Aaj Shyra ka mood kafi kharaab tha kyon ke aaj Abeer college nhi aaya tha..
Uska poora din mann hi nhi lga.. lambe intezaar ke baad aakhir ab uska ghar Jane ka samay ho gya tha. Aur Shyra ab ghar ke liye nikal padti hai.. pr vo kafi mayoos thi.
Shyra, Abeer ko mann hi mann boht pasand karti thi, Abeer ko abhi college join kiye 2 mahine se jada nhi huya tha pr Shyra ko vo pehle din hi pasand aa gya tha vo angrezi mein kehte hain na 'love at first site'.. bs tb se Shyra, Abeer ko dekhti rehti thi.. aur abhi vo raaste mein hi thi ke chalte chalte vo pehla din yaad karti hai jab usne abeer ko dekha tha
Abeer ke papa clg ke principal ke ache dost hone ke kaarn usse 3rd year mein asaani se admission mil gya aur uske 2 saal barbaad hone se bach gye , uske papa ka transfer hone ki wajah se unhein Nye shehar mein, Nye ghr mein shift hona pda aur sath hi abeer ko padhayi ke liye khud ko apna clg ko bhi shift karna pda..
Jb pehle din professor ne uska intro karvaya tha Shyra ko vo pehli baar mein hi pasand aa gya tha. Uski aankhon ka rang neela tha, aur jb vo sbki trf dekh rha tha toh lag rha tha jaise uski aankhein baatien kr rhi hon..
Uss din red t-shirt and black jeans mein vo aur bhi jada shi lg rha tha.. uska innocent sa chehra baar baar Shyra ke saamne aa rha tha.. aur vo bewajah hi muskura rhi thi,
Aur jab se vo college mein aaya tha Shyra hi nhi baki aur bhi boht ladkiyan usse chahne lgi thi jo baat, Shyra ko bilkul bhi achi nhi lagti thi.. aur Abeer boht shaant rehta tha vo kisi se bhi baat nhi krta tha, hamesha akela hi rehta tha, library ki jagah kahin aur dikhta hi nhi tha .. sara din padhte rehna. Aur na jane in 2 mahino mein kitni hi ladkiyon ne usse baat karne ki koshish ki hogi par Abeer bemtlb ki baatien karta hi nhi tha.
College mein koi ladka bhi uska jada acha dost nhi tha.. vo hamesha books mein hi ghusa rehta tha...
Shyra usse almost har jagah pr follow krti thi... vo uske liye ek tarfa pyar mehsoos krne lagi thi... Vo class ke topper bachon mein se ek thi par iss mohabbat ne usse kahin ka nhi choda. Par shyra ko ab padhayi se jada farak nhi padta tha.. ulta usse ab yeh sab krna pasand tha.. chori-chori Abeer ko dekhna, canteen mein ussi ki seat par baithna vahi khana order krna.. jo abeer krta hai.
Yhi sari batein sochte huye vo ghar pauhanch gyi.. aaj vo thodi sad thi toh usne bina apni maa se baat kiye hi vo apne kamre mein jaakr abeer ko yaad krte krte aise hi lait jati hai.
khair shyra bhi kuch kam nhi thi. Abeer ki hi trah vo bhi apne college ki sbse sundar aur padhaku ladkiyan mein se ek thi. Uska dimaag boht tez tha koi bhi cheez asaani se seekh jati thi.. khair yeh gun toh usse viraasat mein mila tha. Uska parivaar hi itna anika tha toh shyra bhi anokhi hi hogi.. Shyra ki aankhon ka rang halka sa laal aur bhoora sa tha jo usse aakarshit bnata tha, yeh usse apni maa se mila tha. uske halke-halke bhoore se baal, pyari si muskaan.. koi bhi dekhke us par fida ho skta tha aur vo bhi pta nhi kitne hi ladkon ka dil tod chuki hogi.. yahan par ek preshani hai jab bhi koi uski tareef karta tha toh shyra ko bilkul bhi acha nhi lagta tha kyun ke vo khud ko sundar nhi maanti thi.. aur yeh sb tha uski choti behan nayra ki wajah se!!!! kyuki usse lagta tha ke vo jada khubsoorat hai.. kyon ke jab se vo paida huyi thi toh school ke sare ladke nayra ko pasand karte the aur ghar par bhi nayra ki tareef hoti rehti thi iss wajah se usmein ek jalan si thi..bachpan mein hi uske dimaag mein apni behan ke liye aisa aura ban gya jo ab tak uske sath hi chal rha tha toh usse ab apni tareef sunna pasand nhi tha...