webnovel

Bepanah Mohabbat

Aisha ko wo shayari's itne pasand the ke wo un shayari's ko apni ek dairy mei likha karti thi n ushe hamesha apne pass hi rakhti thi .

Salman apni novel araamse padhne ke liye college jaldi aaya karte the taake unhe novel padhte waqt koi disturbance na ho ,

so wo clg jaldi aate the last bench pe baithkar araamse aapni novel padhtee the,

wahi Aisha clg late aaya karti thi ,

kuch din clg k yunhi guzar jaate hai sab apnee ap mei masroof hojatee hai but inhi kuch dino mei aishaa hamesha salman ko observe kiya karti thi wo chahti to salman se baat kar sakti thi but jab bhi unhe salman se baat karna ka khayaal aata tha tab hi unhe bepanah mohabbat ki yaad ajati thi aur wo salman se baat karne peeche hatjati thi unhe ignoree kar apne frnds mei hi kho jaati thi .

Ek din yun hota hai ke sab clg aajate hai mgr salman nhi aate , aisha thodi si pareshan hojati hai ke utne mei ek awaaz aati hai

May i come in sir-salman

Yes -sir

Jaise hi salman class mei enter kartee hai unki nazar first bench pe baithi Aisha par jaati hai ,

Aisha salman ko dekhkar thoda relaxed hojati hai n smile karti hai wahi salman Aisha ki smile ko dekhkar 1 min k liye Aisha ki khubsurat si smile mei khojate hai ke utnee mei unhee khayal aataa hai k wo class mei hai n jaldi jaldi wo neeche dekhte hue aage badhjaate hai n last bench pe jaake baithjaate .

Salman Aisha k baare mei sonchnaa nhi chaahte the par har baar unke ankhon k saamne Aishaa ka chehra aahi jaata tha yun maaniye Salman pehli nazar mei hi Aisha ko dil de baithee the magar unka dil maan nhi rahaa tha wo nahi chahte the unhee kisi se mohabbat hojae wo bas apni kitaabon mei hi khojaanaa chahte the.

kuch classes attend hone k baad break ka tym hota hai n as usual sab canteen jaate hai ,

wahaa baithkar ek dusre se baatein karte karte acha sa tym spend karte the ,

magar is baar Salman ka dhyaan kahi aur hi rehta hai wo apni novel padh to rahe the magr unhe novel padte waqt pehle jaisi baat aa nhi rahi thi wo jitna apne ap ko divert karnese rok rahe the utnaa hi unka mind Aisha ki tarah divert hota jaa raha tha ,

break tym end hojataa hai n home bell ring hoti hai ,

sab apne bags pack karke ghr jaarahe hote hai ke college gatee k pass aisha n aliya unke auto ka wait karrahee the n salman apne dost ayaan ke saath college gatee ke pass aate hai utne mei aisha ka auto ajata hai n wo auto k taraf jaahi rahi thi ke achanak se Salman ki nazar phirse Aishaa par padhti n is baar maano Salman ne apne apko kho hi diya tha wo bas Aishaa ko hi dekhte jaarahe the,

Aishaa auto mei baith hi rahe the kee utnee mei unke bag se unki shaayari's wali dairy gatee k samne girjaati hai n wo binaa dekhee hi chalejaati hai ,

jaisee hi Salman ko dikhta hai ke unki dairy girgayi hai wo use uthane jaate hai n utnee mei Aisha ka auto chalajaataa hai n wo dairy Salman k pass hi rehjaati hai ,

Salman us dairy ko khole bina hi apnee bag mei rakhletee hai n ghr chalejaate hai.

Salman ka ghr:- Assalamualaikum ammi jaan -salman

Walaikumassalam beta , hath mou dholo mei khana lagati hu - salman's mom

Nahi ammi jaan mujhe bhook nhi ap khalein -salman

Aise kaise bhook nhi jaldi se jao fresh hojao maine aj apka favorite bagara khana dalcha banaya hai saath mei khate hai -salman's mom

Ma sha ALLAH bagara khana abhi aaya Ammi -salman

(Salman ki family mei sirf unki ammi jaan thi naa unka koi bhai tha na behen ,

jab salman chote the tabhi unke walid ka inteqal hogaya tha lehaza Salman ke liye unka sab kuch sirf unki Ammijaan thi wo apne ammi ki kisi baat ko nhi taal te the hamesha unki khidmat mei lage rehte the )

Salman apne ammijaan k saath baith kar lunch karte hai n unke saath tym spend karte hai.

Aisha kaa ghar

Assalamualaikum ammi abbu - Aisha

Walaikumassalam beta kaisa raha apka din - Mubeen sahab(Aisha ke dad)

Alhamdulillah abbujaan thk tha (n she gives a hug to her father)-Aisha

Aisha bete khana lag gayaa hai jaldi se fresh hoke ajao-Aisha's mom

Thk hai ammi jaan abhi aayi-Aisha

(Aisha apne abbu se bht closee rehti hai afterall betiyan apne baap ki azeez hoti hai ,

Aisha ko ek bhai hai jo unse takreeban 2 saal chotaa hai,Aisha ki short sweet simple si family hai )

Aisha jaldise fresh hokar apne ammi abbu ke saath lunch karke apnee room mei jaati hai taakee wo jaldi se apne favorite page ke shayari's padhsake wo apna insta account open karti hai n new posts check karti hai n wo posts ye rahe

WOH APNE CHEHRE MEI SAU AAFTAAB RAKHTE HAI,

ISILIYE TOH WO RUKH PE NAQAAB RAKHTE HAI,

WOH PASS BAITHE THO

AATI HAI DILRUBA KHUSBU WO APNE HONTHO PE KHILTE

GULAAB RAKHTE HAI!!!!

ABHI IS TARAF NA NIGAH KAR,

MAIN GHAZAL KI PALKEIN SAWAAR LU,

MERA LAFZ-LAFZ HO AYINA,

TUJHE AIYNE MEIN UTAAR LU.

Aishaa ko wo shayari's bahut pasand aate hai wo itni khush hojati hai mano wo shayari's unhi k liye thi,

shayari's padhne ke baad wo apne bag se dairy nikaljati hai but unhe unki dairy nhi milti hai tab unhe realise hota hai k unki dairy kahi kho gayi hai ,

wo apni dairy har jagah dhoondhti hai par unhe dairy nhi milti,

dairy na milne par wo bht sad hojati hai n unke ankhon mei ansu ajate hai apna man halka karne wo phn mei bepanah mohabbat k shayari's padhti hai n najane achanak se unhe kya hota hai wo suddenly pehli baar us page ke admin ko msg karti hai,

Assalamualaikum

wo bas admin ko salaam ka message bhejdeti hai unhe ummed to nahi thi ke unhe relpy aayega,

wo apne apko sambhalti hai phn off karti hai namazein ada karti hai n Apne Allaah se dua karti hai ke unhee jaldse jald apni dairy miljaye .

Dusri taraf Salman apne room mei bed pe baithe baithe bas Aisha ka chehra imagine karte hue karwatein badal rahee hote hai ke unhe achanak se dairy yaad aati hai, wo jaldise uthkar apne bag mei se dairy nikalte hai,

Dairy bht khubsurat hoti hai uska cover black hota hai n uspe beautifull handmade paintings draw kariwi hoti hai ,

Salman pehle to nhi chahtee the ke wo dairy open karein but unse rahaa nhi jaata n wo na chahte hue bhi dairy open kartee hai n first page pe bht khubsurti se likha hua hota hai....AISHA FATIMA....

Ye naam padhte hi salman ki dhadhkane tez hojati hai wo halke se apne hath se Aisha ke naam ko touch karte hai n ek badi si smile karte hai ,

Salman ke dil mei wo naam is tarah basgayaa the ke koi chah kar bhi unke dil se wo naam nhi nikaal saktaa tha ,

uske baad salman pages turn karte hai n har page pe likhi shayari padhte jaate hai,

unhe andaza nhi hota hai ke wo kiske shayari's the bas wo un shayari's ko padhne mei kho jaate hai n achanak se unhe kuch yaad aajata hai n wo jaldi jaldi jaake apna phn dhoondhte hai n use open karke apna insta account kholte hai n Bepanah Mohabbat ka page open karte hai n cross check karte hai ,

dairy ke har page pe likhi hui shayari Bepanah Mohabbat ke page ki hi thi ye dekh Salman shock hojatee hai n unhe andaza lag jaata hai ke Aisha ko Bepanah Mohabbat page se bht zyada lagaaw hai, wo dairy ko band karke apne seenee pe rakh kar sonchte sonchte sojate hai

Aur dusri taraf Aisha pareshan rehti hai wo bhi dairy k baare mei sonchte sonchte sojaati hai.

.

.

.

.

.

.

Part-2 ends , So guys ye tha part-2 story aage bht interesting hone wali hai so dont miss out n plz do comment ap log ko ye wala part kaisa laga n one info mei story k parts every saturday n sunday upload karungi so guys stay tuned 😊😊