webnovel

Mera libass

""At Adam ki olad ham nay tum pr libass nazil Kia k tumharey kabl.e.Sharm hissoo ko dhanpay ar tumharey lea jisam ki hifazat ka zaria bhi ho """""

Jisam ki hifazat libass....libass garmio ar sardio k asraat say bachaney ka baiss hai..jis terha ka moasam hoga wesay hi labass ka ehtamam Kia jata hai...

Libass ar zeenat...jb bhi koi tehwer ya dawat hoti hai to behtreen libass ki intekhaab Kia jata hai ..Lakin kuch loag bohat faishni libass pehnetey hai ar kuch loag asey libass ka intekhaab kertay hai jis say jisam dikhai deta hai ar asa libass bay hayai ka sabaab banta hai...lakin khovsorat libhas wohi hota hai jis nay apko mukamal dhanpa ho jis may bayhayai zahir na ho rahi ho..

Adaab.e.labass. ..libass pehntey waqt sedhi side say pehnain..sedha bazoo pehlay pehnain ..phir ulti bazo pehnain..isi terha libass utartey waqt pehlay ulti side say bazo utarain bad may sedhi side say bazoo utarain..

Na mukamal libass ar ikhlaqi bighaar...shetan nay insaniat pr pehla hamla uski haya py Kia..qisa ye hai k jb khuda nay Adam ar hawa ko jannat may dakhil kiya ar hr cheaz k khaney penay ki ijazat di ar sirf aik darakht say mana Kia ..sheetan hamdard bn k aya or dono ko behkaya ar us darakht ka phal khaney py majbor kr dia ar isi galti ki waja say dono k libass inkay jisaam say utar gaiy...ar dono jannat k pattoo say apnay jisam dhanpanay lagay...jism say kaprey uternay ki waja say jannat say nikal gaiy ...is lea hamaiy bhi apney jisam ko dhanp k rakhna chahiyeh ku k haya ar perday may rehna khoda ko pasand hai ar insaan bhi mehfooz rehta hai apni ar dosroo ki nazroo may...bay haya ka na ye jahan acha hai na agla jahan acha hai.....