webnovel

chapter: 5 A new friend

Nayra ko yeh hamesha lagta tha ke jaise iss Jungle se uska koi rishta ho...

Vo bachpan se hi iss jagah par aati thi..

Nayra kuch samay baad wahan se chali jati hai..

Aur jaise hi vo ghar jati hai toh uske papa uske kamre mein hi baithe the..

Nayra unko boht kharaab look deti hai.. aur uske papa usse bina kuch kahe hi kamre se bahar chale jate hain...

Tb uski maa wahan par aa jaati hai aur vo Nayra ko kuch bolne hi lagti hai... ke Nayra hi bol deti hai...

'Aapko meri fikar karne ki koi zaroorat nhi..

"main pehle bhi apna khayaal rakh leti thi aaj bhi rakh sakti hoon... aap jaakar apni Shyra ko dekhiye...." usse aapki zaroorat hogi!!!

yeh baat sun kar uski maa ko boht bura lagta hai.. vo jitni bhi koshish karti thi Nayra ke kareeb jane ke liye utna hi Nayra usse door kar deti thi.. Nayra ke bde hone ke baad Shyra uski maa aur papa ke beech kuch theek nhi rha.. Nayra toh ghar se bahar hi rehne lag gyi thi... un sab mein communication gap pad chuka tha.

Agla din shuru ho jata hai Shyra hamesha ki trah tyar hokar college ko nikal jati hai.. aur Nayra ko bhi ghar mein 2 din ho gye the toh vo bhi agla trip plan kar leti hai... bache unke Maa aur papa vo toh hamesha ki trah ek hi jagah par.. insaano vali zindagi gee rhe the..

aaj Shyra ka boht mann kar rha tha ke vo Abeer se dosti kar le!! tabhi toh baat aage badhegi... par Shyra ko darr bhi tha ke kahin vo meri dosti ko reject hi naa krde!!! jab vo college mein jati hai... toh usse 1 lecture attend karte samay hi realize ho jata hai ke aaj bhi Abeer college nhi aayega... usse boht dukh hota hai...

vo sath mein confuse bhi thi ke usse ho kya gya hai?? 2 din se itna ajeeb behave kar rha tha... na college proper aa rha tha, aur na class mein answer de rha tha... Shyra ka aaj ka din bhi kharaab jane vala tha... Abeer ke bina usse college mein aur kuch acha hi nhi lagta tha...

Nayra iss baar lohe ki taar vale jungle ke bare mein jaan-na chahti thi.. yhi baat soch kar vo apna trip cancel kar deti hai.. aur kuch din ghar pe hi rehne ka sochti hai.. aur vo bhi tyar hokar shehar ki or chal deti hai... mystic city boht sundar thi... Nayra ko iss shehar se boht pyar tha... kyon ke usne apni schooling yhi se ki thi aur yahan ka khana..... toh mtlb uski jaan thi... vaise vo insaani khoon hi peeti thi par mystic ka khana usse pasand tha.. insaano ke sath rehna bhi usse acha lagta tha... par vo ek vampire thi toh yeh baat usne kabhi kisi se nhi khi thi... ke agr kisi vampire ko pta chla toh vo kya sochega!!!! iss lyi vo insaano se thoda door rehti thi.. aur unse nafrat karne ki koshish bhi karti thi(it's funny)

Nayra ab shehar ki sbse badi library mein jati hai aur wahan par 'mystic ke jungles ki history' pta karne ki koshish karti hai.. uska aadha din Wahin beet jata hai.. jitne bhi books usse mile the. usmein jada kuch nhi tha... bas yhi sab likha tha ke "12th century se wahan par vampires rehte the... jinki hamesha ladayiyan hoti rehti thi.. aur jo 27 saal pehle jo ladayi huyi thi.. vo boht bhayaanak thi... us ladayi mein boht sare vampires mar bhi gye the.. aur ab toh un Junglon mein shyed hi koi vampire bacha ho... kyon ke 18th century se insaano ki yhi koshish thi ke aise jaanwaro ko khatam kiya jaye... toh wahan par hamesha hi koi khoon kharaaba hota rehta tha... par ab pichle kyi saalon se shanti hai... ya toh vo sbhi Jungle chod kar chale gye.. ya firr mar gye...

Ab un junglon mein sirf jangli jaanwar hi rehte hain.."

yeh sab padh kar Nayra ko kuch bhi dhang ka nhi mila... kyon ke yeh toh usse pehle se hi pta tha... fir vo thodi aur books lekar ek jagah par baith jati hai... aur kuch nya dhoondhne ki koshish karti hai... abhi vo padh hi rhi hoti hai... ke wahan par ek ladka aa jata hai... jo ke Abeer hi tha!!!! aur vo Nayra ke hi paas baith jata hai.. aur kehta hai ke "main tumhe subah se dekh rha hoon!! kab se yeh kitaabein padh rhi ho.. in mein sahi baat kahan se likhi hogi... agar koi vampire likhta toh shyed kuch mil jata....

Nayra uski taraf thode dheyaan se dekhti hai... Nayra ko vo acha lagta hai... 'jis hisaab se baat kar rha tha.. aur jaise jaise Expression vo de rha tha vaise hi uske chehre ka rang badal jata tha... jaise ke uske paas emotions ke sare rang hon.... aur uska chehra itna attractive tha.... koi ek baar dekh kar kaise ignore kar sakta tha...'

Nayra: (muskurate huye) tumhe lagta hai boht jaankaari hai... vampires ke bare mein!!!

Abeer: han! bilkul... tumhe pta hai maine kitni research ki hai in par.. aur inke itehaas par..

Nayra; hnn dikh toh rha hai!!

chlo tum hi bta do fir kya raaz hain...

Abeer: mere papa ko bhi vampires mein boht dilchaspi hai.. aur unhone mujhe poori kahani batayi hai... jo tum itni der se dhoondhne ki koshish kar rhi ho..

Nayra: han fir suna do....

Abeer: aise nhi... badle mein mujhe kya milega....

itni precious story hai.. poore shehar mein kisi ko nhi pta... tumhe free mein kyu btaaoon...

Nayra ; batao kya chahiye!!!

Abeer : kya de sakti ho??

Nayra ; jo tum chaho...

Abeer: (haste huye) abhi toh dimaag mein kuch nhi aa rha.. par main loonga toh zaroor kuch na kuch...

vaada kro jo bhi maangu toh vo cheez deni padegi...

Nayra: han pkka vaada... kabhi bhi maang lena.. mil jayega..

ab kahani sunao...

Abeer: theek hai fir pehle intro kar lete hain...

hlo! mera naam Abeer hai..

main mystic ke sabse bade college

'st. Joseph' mein padh ta hoon jo ke shehar ke bahar hai..

aur mere parivaar mein main aur mere papa rehte hain... meri mere neighbors ke sath bhi boht bnti hai...

(haste huye) aur sabse badi baat!!! main single hoon...

agar tum mujhe boyfriend bnana chaho toh bna sakti ho... main ban jaaoonga...

chlo ab tum apne bare mein batao???

Nayra uski intro sun kar boht hasti hai...

fir vo usi ke style mein apni intro dene ki koshish karti hai...

hlo! mera naam Nayra hai..

main kisi bhi college nhi mein nhi padhti..

main mere papa, Maa aur behan ke sath.. mystic ke bahar vale junglon mein ek ghar mein rehte hain...

mere neighbor mein koi nhi hai.. bas hamara hi ghar hai..

aur main bhi single hoon.. par main tumhe apna boyfriend abhi toh bilkul nhi bnana chahti....

Aur vo dono hi hasne lag jate hain...

tbhi abeer kehta hai.. "tumhari aankhon ka rang meri aankhon se milta hai..."

Nayra: han par boht farak hai! tumhari aankhon mein halka sa laal rang bhi hai... vo meri aankhon mein nhi hai..

Abeer: han!! tumhari aankhon mein green hai... halka halka sa...

Nayra: chlo ho gyi intro ab kahani shuru krein.....

Abeer; han...

toh baat tum jaanti hi ho ke.. vampires toh poori duniya mein hain.. vaise hi mystic mein bhi rehte hain...

Nayra usse beech mein se kaat ti hai...

tumhe Kaise pta??? ke vo hamare beech mein hi rehte hain...

Abeer: mere papa ne bataya tha...

Nayra: toh tumne kabhi kisi vampire ko dekha hai

Abeer ; han!! boht baar... mere college mein hi itne sare hain... sab khoon peete hain... allg se rehte hain... itni thandi skin hoti hai unki..., aur ooper se dil bhi nhi hota un mein....

Nayra ; han!! tum unhein pehchante kaise ho???

Abeer: (mysterious si smile karte huye) jaise ke tumhe pehchaan gya...

Siguiente capítulo