webnovel

Do jism ek jaan

" Do jism ek jaan "

Mulakat ik parinde ki , badalon se hui ho jese !

Guftgu sitaron ki , chand se hui ho jese !

Leharo ko kinara mila ho , ya kinare ko leharo ka sahara baat alag nahi !

Phoolon ko kaate mile ho ya kaaton ko khushbu baat alag nahi !

Usko mera dil kaho , ya mujhe uski dhadkan baat alag nahi

" Dikhta nahi duniya ko magar mujhe esa lagta hai

Ki Suraj bhi ab meri Marzi se nikalta aur dhalta hai

Mausam iss samah ka abh mere chahane se bhi badalta

Hota hai ishq se badhkar bhi kuch ! Hota hai farishte se hatkar bhi kuch !

Ye baat mai janta hu , aur is baat ko "mai bhi "janta hu

"Do jism ek jaan" !