webnovel

MERA KRAM ek kahani

ye kahani apne kram ki hai ek ghamandi larki ki hai jo bachapan se hi apni khubsurti par ghamand tha o bachapan se na kabhi puja patha karti or na kabhi kisi se aachi bolti thi sada dusro ko nicha dikhana or khud ko mahan sabit karna hi uski jivan thi o bachapan se bari ho gayi par uska kram nahi badala bare hone par uska vivah ak aache ghar me ho jata hai uske sasural me bhi uski ohi aadat rah jati hai kam km karti tane jada deti uski boli yesi thi ki sunane wale ki aatama bhi dukhi ho gaye dhire dhire uska jiwan asehi bitane lagata hai uske bache huye bacho ki bhi Sadi ho gai bahu ghar ko aai sas ko aama bolti thi par aama karbi boli bahu ko pasand nahi aati to wah aama ko puja patha karne or man ko sant rakhane ke liye kahati par aama par uski bato ka kai asra nahi hota tha parosiyo se uski kabhi nahi banti thi ghar par bhikari aaye to use char bate sunakar bhaga deti aama ke pati bhi sansar chor chale par aama ne apna sabhav nahi chore bhagavan ko gali deti or char dosh nikalti bhagavan ko kosati rahati aama parti din bhagavan ko gali deti or logo ke man ko dukhi karti oh budhi ho gai chalana phirana band ho gaya lekin aadat nahi badala ab kahati ki bhagwan mujhe mait bhi nahi dete hai sara dukh mere liye hi rakha hai ye kahar o phir bhagavan ko gali deti. phir bhagavan uske sapane me aaye or kahe o aama bure karm chhor Ku nahi deti ho taki tujhe mukati mil jaye to aama kahati hai mere pati ne kain sa puny karke gai hai ki mai karu tab bhagwan ne kaha tere pati jab ghar se bahar jate the to kai baar kuch logo ki madat ki thi jaake duaa se use mukati mil gai ab to bure karm chhor de or ram ram kah phir aama ka sapana tutata hai phir se wah bhagwan ko hi char bate sunati hai aama apni aadat nahi badali or unki jivan kathin hoti gai phir ek din aama ki murti ho jati hai or wah bhagwan ke ghar chali gayi bhagwan aama ko dekhakar muskurane lage or aama jor jor se rone lagi to bhagwan ne kaha ab Ku ro rahi ho sari jidagi tumane dusro ko rulaya hai or mujhe gali diya hai iske alawa kya kiya hai aama batao hame ab rone se kuch nahi hoga to aama or jor jor se rone lagi hai or kahati hai ki hame maph kor do to bhagwan ne kaha aama tune mujhe gali di ise mai maph kor du lekin tumane dusaro ke man ko jo dukh diya hai uska hisab to dena hoga phir mapdand aate hai or aama ke karmo ka hisab karne lage to aama ke char tihai karm the jisame ek tihai bhagwan ko gali di thi to teen tihai logo ke man ko dukh diya tha tab bhagwan ne apne ek tihai karm se aama ke ek tihai karm kat dete hai or kahate hai ki tune mujhe sari umar gali di hai par uske sath hi mera name bhi liya hai isliye mai tere do tihai karm kat dete hu par tujhe apne do tihai karm ka hisaab dena hoga phir mapdand ne aama ke do tihai karm ka hisaab nikala jo itana tha ki aama ko teen janamo tak sadhana hoga agar phir tune bure karm kiya to tere karm or bar jayege . phir aama kahati hai ki ek janam ke karmo ka hisab teen janamo tak Ku bhagwan kuch aisa kariye ki ek hi janam me ye hisab samat ho jaye tab mapdand ne kaha dekh aama ek hi janam me ye pure karm to samat ho jayege par tera jiwan bahot hi dukhad hoga ek aang se hin rahogi na rup hoga or na jiwan me dukha hoga tumara karm tumare pati or beta ke rup me janam lege par sukh tume nahi hoga sari jiwan dukh se bitega bolo thik hai aama ne bina soche ha kar di phir aama ka dusra janam huaa aage ke kahani mere karm 2 me hai

mera kram

Rks_Sonicreators' thoughts