webnovel

Expected things

kya likhe kabhi kabhi kuch samajh nahi ata . Par likhne or kehne ke liye bahut kuch he . Mann karta he kabhi kabhi ki koi pas betha ho or bas wo mujhe sune , meri uut-patang bato ko muskurate hue bina roke toke sunta rahe . Ye dil chahta he ki life ke is umar ke padav me koi to esa ho jisse sab kuch keh sake , esa kuch jiske bare me ham sabse nhi keh sakte , esa kuch jiske bare me ham sabse share nahi karte , esa kuch kehna chahti hu ki jisse wo meri ajeebo garib bato ko sunne ke bad bhi yahi kahe or btao . Well esa kon hota he kuch time tak to samne wala sunta he par apki faltu ki bakwas ko kabtak sune , kabhi na kabhi to pakega hi . Jab me hi pak jati hu to wo bhi to insan he . Well ye to meri fantasy he ki esa ho par reality esi hoti kaha he . Par ye mann ka kya kare , kehta he sab kuch kar lo ek hi to jindagi mili he par iss budhu mann ko kon bataye ki ham ek esi duniya me rehte he jaha reality or fantasy world me jameen asmaan ka fark he . Kher apni soch ko kon rok sakta he , expected things ko sochta he jo ki unexpected he . Ab kya kahe ye mann to itna fudakta he ki kya bataye par ek dimag he jo mujhe sambhal leta he . Dimag or dil me hamesha fighting chalti hi rehti he , or in dono ke bich me me pareshan hoti rehti hu .

Kabhi kabhi mann karta he jindagi akele bitaye , dar lagta he ki koi milke agar bichad jaye to ? Par ye jindagi akele kese bitaye kisi ke hone ka ehasas karna chahta he ye dil . Iss shaksh ke sath kuch ese pal bitana chahti hu jo sirf han dono ke wo pal ho . Jisme ham dono ho hamare ehsas , hamari Yade , hamare jhagde , pyar-mohabbat , feelings-emotions sab kuch ho , or ham dono eksath ho . Par still it's a fantasy not realistic , ab kya kare dil ne to soch liya he par iss situation me bhi dimag mujhe sambhal leta he . Ye dimag reality se mujhe jod ke rakhta he . Dimag na hota to shayad har ek insan fantasy world me jee raha hota .

Bahut sare questions he apne aap se , dil se , mann se , dimag se , iss society se , har insan se , uss shaksh se or god se bhi . Questions ka kya he wo to hamesha hi rehte he . Kabhi kabhi jawab mil jate he par jaruri nahi ki har sawal jawab ka answer mile . Isme bhi apni ek khubsurati he ki sare questions ke answer nahi milte , kabhi kabhi khud bhi dhundhne padte he . Jabse hosh sambhala he sawalo ki line lagi he or ye jindagi bhar rahengi . Still ye bhi ek soch ka natiza he , jo fantasy world se hi relate karti he , reality se koso dur he . Reality kaha exist karti he or fantasy kaha exist karti he , kya sach he pata nahi . Itna pata he ki jo dikh raha he , jo mehsus ho , jo kar rahe ho , jo karna chahte ho , jo ho raha he or jo hone wala he wahi sach he . Still ye bhi to hamari ek soch he jo ham expect karte he .

Filhal me kuch karna chahti hu , par kya karna chahti hu ye pata nahi . Me to alag hi confusion me hu , or ye confusion kab tak rahegi pata nahi . Koi to ho ye confusion dur karne ke liye , koi esa ho jo khas ho mere liye or me uske liye . Are me kaha uljhi hui hu , ye uljhan kesi he , pata nahi . Still ... ye bhi ek meri soch ka hissa he .

Me apne aap se kya chahati hu shayad mujhe ye pata he , yahi ki meri life me esa insan ho jo mere sath rahe , mujhse na bichade , mujhe samjhe , mujhe sambhale , mere hone na hone se use fark pade , wo mere liye or me uske liye sab kuch rahu , etc etc ... Bas mujhe esa shaksh chaiye jise me bahut pyar karu or wo mujhe kare mujhse bhi jyada pyar .

Insan pyar ka hi to bukha he , koi agar muskura kar haske pyar se baat karta he to naraz insan ka bhi dil bighal jata he , mayus insan bhi has deta he .

Ye pyar-mohabbat bahut purani parampara he fir bhi aaj ke dour me bhi insan ise nahi samjh saka he . Kafi log isske liye aaj bhi lad rahe he . Sirf kuch log nahi , ye world bhi chahta he ki , nafrat ko hata ke pyar-mohabbat hi har jagah fele , par esa kam he . Insan nafrat me jalta he or sarvanash ki or badhta he . Nafrat se kisi ko bhi nahi jeeta ja sakta , pyar-mohabbat se hi har shaksh ka dil or dimag jeeta ja sakta he .

Still ye sab mere vichar he , ek soch he , meri thinking , Jo hamesha mere dimag me chalti rehti he . Jisko rok pana na-mumkin he . Or ye nahi bhi ruk sakti , par kuch fesle he jo me khud le sakti hu dimag se , na ki dil ya mann se . Dil ya mann ka kya kare ye to kuch bhi sochta he or karne ko kehta he , par sab kuch karna to possible nhi . Possible agar kuch he to sochna , thinking . Bas kuch bhi soch lo , sochne me kuch bhi nahi ja raha ( na kisi ko pata chale , na tumko ya kisi ko fark pade , na kisi ka nuksan ho , na embarrassing moment ho , na awkwardness ho , na society-gahr ko pata chale ) , sabse best thing he ki ... ye tumhari soch he jo tumhare tak rahegi ek fantasy world me existing ke roop me .

Kuch bhi socho it's your thinking .

Think karo or apne aap ko explore karo . Apne aap ko ek achha insan banao , ek positive thinking , positive behaviour , positive attitude , positive confidence , simplicity , positive speaking-words etc etc ke sath .

Aaj ke time me ache insano ki kami he , aap bhi ache insano ki list add ho jaye , isme koi tax nahi lagega , or sabse badi baat , acha or positive kaam karne me apka nuksan bhi he .

Iss unexpected world me kuch expected things karna koi badi baat nahi he . Kya hua agar ham thoda fantasy me jee bhi le to , par ham reality ko bhi to jee rahe he .

Unexpected things socho usme koi burai nahi , par uss unexpected things se kisi ko koi takleef ya pareshani na ho . At the last point iss ek life unexpected thinking jyada he , jise me fantasy world me dalti hu par , expected things reality ka ek hissa he . Jise har kisi ko ye samjhna he par ye har kisi ko samjh nahi aegi . Because he thoda confusing or nahi bhi .