Agar aa-rahe ho humase milane
to yah khabar
tum hi sath lana..
ke ab ki baar shayad mai mayus na ho jau,
un jhuti afwavo se.
ab bharosa kon kare?
kho gaya hai bheed me mera vajood
agar aahi - rahe ho to use bhi sath lana...
Mai abhi bhi nashe me hu un paimano se
tha ek gajab ka nasha tumhari un aankho ka
kahi jald baji me use bhul kar n aana..
agar aahi - rahe ho to use bhi sath lana...
Aati jati rahi jindagi ki kai chuskiya
shayad ab hosh me na kabhi aau
yah hai tummana mi tumhe usi
madhoshi mai pau
ab itane sare arse se
shayad vo madhoshi na rahi
agar aahi rahe ho to use bhi sath lana
sanse kahu
jindagi kahu
aashiqi kahu
ya kahu koi aarazoo
aa hi rahi ho to in sabka,
ek maikhana bhi sath lana