webnovel

Love and respect of my parents for each other

sab logon ke jane ke baad ..

Mom ki ankhon mein aansoon tha , par ye aansoon khushi ka aanson tha. Dad ne mom ki taraf dekhte hue kaha , ufff ye auratein aur unke aanson." Rabb hi jane, in kabhi na khatm hone wale anso-on ki mystery."

ye baat sunte hi mujhe ina musquraye raha naheen gaya.

Mom dad ki taraf mudeen, jo ki unke side par baithe hue the, mom thoda haseen lekin ansoo abhi bhi bah rahe the.

Mom bina koi jawaab diye dheere se dad ke kandhe pe apna sir rakh- ke waese hi kuch dair tak padee raheen.

Naa-hi dad ko maloom chal raha tha ki mom ro rahee hain ki musqura raheen hain aur naa-hi mujhe.

Dad ne bhi unkon wahan se hatya naheen balki unke sir pe khamoshi se bina kuch kahe bas haath pherne lage. Dad ne kuch isliye naheen kaha ki unko maloom tha ki agar wo kuch bhi kahte to mom aur bhi zayda rone lagteen.

Meri mom dad ko jitna pyaar karteen theen utna hi unki respect bhi karteen theen . Aur usi respect ki wajah se ajj tak mom ne dad ko palat kar koi jawaab naheen diya.

Jab bhi ghar mein dad shaam ko buisness se laut kar aate, to mom hamesha unke aane se pahle hi chai(tea) , sharbaat aur etc etc , sab bana leti theen , aur dad jaese hi gahr mein daakhil(enter) hote, wo sabse pahle mom ko musquraata hua paate.

Mom unse unka bag leti hui kahteen ki , aaj ka din kaesa tha , paani pijiye aap thak gaye honge main abhi chai lateen hoon aur etc etc.

Maine jabse hosh sambhala hai, mom ko hamesha aesa hi karte paaya hai.

Infact hum bhai baan ghadi(watch) ko dekh kar ye pata naheen karte hain , ki dad ke aane ka waqt ho gaya hai ya abhi naheen, balki jab dekhte ki mom chai wagerah banane mein lag gayi hain to hum samjh jaate the ki ho na ho dad ke aane ka waqt ho chuka hai.

Mom dad ki itni respect karti theen ki, agar dad kaheen baithein hon ya chal rahe hon, to mom ya dad ke saath chalti theen ya unke peeche, par kabhi bhi unke aage naheen jaati theen.

Hum mom ki iss harkat par peeth peeche musqurate the aur kabhi- kabhi kahte bhi the , ki mom you are too much! haha ( mom aap ne too hadd hi kar di haha ).

Tab mom hamein hamesha explain karteen ki , husband aur wife dono ki duty ek dusre se sirf pyaar hi karna naheen hai , balki ek dusre ki izzat karna bhi unka farz hai.

Dusri taraf dad bhi mom ki kaafi izzat karte the par unka tariqa alag tha.

Dad jab bhi ghar mein daakkhil(enter) hote hamesha musqura kar hote aur mom se hamesha poochte ki aap ka din kaesa tha. Humne dad ko kabhi bhi naheen dekha ki wo ghar mein daakhil hue hon aur unke chahre pe musqaan na ho.

Dad phir mom ko apne saath baithne ko kahte aur phir unki taraf table par rakha hua khane-peene ka saman khud se pahle mom ki taraf badhate hue kahte , ki aap bhi khayein aap bhi din bhar ghar ka kaam kartein kartein thak gayi hongi.

Mom ke liye, ye aesa tha ki mano mom ki din bhar ki thaqaan , unki tamam tension , sab ki sab dad ki ek musqurahat door kar deti hon.

write reviews please, and don't forget to vote

justwritercreators' thoughts