Bahut mishkilo se kisi shop se mujhe Physics textbook mil gayi. main book lekar ja raha tha itne mein mujhe aisa laga ke baarish hone wali hai. dekhte dekhte baarish shuru ho gayi, maine socha ke abhi dheeme dheeme baarish ho rahi hai jaldi se bhag kar ghar pahunch jata hu. lekin acahanak baarish aur zoro se hone lagi aur main bhagte hue ek shop ke paas jakar khada ho gaya. meri book puri bheeg chuki thi. maine apna romal nikala aur book ke upar se paani saaf kiya aur karke romal book par hi lapet diya.
Main baarish band hone ka intezar kar raha tha. tabhi ek ladki lambe lambe bheege baloun mein, daudte daudte aai aur mere paas usi shop par khadi ho gayi. main use dekh kar foran samne wali shop par chala gaya. usne meri taraf dekha toh main fir apni book aage piche krke dekhne laga aur main apni book dry karne ki koshish karne laga kyunki waha se yaha aane tak meri book dobara bheeg chuki thi. na jane kyun naazrein baar baar uski taraf ja rahi thi. dil zoro se dhadak raha tha, dil karraha tha ke ye baarish band hi na ho. wo mujhe masoom naazroun se dekhrahi thi. main bhi uski taraf dekhta aur aage piche dekhne lagta fir jab wo kahi aur dekhti main fir use dekhne lagta. jaise hi baarish band hui main waha se foran bhag gaya. na jane kya socha hoga usne mere bare mein.