan na dekhte huye vo canteen mein chali jati hai.. par Abeer wahan par bhi nhi tha.. uske baad Shyra ko boht gussa aata hai... ke kahin vo Nayra ke paas toh nhi chala gya hoga?

Ab Shyra, Abeer ok poore college mein dekhna shuru kar deti hai... har class, auditorium, labs, gardens, verandas mein...

Par Abeer kahin nhi nhi tha..

Ab uses Abeer ke milne ki koi umeed nhi thi.. par fir bhi vo ek aakhiri hope lekar terrace par chali jati hai.. wahan par aur bhi kayi bache the...

Aur unhi mein se Abeer bhi wahin par khada tha...

Shyra ko thodi tasalli milti hai... ab vo usse compell karne ke iraade se uske paas jaati hai..

Shyra: hello!!! Abeer

Abeer usse koi jawaab nhi deta bas sir hila deta hai...

Shyra: tum itne din college kyu nhi aaye??

Abeer uski taraf ajeeb sa dekhta hai...

Shyra: (ghabraahat mein) mera mtlb!!!

Ke tum toh roz hi aate the.. aur class mein sabhi professor tumhe yaad karte the...

Iss liye poocha...

Abeer: It doesn't matter

Shyra ko Abeer ka yeh tareeka acha nhi lagta... ke vo itne pyar se usse bula rhi hai.. aur Abeer itne rude tareeke se baat kar rha tha...

Jab Abeer, Shyra ki taraf dekhta hai toh.. vo usse compell karne ki koshish karti hai...

Par Abeer beech mein hi bol deta hai... "tumahari aankhon ko yeh kya ho rha hai??"

Kabhi size badh rha hai, kabhi kam ho rha hai...

Shyra ko boht ajeeb lagta hai.. kyon ke Abeer par compelling ka koi asar nhi ho rha tha..

Shyra: nhi tumhe aise hi lga hoga!!!

Abeer usse ignore karta hai...

Shyra ko aur koi bhi idea nhi aa rha tha.. ke vo kya karre!!!! Abeer insaan tha fir bhi uspar koi asar nhi ho rha tha!!!! Abeer wahan se jane lagta hai.. toh Shyra ko na chahte huye bhi Nayra ka zikar karna padta hai.. ke shyed Abeer usse baat karre...

Shyra: tum Nayra ko jaante ho!!! Haina..

Abeer sch mein hi rukk jata hai..

Abeer: han!! Tumhe kaise pta??

Shyra: han... vo meri choti behan hai.

Abeer: ohhh !!

Shyra:(confirm karne ke iraade se) han, vo mujhe bataa rhi thi ke tumne usse purpose kiya tha?

Abeer: han!!

Thodi line maarne ki try kar rha tha...

Kyu koi problem hai?

Shyra: (bura feel karte huye) nhi, nhi...

Toh Nayra ne toh manaa kar diya hoga!!

Abeer: han..

Shyra: tob ab kya karoge?

Abeer: dubara koshish karoonga...

Shyra: (gusse mein) dubara?

Abeer: han... dubara..

Shyra: kyu?

Abeer: kyon ke vo mujhe achi lgi..

Shyra: acha!! Tumhe kaisi ladkiyan pasand hain??

Abeer: jaisi tumhari behan Nayra.. hai.. bilkul vaisi..

Shyra ko boht jada gussa aata hai..

Par vo kaise na kaise control karti hai..

Shyra: agar co fir na mani?

Abeer: toh is mein kya hai!!!

Kabhi toh manegi...

Shyra ko ab sach mein hurt ho rha tha...

Shyra: nhi Abeer !! Vo kabhi nhi manegi..

Abeer: kyu?

Shyra: kyon ke vo kisi aur se pyar karti hai...

Abeer:(gusse mein) hey!! Listen

Tumse is liye yahan khade hokar baat kar rha hoon kyon ke tum Nayra ki behan ho!!! Varna main tumhare jaisi ladkiyon ki taraf dekhna bhi pasand nhi karta...

Tum mujhse aur mere matter se door rho toh acha hai!!

Main Nayra ko pyar karoon chahe nafrat!! Tumhe usse koi farak nhi padna chahiye...

Aur tum samjhti kya ho khud ko!!

Tumhe toh main ache tareeke se jaanta hoon...

Rhi baat Nayra ki... toh jhooth bolne ki koi zaroorat nhi hai..

Mujhe pta hai vo single hai..

Toh meri baat mein taang mat adaao

Jaakar koi aur ladka dekho!!

Kyon ke mujhe tumme koi interest nhi hai...

Now get out!!!

Shyra ko yeh sari baatien sun kar boht zada gussa aata hai...

Vo Abeer ko khatam kar dena chahti thi.. par aas-paas itne log khade the ke vo rukk jati hai...

Aur bina kuch kahe wahan se toh chali jati hai...

Par usne mind mein tareeka dhoondh liya tha.. ke Abeer ko kaise khatam karna hai..

"Uski himmat kaise huyi, mujhe yeh sab bolne ki!!!

Zaroor yeh uss Nayra ki harkat hogi..

Usse toh meri khushiyan bardaashat nhi hoti..

Par ab yeh sab sunne ke baad main Abeer ko nhi chod sakti...

Usse toh marna hi hoga..

Kyon ke usne mere character par swaal uthaya hai..."

Shyra boht gusse mein thi...

Jab Abeer college ke corridor se jaa rha hota hai.. toh.. Shyra usse power se bathroom mein kheench Leti hai... aur door andar se lock kar deti hai...

Shyra: han!! Toh kya bol rhe the...

Mere jaisi ladki...

Tum jaante nhi ho ke main kaun hoon...

Ab tumhe marna hoga..

Kyon ke tumne mere pyar ka mazzak banaya hai.. aur yeh mujhe bilkul bhi sehan nhi hota.

Tumse baat karke realize huya.. ke tum toh mere pyar ke kabil hi nhi ho..

Toh ab maro!!!

Shyra yeh kehkar uski gardan par bite karti hai toh.. uski khud ki body mein hi poison jaisa usse feel Hota hai.. aur vo Wahin rukk jaati hai..

1 mintue ke baad usse Ghutan mehsoos hone lagti hai..

Jaise koi uska gala Dabaa rha ho.. usse weakness mehsoos hone lagti hai.. aur vo neeche hi gir jati hai..

Abeer uski yeh haalat dekhkar hasne lag jata hai...

Abeer: tum sach mein boht dumb ho!!

Itni si bhi akal nhi hai tumme!!

"Is liye main tumahari jaisi ladkiyon ki or dekhna bhi pasand nhi karta"

Ab yhi par tum maro!!

Yeh kehkar Abeer wahan se Hasta huya chalaa jata hai...

Shyra wahin par behosh ho jati hai..

Doosri or Abhi..

Sari mystery ko suljhane mein lagaa tha..

Par usse kuch pta nhi chal rha tha. Kyon ke koi bhi uss topic par baat nhi karna chahta tha..

Toh abhi ko boht bura feel hota hai..

Ooper se Nayra bhi gayab thi..

Abhi aaj phir.. uske ghar chalaa jata hai..

Par jab ghar ke main gate ki door bell bajane lagta hai toh.. usse ek current lagta hai... vo dubara try karta hai.. dubara bhi yhi hota hai..

Abhi samjh jata hai.. ke iss gharwalon ne apne hi ghar par magic kiya hai.. tan ke koi andar na jaa sake.. mtlb Nayra safe nhi thi...

Fir abhi Abhi, Nayra ke kamre ke neeche khada ho jata hai.. aur khidki par koi kankar utha kar

maarta hai... par andar se koi jwaab nhi aata..

Vo dubara fir yhi karta hai...

Par koi asar nhi hota..

Toh Abhi Wahin par baith kar intezaar karne lag jata hai... ke jab Nayra usse dekhegi.. toh vo khud hi bahar aa jayegi...

Aise hi 1 ghanta beet jata hai..

Aur achanak se Nayra ke papa ghar se bahar nikal rhe the.. toh Abhi Wahin side par chup jata hai.. aur vo chale jate hain...

Abhi fir se baith jata hai, aur aadhe ghante ke baad uske papa vapis aa jaate hain.. unhone ne Shyra ko apni bahon mein utha rakha tha.. aur vo behosh thi...

Vo usse ghar ke andar le jate hain...

Abhi kafi hairaan tha...

Yeh sab dekh kar.

Nayra ka pta nhi chal rha tha, aur uski behan behosh thi...

Uske Maa aur papa ne ghar pe magic kar rakha tha.. .sb ajeeb tha..

Jaise hi vo Shyra ko bed par letaa te hain... toh Evaa check karti hai ke kya ho gya isse??

Toh unhein pta chalta hai ke Shyra ke khoon mein zehar aur vervain hain!!!

Yeh soch kar unhein boht hairaani hoti hai..

Ke aisa kaise ho sakta hai?? Aur vo zehar koi maamooli nhi tha.. jo zehar wolves mein paya jata tha.. yeh whi tha..

Evaa, Shyra ko ek jadi-booti ka misharan bna kar usse pilaati hai...

Jiska asar 2 ghante ke baad dikhta hai.. aur Shyra ko final Hosh aa jata hai..

Evaa: yeh kaise huya???