webnovel

Chapter 17

Ruhan Vani ke home place pe subha pahuch jata hai. Vani ki mom shop open karne ki tyari kar rahi hai. Ruhan Vani ki mom ko aakar greet karta hai.

"Hello Aunty... "

"Hello.... Dear "Vani ki mom khushi se Ruhan ko dekh kr.

"Laiye me apki help kar deta hun" Ruhan Vani ki Mom ki help karne ke liye ek box hath me le kr shop me lagane lagta hai.

"Don't worry beta main kar lungi...roz ka kam hai...tum preshan mat ho...jao....Vani se milne, Uske ke room me....mujhe pata hai, tum usi ke liye aaye hoge" Vani ki mom Ruhan ko kam karne se rokte huye.

"Actually, Aunty... Vani ko mujhe apne sath.... Wedding dress check karwane le jana hai.." Ruhan

"Oh... acha acha... pata hi nahi chala... itni jaldi time beet gaya, aur shadi ki date bhi paas aa rahi hai" Vani ki mom emotional hote huye. "Jao jao...Vani ke room me... Vani wahi hogi"Vani ki mom Ruhan ko bhejti hai.

"okay aunty" Ruhan keh kr Vani ke room me jata hai.

Ruhan Room me aata hai, Room me koi nahi hota hai, Ruhan room ko charo taraf ghum kr dekhta hai, Room bahut chota hai. Ruhan Ki nazar Uper self pe rakhe ek box pe jati hai. Ruhan uss box ko utha ke open karne hi wala hota hai, Vani Bath le kr room me aati hai. Ruhan ko Uss box ke sath dekh kar, Vani jaldi se aakar Ruhan ke hath se box chin leti hai.

"Tum mera saman kyun dekh rahe ho?" Vani Hairani se uss box ko apne piche chupa leti hai.

"Kuch nhi....wo box...Tumhare pas ab bhi hai..." Ruhan Uss box ki aur ishara karte huye.

"Hmm... isme mera kuch saman hai...tum btao.... mere room me kya kar rahe ho?" Vani Ruhan se puchti hai.

"Ready ho jao....Mujhe tumhe le kar jana hai..." Ruhan

Vani sun kr apne pehne kapdo ko dekhne lagti hai, Ruhan notice kar leta hai.

"Tum ye pehan kr to nahi jaane wali na?.... kuch aur pehn kar aao.... main bahar tumhara wait kar raha hun" Ruhan keh kar room se bahar chala jata hai.

Kuch der bad,

Vani yellow color ki dress pehn kar aati hai, Ruhan Vani ko dekh kr ankhe badi karke dekhne lagta hai, Vani ki mom Vani ko dekh kr.

"Kitni pyari lag rahi hai....meri beti..."

"thank you mom..." Vani smile karti hai, aur Ruhan ke kareeb aane lagti hai.

Ruhan khud ko sambhalta hai aur ghum kar Car ki taraf jata hai, Vani Ruhan ko follow karti hai. Ruhan aur Vani car me beth jate hai.

"dono Maje karna ...." Vani ki mom hath hila kar kehti hai.

Ruhan Vani ko Wedding dress designer shop pe le kar ata hai. Wo shop dekhne me bahut expensive aur bada brand lag rahi hai. Vani charo aur dekhti hai, wahan bahut khubsurat wedding dressess hai.

"Hello Sir, Hello Madam.... please sit here " Shop ki ek worker aakar Ruhan ko Couch pe bethne ke liye kehti hai.

"Ma'am aap mere sath aaiye..." Worker Vani se kehti hai.

Vani Uss worker ke sath chali jati hai. Ruhan ke samne Coffee aati hai, Ruhan Coffee ka cup hath me leta hai aur pine lagta hai, couch ke samne paradho se dhaki ek stage hai, Ruhan coffee pee hi raha hota hai, ki wo paradha open hota hai, Samne Vani khubsurat si Wedding dress me khadi hai, Ruhan ki nazar jese hi Vani pe jati hai, Wedding dress me Vani gorgeous lag rahi hai, Ruhan ki Coffee ki sip muh se nikal jati hai aur khasne lagta hai.

"cough cough"

"Are you ok sir?" ek worker uske pas aakr

Vani Ruhan ko dekh kr aage aate huye ruk jati hai.

"I'm fine, don't worry..." Ruhan worker se keh kr Vani ko dekhta hai. apna muh tissue paper se saaf karta hai.

Vani man me sochti hai, "Shayad ye mujhpe achi nahi lag rahi "

Vani ko workers dubara apne sath le jati hai, Vani kafi sari Wedding dressess try karti hai, Ruhan Vani ko dekh dekh kr hairan hoye jaa raha hai. Ruhan ek khubsurat si dress Vani ke liye select karta hai.

"Ye....Ye achi hai... Main ise choos karta hu" Ruhan Vani ki aur point karke, Vani ne jo dress pehni hai use select karta hai.

"Ok sir... hum ma'am ki size fitting kar ke... Apke ghar deliver kar dege...."Worker

Ruhan or Vani shop se ab jaane lage hai. Ruhan Car drive kar raha hai , Vani Window ke bahar dekh rahi hai.

"Tu....tumhe wo dress pasand hai na...Jo maine select ki hai...?" Ruhan

"hmm...Han..." Vani Ruhan ki aur dekh kar ser han me hilati hai.

Kuch der dono chup rhete hai, Ruhan Vani se jhijhakte huye puchta hai.

"Tumne....Purana ghar kyun chod diya ?, yahan tak ki tumne... school transfer bhi le liya..." Ruhan

Vani kuch der khamosh rheti hai, phir kehti hai,

"Mom aur main dono chahate the ki, ek choti si shop open kare, Mom ko phir bar me kam karne ki zarurat nahi padegi...old ghar ki Location achi nahi thi...isly humne wo jagah chod di... Aur... School fees jayda thi... isi wajah se... maine school transfer le kar Affordable school join kiya..."Vani

Ruhan man me sochta hai, "Yug ne to kaha tha Vani ko school me bully kiya jata tha... isly Vani ne school choda hai."

"Tum... Graphics Designer ki pdhai karna chahati thi... Kya tumne wo ki?" Ruhan

"Nahi.... Main school se aage nahi padh pai..."Vani nazar jhuka kr kehti hai

"Kyun ...?" Ruhan hairan hoker

"humara itna balance nahi tha.... College ki fees jayda thi...aur Shop open karne ke bad, hume kafi karz dena tha... Main aur Mom mil kar mehnat karte the...tab jaa kar hum apna karz de paye... lekin tab tk bahut der ho chuki thi..." Vani nazre niche kiye hi bolti hai.

Ruhan sab sun ke kuch bolne wali halat me nahi hota. Ruhan khamosh ho jata hai.

Tabhi Vani Nazare niche kiye huye kehti hai,

"Mujhe maaf karna.... Mujh jesi Uneducated ladki.... tumse shadi kar rahi hai.... tum mujhse better ladki deserve karte ho....Maine Grandpa ko... mana kiya tha.... pr....Mujhe please maaf kar do... Contract khatam hote hi...Main Sara blame apne uper le lungi... Grandpa ko shaq bhi nahi hoga...aur Main tumhari zindagi se chali jaungi... don't worry" Vani ankho ko nam kar ke bolti hai.

Ruhan Chup chap sun Raha hota hai, Ruhan kuch kehna chahta hai, pr uska gala jese shukh gaya ho. Alfaz dab se gaye ho. wo khamosh mayush hoker bas ek bar ankhe bandh karta hai.aur ek ashu ki boond uski ankh se nikalti hai.