webnovel

kch un kahi baate!!!!!!

1. Shaam hui hai aaj gajab ki sehar me,

Shayad unka pegam ye rang laya h ,

Aaj phir ek dil shaj dhaj k ek dil ko rujhane aaya h

Shaam hui hai aaj gajab ki sehar me shayad unka pegaam ye rang laya h....

2. Bolna to bahut kch chata hu me pr shayad lafz abhi tk mile ni

Maanta hu kami h mj me pr shyad kami na ho kisi me aesa to kbhi hua ni

Utha hu aaj gahri neend se me ab bharosa kam sa lagta h jisne uthaya us pr hameaha shak sa lagta h

Na jane kyu esa hua mere sath ki ab sab begana lagta h krna to chata hu me phir zindigi hasi bahut pr rona to sab ko hi padta h

Jana h sach aaj mene zindigi ka h

Koi hota ni apna ** tk uska koi kaam hm se ni hota h

Logo ki is beedh me aksar akela sa khud ko me pata hu

Han hai kch kami mj me pr shyad tm me bhi me kch apni si baat dekhna chata hu

Shayar na tha na hu pr shyd ab lafzo ko pata ni kese bs peerote hi jata hu

Bolna to bahut kch chata hu pr pata ni kyu bss bol ni pata hu!!!

3. Paise ni h jeb me pr batlana ni chata hu

Party me jane k kapde ni dhanke hote h isliye na jane k naye naye bahane banata hu kah deta hu ki waqt ni h ya tabiyaat thodi dheeli h ab kon unko samjye ki mj ko meri izzat kitni sajeeli hai.

4. Kitna dard bhara h zamane me me apna ab kya hi batlau

Kch mang k khate h khana to kch chura chura k ab me apne bare me kya hi batlau

Sab khel h ye paise ka insaan to ab koi bacha ni

Aaj dekhta hu charo aur to mj ko koi bhi apna dikha ni

5. Aaj roti bhi chura chura k khata hu

Chawal k paise na dene pade isliye unko me ni leta hu dieting bata k na khane ka wada krta hu aur ** bhook satati h to wahi jhute chawal me chori chupe khata hu

Bada beshara aur bebas me khud ko pata hu aaj roti bhi me chura chura k khta hu

6. Bhachpan nikla mera bss icse smjne me aur jawani to thik se jee hi ni pata hu udhar itna h ki kbhi pura ek baar me lauta hi ni pata hu

Kamate h mere umar k sab pr me abhi bhi colg hi jata hu

Pr umeed bhari h seene me ab kr k kch to dikhlana h jana h us paar jaha sab ko mere aage jhuk jana h

Ek din ayega vo bhi Jab meri mehnat rang layegi tb na bolne wali aur dhoka deni wali bhi pachtayegi

Kch lafz hi h mere pss to kbhi kbhi nikaal deta hu wrna kis ko padi h ki me kitni takleef me apne andar sama leta hu

Bahut kch batana chata hu pr kisi pr ab bharosa bacha ni

Kitna dard bhara h zamane me ab apna to kch bacha ni

7. Aaj lagta h ki jeeta h mene tuje zamaane se pr phir tu mj ko vo pyar shyd na de payegi kyu ki tu bss jaati h bhed bhao me lagi rah jayegi han mana ki ye teri soch ni pr tu bhi to apne ma bapu k aage kch na bolegi shyd phir ek baar ek aasiq ko apni jaan gawani hogi aur bhula to na paunga tuje mgr phir bhi teri awaaj bhulani hogi

8. Ab khud ko samjhana shuru kr diya hai mene

Khud me khud ko dhundna suhuru kr diya hai mene

Jin sachaiyo se dur bhagta tha ab un pr yakin krna shuru kr diya hai mene

Itne dhoke khaye h apno se mene ki

Ab apno pr bharosa krna chood diya hai mene

Pyar to bahut h logo se pr ab jatana chood diya hai mene

Ab khud me khud ko dundna shuru kr diya hai mene.....