webnovel

Bepanah Mohabbat

Mohabbat kya hai?

Samjho toh ehsaas

Dekho toh rishta

kaho toh lafz

chaho toh zindagi

Karo toh ibadat

Nibhao toh waada

Toote to muqaddar

Par mile to jannat

Kuch aisi hi mohabbat kar baithe the Salman aur Aisha aaiye padhte hai inki mohabbat ki khubsurat si dastaan.

STORY BEGINS:

Maulvi sahab chaliye nikah padhate hai....

Salman bin Muhammed Mubeen apka nikah Aisha binte Muhammed Abdullah

se taye kiya gaya hai kya apko ye nikah Qubool hai?

Salman---QUBOOL HAI

Aisha binte Muhammed Abdulla apka nikah Salman bin Muhammed Mubeen

se taye kiya gaya hai kya apko ye nikah Qubool hai?

Aisha---QUBOOL HAI

Ishi tarah do mohabbat karne walon ne apni mohabbat ko halal rishte mei badalte hue ek dusre se kiye har waade ko poora kiya.

Har mohabbat mei dard,takleef,judai aur tanhai nhi hoti hai kuch

mohabbatein Salman aur Aisha ki tarah muqammal bhi hoti hai bas Mohabbat mei yaqeeen rehna zaruri hai.

Flashback - 5 years ago:

Ye kahani shuru hoti hai HYDERABAD se .

Hyderabad ek khubsurat shehar hai jahan har cheez mei khubsurti aur nawabon ki pehchaan hoti hai.

College ka pehla din tha aur bahot si hal chal machi hui thi bcom ki class thi aur har koi apne doston mei ,to koi kaam mei masroof the ,to koi ghabraye hue the.

Magar sirf ek aisa chehra tha jo last bench pe baithke apni favorite novel padhraha tha unhe kisi se kuch lena dena nahi tha wo bas apni kitaab mei khoye hue the, ha ye salman the

Salman bht hi simple, calm, mature,tall fair, handsome the,jo sabse alag the, unhone bas ek simple si black shirt aur blue jeans pehni hui thi jisse dekh kar koi bhi ladki usse attract hojati thi.

Aur dusri taraf thi Aisha bilkul opposite short heighted, fun loving, jovial, mastikhor, chulbuli ,chubby si ladki jisne simple sa burqa aur hijab pehna tha aur wo ushi mei gazab dhaa rahi thi.

Aisha apni best friend Aliya ke saath baithkar class mei khubsaari masti kar rahi thi.

Itne mei college ki First bell ring hoti hai aur classes start hojati hai sab ka introduction kiya jaata hai aur classes continue hote hai.

Kuch der baad break ka tym hojata hai n sab masti karne lagjate hai new friends banane lag jaate hai ,magr salman phirse apni kitaab mei khojaata hai

aur yaha Aisha aur Aliya ko ek new friend miljati hai Sana, ye teeno milkar canteen jaane ka plan banate hai bcoz Aisha is a big foodie n she loves food ,

canteen jaate jaate achanak se Aisha ki nazar Salman pe padhti hai wo Salman ko thk se dekh to nhi paati magr wo thoda shock mei hoti hai k har koi apne doston k saath masti kar raha hai magr srf Salman hi apni kitaab mei khoya hua hai ye sonchte sonchte wo canteen pahunchjati hai aur apne liye chicken sandwich order karti hai n apne frnds k saath baatchit karte baithjaati hai.

Dusri taraf Salman se kuch ladke milne aate hai aur unse dosti kar unhe bhi canteen lejaate hai magr chalte chalte bhi salman novel padhte rehte hai,

wo log canteen pahunchte hai aur Salman apne liyee bhi chicken sandwich lene jaate hai aur aate aate wo apni kitaab mei itne masroof rehte hai ke unhe pata nhi chalta ke wo apne doston ke pass nahi balki Aisha ke pass jaake baithe jaate hai aur Aisha aur uske dost ek dum pareshan hojate hai

Excuse me ap galat jagah baithgaye ho says Aliya...

Oh! i'am so sorry - ye kehkar Salman apnee dost k pass chalajaate hai

Ayaan - Kya yaar tum hamesha novel hi padhte rehte ho akhri kya hai is novel mei

Salman- mujhe pasand hai, akhsar khud ko padhna

Ek kitaab hi hai jo mujhmei safar karti hai

Ayaan - wah wah wah wah

Ishi tarah choti choti nok jhonkh ke baad college ka pehla din khatam hojata hai Aisha ke liye pehla din bht acha guzarta hai aur salman k liye kuch special nhi hota hai sab normal hi rehta hai . Aisha ghar aate hi pehle apne room mei jaati hai apnee phn se wifi connect karke apni fake instagram ki profile kholkar sabse pehli cheez open karti hai to wo hai ek shayari ka page ek aisa page jo unke dil ke bht kareeb rehta hai jo unki life mei khushali bhardeta hai unke liye wo page bht imp hota hai jaise hi wo page open karti hai unhe naye posts dikhte hai naye shayari's jishe padhkar unhe bht sukoon milta hai . Page ki shayari ye rahi

USHI QALAM SE LIKHTA HU

LIKHNE KA ANDAAZ PURANA HAI, MEIN TO BAS DIL E TANHAYI FARMATA

HOON JISKA AJ GHAYAL ZAMANA HAI.

KABHI HASRAT LIKHTA HOON KABHI KHWAAB LIKHTA HOON

KUCH SAWAAL LIKHTA HOON KUCH JAWAB LIKHTA HOON

YE AWARGI KA DARIYA BHT GEHRA HAI IS HI AWARGI MEIN MAIN

BEHISAAB LIKHTA HOON.

Aisha us page ke admin to janti to nhi thi magar unhone un shayariyon mei chupe dard ko mehsoos karliya tha, us page ka naam tha BEPANAH MOHABBAT.

Aisha shayari padhkar apne kaam mei lagjaati hai namaz padhti hai n dnr karke sojati hai...

.

.

.

.

.

.

Part-1 ends guess ye bepanah mohabbat ka page rehtaa kiska n salman aur aishaa ki mohabbat kaise shuru hoti hai stay tuned for the next part ill be uploading it on saturday and sunday so stay tuned😊 n plzz do comment ur views