webnovel

SAFAR PYAAR KA

Yeh kahani hai kanak aur Vihaan ki....Kaise yeh Badale ki tamanna aur nafarty pyar me badalti hai...??

IU207 · perkotaan
Peringkat tidak cukup
156 Chs

Kanak in Anxious

Window se aati hui thandi hawa kanak ke baalo ko udha rahi hai, Kanak Window ke pas khadi hoker Vihaan ki kahi bate uske dimag me ghum rahi hai,

("Meri real wife mat bano, dada ji ke samne ache banne ki kosish mat karo, acha hoga dur raho ")

" Vihaan ki nazar me bikul bhi achi nahi hu ,woh mujh par yakeen nahi karte, main traditional hun shayd.... "

Kanak sochti hui Murdhti hai ki Vihaan room me aata hai.. Vihaan Kanak ki taraf chalta hua aata hai

" Kanak mobile apne pas kyun nahi rakhti ho?"

" Ji... main bhul jati hun... "

" Koi tumhe call kar kar ke preshan ho jaye tumhe koi farq nahi padhta "

Vihaan gusse me chillata hai aur Kanak ser nichr kar ke sun rhi hai. Tabhi, woh rone lagti hai, jese ki usne kafi der se khud ko rone se sambhal rkha tha... Vihaan Kanak ko rota dekh kar Gussa khatam ho jata..

" Hey... Kanak... Kyun ro rahi ho..? , kisi ne kuch kaha? " Vihaan Kanak k ashuon ko pochte huye , Kanak kuch nahi bolti aur ser ' Na ' me hila deti hai.

Room ke gate par.. Servant aakr

" Sir, Apko dada ji bula rhe hai urgently "

" okay aa raha hun "

Kanak chup hoker ankhe saaf karti hai, Vihaan Aur Kanak hall me jate hai ki, dada ji tyar khade hai aur unka lagged wahi par khada hua hai

"Dada ji, ap kaha jaa rhe hai? " Vihaan ne dada ji ko tyar dekh kar pas aakr pucha

"Vihaan hume jana padega Wapas abhi humare ek kareebi dost ki tabiyat jaida kharab ho gai hai, uske pas waqt kam hai " Dada ji n mayus chehre se kha

" dada ji chaliye main apko airport chod deta hua " Vihaan lagged ko pakad kar le jate huye

" beta Kanak apna khyal rkhna" Kanak ke pas aakar dada ji n ser par hath pher kar chale gaye.

Kanak Apne room me aati hai ki uska mobile par call aa rahi hoti hai , Kanak call pick karti hai

" Hello? "

" Hello, Kanak hum bol rhe hai tumhari badhi bahan, Niharika...!!!"

" Ji didi, Kiya hua pareshan lag rahi ho ap? "

" Han... Aman bhaia ka accident ho gaya hai bike se kal raat aj hume sham me pata laga hai woh ab ghar hai lekin bahut chot aai hai bhaiya ko" Niharika ne kaha

" Kiya? bhaiya ka accident? ,main abi aati hu " Kanak yeh kah kar call cut kar ke ghar se bahar jane lagati hai ki security guard rok lete hai

" madam, kaha jaa rahi hai ap? " security guard Kanak ko rokta hua.

" bhaiya gate khol do, mere bhaiya ka accident ho gya hai" Kanak ne Girgidaty huye kaha

" nahi, madam mujhe maaf karna, sir ne apko bahar jane ki ijazat nahi di aur itni raat me bikul nahi " security guard bhawuk hoker

" dekhiye bhaiya, main wapis aa jaungi, mujhe jane do apke aage hath jodh rhi hu? " Kanak hath jodh kr

" I am sorry madam, majbur hun nokri chali jaygi" Security guard

Kanak wapas ghar ke andar aa jati hai, Vihaan airport se ghar Aa jata hai aur security guard sab bat Vihaan ko btata hai.

Vihaan aate hi Kanak ka hath pakad kar " Chalo.... "

Kanak shocked hoker Vihaan ko dekhti hui " aap...? kaha? , Vihaan please ap meri bat sune, main kahi nahi bhagungi, mere bhai ka accident hua hai, mujhe bas wohi jana hai, please jaane de"

Vihaan kanak ko Pakad kar car tak laa kar " betho isme, Main tumhe le kar chal raha hun ,itni raat me akele jana thik nahi"

" Aap sach me...?!!!"

" Han mujhe guard ne sab btaya hai, jaldi betho car me" Vihaan car ka gate open krte huye.

Kanak ke ghar,

Kanak Apne ghar phuch kar, jaldi se car s utar kar bhagti hui gate ki taraf jati hai aur zor s bajati hai....

" Kanak... aram se ghabrah kyun rahi ho? " Vihaan Kanak ko rokta hua

darwaja khulta hai, Kanak ke papa gate kholte hai,

"Beta Kanak, Tum... itni raat me? , sab thik hai na? , Vihaan beta... andar aao "

Kanak ki maa Kanak ko dekh kar " Kanak.... tu aa gai , kesi hai tu ,sab thik!?" Kanak ko gale se laga kar

" han maa me thik hun bhaiya.... "

"Sawal jawab baad me, Phele andar aao betho " Kanak ki maa ne dono ko bethne ke liye kaha aur kitchen me chali gai

" papa, bhaiya kaha hai, kese hai, apne btaya nahi unka accident ho gya aur kl se hospital me the aj ghar aa gaye? " Kanak ne rohne jesa chehra se kha

" Maaf karna, Kanak beta tumhe preshan nhi karna chahate the yeh tumhare bhai ne hi kha tha "

" Ab kese hai bhai " Vihaan ne pucha

" ab thik hai woh " Kanak ke papa ne nasta lagwate huye kha ,

" Bhaiya kidher hai" Kanak ne pucha

" Andar apne room me. aram. kar raha hai " papa ke kehte hi Kanak uth kar jane lagti hai,

" Kanak.... ?" Vihaan awaz deta hai Kanak sunti nhi hai

" Woh yesi hi hai. apne parivar me kisi ko bi preshan dekhti hai toh khud pareshan ho jati hai, meri bacchi " Kanak ki maa ne Vihaan se kaha

" Aur bhai toh uski jaan hai.... " papa ne Vihaan ki taraf muskurah kar kaha,