Shyra mein itni power nhi thi ke vo bol sake...
Toh vo chup hi rehti hai...
Evaa bhi samjh jaati hai.. aur vo usse aaraam karne ko bol kar chali jati hai..
Doosri or Nayra !!! Subah se aise hi leti rehti hai.. aur pta nhi kya soch rhi thi...
Evaa ko khushi hoti hai ke Nayra par uska asar ho gya...
Varna toh Nayra ne usse maar hi dena tha..
Aur Abhi bahar hi baitha tha..
Ab toh shaam ho gyi thi...
Aur Abhi ki umeed bhi toot chuki thi.. toh vo wahan se jaane hi lagta hai...
Par tabhi khidki ke khulne ki awaaz aati hai..
Aur vo Nayra ne hi kholi thi...
Abhi, Nayra ko dekh kar boht khush hota hai..
Par Nayra ke chehre par koi reaction nhi tha..
Abhi usse neeche aane ko bolta hai..
Par Nayra uski taraf dheyaan nhi deti....
Abhi ke kafi baar kehne par finally vo neeche aa jaati hai..
Abhi usse gale lgaa leta hai, par Nayra usse door fenk deti hai...
Abhi ko Nayra ka behavior shi nhi lagta...
Abhi; kya ho gya hai tumhe!! Aise kyu behave kar rhi ho?
Nayra: mujhe kya hona hai..
Par tum kaun ho??
Abhi ko boht hairaani hoti hai.. ke Nayra usse bhool gyi!!!
Abhi: main Abhi, tumhara dost..
Nayra: par mera toh koi dost nhi hai..
Abhi: yaar hum abhi toh.. dost bane the... tum mujhe bhool kaise sakti ho?
Nayra: tum mere dost nhi ho..
Fir Abhi, Nayra ki aankhon mein dekhkar samjh jata hai ke.. usse compell kiya gya hai.
Abhi: Nayra 2 mintue meri aankhon mein dekho...plzzz
Nayra uski taraf dekhti hai..
Par us par koi asar nhi hota!!
Abhi boht hairaan tha...
Ke aisa kaise ho sakta hai...
Par ab vo aur kuch nhi kar sakta tha..
Kyon ke Nayra ko vo yaad hi nhi tha
Jo bhi unki baatein huyi thi.. sab!!!
Abhi usse yaad dilaane ki koshish bhi karta hai par koi asar nhi hota...
Toh Abhi wahan se dukhi hokar chala jata hai..
Kyon ke Nayra usse ignore kar rhi thi..
Nayra kuch samay wahan khade rehne ke baad jungle mein chali jaati hai.. aur jheel ke paas jaakar baith jaati hai..
Aur yaad karne ki koshish karti hai.. ke kya huya tha uske sath?, kisne hamla kiya hoga?
Par usse kuch yaad nhi aa rha tha..
Vo boht preshaan thi.. vo Abhi ke bare mein bhi soche lagti hai.. ke vo kaun tha? Mera dost kyu ban rha tha??
Aur aise hi raat ho jati hai...
Evaa ko ab koi fikar nhi thi.. kyon ke Nayra poori trah uske vash mein thi..
Nayra bhi ghoomte-ghoomte jungle ke end point par aa jati hai.. jahan se lohe ki taar vala jungle shuru hota tha.
Vo Wahin par khadi hokar.. uss jungle ki or dekhti rehti hai..
Aisa vo bachpan mein bhi karti thi..
Jab bhi usko kuch samjh nhi aata tha.. toh yhi par aakar khadi ho jati thi.. aaj bhi yhi haal tha..
Nayra khud ko uss jungle se judaa huya mehsoos karti thi.. par usne kabhi yeh baat kisi ko nhi kahi thi... kyon ke sab log iss jungle ko aur iske vampires ko dushman samjhte the...
Nayra ko wahan khade boht samay ho gya tha..
Achanak hi uss jungle ki taar ke paas ek Wolf aa jata hai..
Nayra usse boht dheyaan se dekhti hai.. vo wolf hi tha.. aur vo Nayra ki taraf shanti se dekh rha tha..
Jab Nayra uske paas jaane lagti hai toh, vo chalaa jata hai...
Nayra usse awaaz bhi lgaati hai.. par vo uss kohre mein hi gayab ho jata hai..
Nayra ko acha mehsoos hota hai, kyon ke pehli baar aisa huya tha ke koi wolf usse dekh kar gusse mein nhi aaya..
Varna aaj takk usse jitne bhi wolf mile the.. bas unse ladayi hi huyi thi, kabhi Nayra ko chot lag jati thi, kabhi uss wolf ko..
Wolves aur vampires ek doosre ko pasand nhi karte the... specially Nayra ke jungle ke wolves.
Kafi raat ho jane ke baad Nayra ko khoon peene ka mann karta hai.. aur vo jungle se bahar road par kisi insaan ke aane aa intezaar karne lag jati hai..
Par afsos el ghante ke intezaar ke baad bhi wahan se koi nhi guzrata, Nayra ko thoda gussa aata hai.. par vo ghar chali jati hai..
Aur poori raat khidki se bahar aasmaan ke chaand ko hi dekhti rehti hai...
Vo khud mein khud ko hi khoyi-khoyi mehsoos kar rhi thi.. usse aaj kuch bhi acha nhi lagaa.. vo bhi preshaan thi, Kyon ke vo kabhi nhi aisi nhi thi..
Usse kuch samjh nhi aa rha tha.. ke vo thaka huya kyu feel kar rhi thi..
Aur aise hi sochte sochte agla din shuru ho jata hai...
Vo din bhi Nayra ke liye aise hi guzarataa hai..
Par Shyra ki haalat ab theek thi...
Vo apni Maa ko Abeer ke bare batati hai.. aur jo bhi bathroom mein huya vo bhi..
Uski Maa jada hairaan nhi thi.. usse pehle se hi lag rha tha, ke yhi huya hoga..
Shyra ko thoda bura lagta hai ke uski Maa ko koi farak hi nhi padaa.
Toh uski Maa batati hai.. ke Shyra maana ke hum Insaano ke beech rehte hain.. par unhein bhi hamare bare mein poori knowledge hai.. zaroor iss Abeer ko tumahare bare mein pta hoga iss liye jab tumne uska khoon peena chaha toh usmein vervain tha..
Mtlb yeh ke Aaj-kal Insaano ki mautein ho rhi hain toh shyed vo apne bachaav ke liye vervain ko sath rakhte honge..
yahan par vo Shyra ko poison ke bare mein nhi batati aur vo khud Abeer ko milkar iske bare mein jaan-na chahti thi..
Shyra ko ab bhi acha nhi lag rha tha.. aur usse Abeer par gussa bhi aa rha tha, kyon ke vo uss par hasaa, aur usse aise hi marne ko chod kar chalaa gya tha...
Par idhar Nayra ki zindagi mano rukk hi gyi thi.. ek din, do din, ek hafte se do hafte...aur ab yeh teesra hafta bhi uska aise hi jaa rha tha...
Usse kuch samjh nhi aa rhi thi ke uske sath ho kya rha tha.. sara din aise hi baithe rehna.. bas raat ko bahar niklna. kyon ke uske paas uski power ring nhi thi...
Vo bas jungle ke end point par khadi ho jati thi.. aur vo wolf ke aane ka intezaar karti thi.. par uss din ke baad vo kabhi aaya hi nhi..
Abhi bhi uske baad Nayra se milne nhi aaya...
Aur Shyra jab bhi college jati thi toh Abeer usse kabhi milta hi nhi tha.. jis wajah se Evaa bhi Abeer se nhi mil payi..
Akhir aise hi sabke din beet the the...
Aur finally itne intezaar ke baad.. vo din aa gya tha jiska Evaa ko itne samay se intezaar tha..
Aaj ek mahina ho chuka tha aur aaj ke din hi mystic ke doosre jungle mein sabhi vampires ka function tha..
Jaise hi shaam honi shuru hoti hai.. Evaa, Nayra ko tyar hone ko bol deti hai..aur usse uski power ring bhi wapis kar deti hai...
Aur vo Nayra ko sath lekar nikal padti hai..
Vo dono mystic ke doosre jungle ke entry point par pauhnch jati hain...
Jaise hi Evaa andar kadam rakhti hai toh.. usse ek jhatka sa mehsoos hota hai.. par fir bhi vo andar chali jati hai.. aur uske peeche Nayra chali jati hai, Nayra ko toh kuch bhi mehsoos nhi hota.
Vo dono kafi door takk jati hain, aur unko jashan ki awaazien aani shuru ho jati hain..jaise hi vo jashan takk jati hain toh vo jagah boht badi thi, sir wahan par boht sare vampires the..jin mein se sabke libaas allg allg the.. mtlb vo sab door door se aaye the, sir wahan par sabhi vampires apne-apne jhundh ki taraf se ek naritaya Pesh kar rhe the.. sab jagah boht raunak thi.. aur aaj toh amaavas ki raat thi.. mtlb black moon...
Sabhi vampires boht khush lag rhe the, Evaa unko dekh kar sarcastic si smile karti hai aur sochti hai.. "has lo!! Aaj hi ki toh hai... baad mein hamesha pachtaoge....
Jo mere sath tum sab ne kiya hai, uski sazaa toh mil kar hi rahegi!!"
Aaj main kisi ko nhi nhi chodoongi...
Nayra toh aise hi anjano ki trah sabki taraf dekh rhi thi.. usse kuch nhi idea nhi tha ke yeh sab kya ho rha tha...