webnovel

middle class family

humari haisiyat ko ab ek kagaz ka tukda btata hai..

din rat ek kr lein tab bhi kisi ko humari mehnat nahi dikhti...

tum kitne kabil ho ye tumhara result batata hai..

Middle class family se ho to zimmedaariyan khudi uthani padti hain

paise udaane nhi hume ek ek rupaye bachana padta hai...

har tyohaar hume naye kapde nhi milte

papa ka thakahara chehra dekh ghar me sab bhai bahen satosh kr liya krte hain...

aj na sahi kal le lenge, ye na samajh hokar bhi wo khudko samjha liya karte hain...