webnovel

TARA KI MEETHI AAWAZ

Tara nashta lekar andar kitchen mein chali gayi. Tara ka ghar bahut zyada bada nahi tha, ek kitchen tha aur ek haal jaha par side mein ek bed tha bich mein TV aur samne sofa aur do kursiya rakhi hui thi. Jab main oahuncha toh Sara aur uski dost un dono kursiyoun par baithi hui thi toh main samne Sofe oar hi bauth gaya. kuch der baad Tara nashta lekar aai aur use table par rakh diya. usne yaha waha dekha aur soch mein oad gayi. shayad soch rahi thi ke kaha baithu. dekhne ke baad wo Sara ki kursi ke bagal mein jakar khadi ho gayi. toh Sara ne usse kaha "Tara khadi kyun ho baitho tum bhi, aur lo tum bhi khao"

"Nahi tum log khao maine abhi nashta kiya tha"

"To kam se kam baith toh jao sofe par"

Tara ne use mana karna chaha lekin itne mein Sara uthi aur use zabardasti mere paas baitha diya. wo baith toh gayi lekin use shayad uncomfortable feel ho raha tha. Toh maine usse baat krna shuru kiya. mujhe toh mauka chahiye tha baat karne ka jo mujhe mil gaya. wo bhi mujhse achhe se baat karrahi thi. uski meethi meethi aawaz sunke mujhe bahut achha laga. usne mere ghar kaam wagaira ke baare mein pucha. Maine uske saare swaloun ke jawab muskurate hue diye. "Mere mummy daddy aaj khala ke yaha gaye hue hai kaam se is liye maine socha ke aaj mein dostoun ke sath ghum lu" "Achha isliye tum bhi Sara ke sath aae ho, chalo achhi baat hai" usne muskurate hue kaha.