Roy classroom chhod ke ja chuka tha.
Uss paagal aurat ke kaaran uske sar mein dard ho raha tha. 🤕
Usne apne maathe ko ragda.
Usne apni bayi jeb mein haath daala jahan system dwara diya hua black card usne rakha tha.
Haan, 100 million won bahut zyada nahi hai.
Lekin korea ki vartaman sthiti ko dekhte hue.
100 million won mein ek aalishan ghar kharida ja sakta hai. 🛖
Roy ko pachhtava to iss baat ka tha ki usne time travelling karne se pehle wining lottery ke numbers kyon nahi yaad kar liye the.
Ya korea ke stocks ke baare mein hi thodi bahut padhaai kar leta.
"Yeh 15 February 1995 hai. March mein, real estate market mein badi halchal hogi."
Roy ko yaad tha ki usne korea building bubble case ke baare mein padha tha.
Stock market mein hui girawat ko apni aankhon se dekha tha. 📉
March 1995 mein, korean sarkar ne zameen aur sthaniya gharo ki keemto ko badhana shuru kar diya tha..... 🚪
Bilkul, sab kuch pehle se planned tha.
Lekin natiza yeh hua ki sirf ek hi mahine baad developers ne bhi building's bechna band kar diya. { Ek limit laga di ki itne hi bech sakte hai.. }
Kuchh hi samay mein makaan ke daam aasman chhune lage.
Kharidu ya nahi kharidu kuch log isi soch mein doobe reh gaye. 🤔
Isi ka fayda uthate hue kayi sattebaaz zameen aur ghar kharidne lage.
Jiske kaaran do hi mahino mein zameeno ke daam teen guna aur badh gaye.
Isliye Roy ko filhaal jitni ho sake utni punji zama karni chahiye.
Waise bhi korea mein ek se zyada sampatti hona kanunan jurm toh hai nahi. 👮
Ghar kharidne ke liye loan bhi kaafi aasani se mil jaata hai. woh bhi kaafi byaaj dar par.
Iske baare mein sochte hue,
Roy muskuraya aur apne sar ko hilaaya.
"Bilkul sahi, duniya mein punji wahi hai, aur sirf gareebon ke jeb se kuch sikke nikalwaate hai."
Chalte hue, Su Mingyu ne apni jeb ko mehsoos kiya.
"Bilkul sahi, duniya ke sabhi punjivaadi ek jaise hi hai, jo sirf gareebo ke jeb se paise nikalna jaante hai."🗽
Chalte-chalte Roy ne apni jeb mein haath daala.
Lekin, kaafi der tak dhundne ke baad bhi.
Usey woh shaandar banawat waali Centurion Black Card mehsoos nahi hua.
Kuch toh gadbad tha.
Woh sochne laga ki usne aakhir apna Centurion Black Card kahan khoya hoga.
Thodi der sochne ke baad usey ehsaas hua ki usne apna card Han Nari se thakrav ke dauraan khoya hoga.
Tab woh uss centurion card ke saath khel raha tha.
Roy ne khudko ko ek joro ki thappad maari. 👋
Phir woh us jagah ki taraf bhaagne laga jahan woh Han Nari se takraya tha.
Usey samajh nahi aa raha tha ki aakhir uski kismat itni kharaab kaise ho sakti hai ki subah subah uss paagal aurat Han Nari se takrana pada. Woh mardon ko dasne waali saanp hai saanp. 🐍
School ke gate par pahunchkar, Roy security room ki taraf badha.
Usne security guard se puchha ki kya koi khoya hua bank card jama kara gaya hai.
Security guard ne baar-baar apna sar na mein hilaya.
Roy dhyaan se gate ke Charon or card ki khoj karne laga. 🕵️
Lekin kaafi der tak dhundne ke baad bhi usey woh card nahi mila.
Achanak ek chhote aur kamzor haath ne uska kandha thapthapaya.
Roy ne apne kandhe ko hilate hue adhirata mein jawaab diya-
"Dikhaai nahi deta ki mai kuch jaruri cheez dhund raha hu?! Mujhe abhi pareshan matt karo!"
Phir Roy ke kaano mein ek pyaari aawaz sunaai di.
"Hey! Kya tum isey dhund rahe ho?"
Roy iss aurat ki aawaz ko achhi tarah pehchanta tha.
Aakhir isi aurat ke kaaran uski yeh haalat thi.
Uske baare mein sochte hi Roy itne gusse mein aa gaya, maano jaise abhi woh iske saath.... 🤤
Woh turant uth khada hua. Usne gusse se kaha-
"Kya tumhe dikhaai nahi de raha..."
Lekin jab woh apni baat kehne hi waala tha ki usne uss aurat ki haathon mein kuch dekha.
Uss aurat ki haathon se usne uss card ko apni haathon mein liya.
"Haan, yeh mera hai!"
Yeh dekhkar Han Nari ki aankhon mein ek chalaki bhari chamak uthi.
"Kaise sabit karoge ki yeh bank card tumhara hai? Agar tum nahi sabit kar sake, toh mai yeh bank card tumhe nahi dungi!"
Roy ka dimmag khisak raha tha.😑
"Mere saath ATM chalo. Mai paise nikaalkar dikhata hu. Tab toh sabit ho jayega na?!"
Han Nari ne apna sar na mein hilaya.
"Mere saath mall chalo, meri payment tum karo. Agar payment safal rahi toh mai maan laungi!" 💃
--------------------------------------------------
Namaskar mitron 🙏🙏 Mai aapka translator Zaraki laut aaya. Waise der aaya durust aaya.
Khair Weekly 1-2 chapters upload kar diya karunga. Toh comments, share aur Powers stones 😁😁😁😁
Dhanyawad mitron Aur जन्माष्टमी की हार्दिक शुभकामनाएं। राधे राधे। 🦚🙏🙏