Der rat Vani mom ki Kitchen me help karwa rahi hai, Vani Kisi soch me dhubi hui hai, Mom bar bar Vani ki taraf dekh rahi hai.
"Vani beta... Kya soch rahi ho?" Mom Vani ke sholder pe hath rakhte huye.
"Ahm..Kuch nahi mom...." Vani Soch khatam karke jaldi jaldi kam finish krti hai.
"Beta... mujhe pta hai... tum kya soch rahi ho..." Mom
Vani mom ki bat sun kr, Mom ki aur dekhti hai.
"Beta... Meri fiqar mat karo...Main bahut khush hun...aur..Aram se Akele Shop sambhal sakti hun...apna ache se khyal bhi rakh sakti hun...bas...Main Humesha tumhare ache riste ke liye hi sochti thi... chahati thi..tumhe yesa ghar mile, jahan tumhe meri tarah koi preshani na ho...jese mene apne din guzare hai...yesa tumhe kabhi nahi guzarna padhe...dekho aaj acha rista bhi aa gya...Wo bhi Ruhan ka... Jo tumhara bachapan se dost tha... mujhe lagta hai.. tum uske sath bahut khush rahogi..." Mom Vani se khush hoker kehti hai.
"Mom....Maine Ruhan ko 10 saal se nhi dekha... wo ab kesa hoga... ? uski soch kesi hogi... Uski pasand main hun bhi yah..wo kisi or ko pasand karta ho...?, Kya main uske life style me fit bethungi ya nahi... yese kai sawal hai mere...jinka jawab ap bhi nhi de sakti" Vani Mom se.
Mom ek bar ko khamosh ho jati hai,phir kehti hai.
"Beta mujhe pura yakeen hai, Ruhan jesa tha wesa hi hoga..." Mom
Next Day,
'The blue pearl' Mantion me, Ruhaan bhagta hua Mantion ata hai, Sidha Grandpa ke room me jata hai.
"Grandpa... apko Kiya hua?" Ruhan preshan hote huye.
Grandpa Behosh hai, Pas hi ek doctor aur unka Mannager khade hai.
"Ap inke Grand-son hai?" Doctor Ruhan se.
"Han... kya hua hai? Grandpa ko...?" Ruhan preshan hote huye.
"Inko Chest pain hua tha, Jiski wajha se Heart attack aa sakta tha...Wo Khatra tal gya hai...lekin Halat nazuk hai... Ho sake to ap inhe proper diet, proper rest de... Aur stress bikul bhi na lene de, kosis kare ke.... inki Sari Farmaishe suni jaye...agr yesa nahi hua to ye stress lege aur heart attack aane ka khatra bana rahega..." Doctor apni bat puri karta hai. aur ek slip dete huye.
"Maine isme kuch medicine likh di hai, Time se dete rehna, Ye bikul thik ho jayge..." Doctor de kr chala jata hai.
Ruhan Grandpa ka hath pakde betha hai. Mannager pas hi khada hai. Grandpa Hosh me aate hai, Ruhan ye dekh kar.
"Grandpa Grandpa .....Aap thik to hai?, Kya hua apko ?...Phele se hi itni chote lagi hui hai uper se...ap apna bikul bhi khyal nahi rakhte ...." Ruhan Mayus hoker
"Hum thik hai...Bikul thik....bas ab Hum budhe ho gaye hai... isly tabiyat ka kuch pata nahi hota ke kab kharab ho jaye...." Grandpa.
Ruhan Grandpa ka hath chumta hai, " Aap Kuch mt sochiye...kisi chiz ka stress mat lijiye... Main yahan hun... main sb sambhal lunga...."
"Nahi....Nahi...abhi humme itni jaan hai... ke hum company sambhal sakte hai... Bas... hum chahate hai.... Tum shadi kar lo.... "Grandpa
"Kar lunga aap Fiqar mat kariye..." Ruhan
"Humne tumhare liye ladki... dhundh li hai... Hum chahate hai... Tum usse shadi karo..." Grandpa
"Grandpa...? Yese...Kese main kisi anjan ladki se shadi kar sakta hun?" Ruhan Hairan hote huye.
"Yakeen karo wo ladki bahut achi hai...hume kuch nhi sunna... hum chahate hai, ki tum usi ladki se shadi karo jise humne chuna hai..." Grandpa thode gusse se.
"Grandpa....? "Ruhan Kuch kehta isse phele Grandpa Dard me apne chest ko pakad lete hai.
"Ah...Ah..." Grandpa chest pakde huye karrahne lagty hai.
"Sir ... sir ... aap thik to hai?" Mannager Grandpa ko sambhalte huye. "Ruhan Sir...Han keh dijiye warna Grandpa ko stress ho jayga aur isi wajha se heart Attack aane ka risk badh jayga..." Mannager Ruhan se kehta hai.
"Grandpa....Nahi... I am sorry.....Main Iss riste ke liye Han kehta hun...." Ruhan Mayusi se nazare niche kar ke Grandpa ko sambhalte huye han keh deta hai.
Grandpa ka ye sun kr Dard band ho jata hai, aur wo sidhe lait jate hai.
"Thank...mere bacche....Hum Bata nahi sakte kitne khush hai...Tumne han kar di...ab hum bikul thik hai..." Grandpa.
Piche se Mannager Thumb up Karke dikhata hai, Jese Plan success hua. Grandpa bhi ek ankh mar dete hai. Ruhan ko iski bhanak bikul bhi nahi lagti, wo kuch aur hi soch me dhuba hua hai.
Next day in NextGen Tower,
"Company ki Saturday ko Annual party hone wali hai, Hum chahate hai, Ruhan ki isi party me engagement karwa di jaye..." Grandpa Files check karte huye
"Yes sir...To mujhe uske liye kya karna chaiye" Mannager puchta hai.
"Humara Ruhan First time uss ladki se milega... Uske liye ye surprise hoga ke... Jis ladki ke sath usne bachpan ki achi yaaden banai hai, Usi ke sath aage ke din bhi guzarne wala hai...Hum soch bhi nahi sakte uski khushi Kitni double ho jaygi...Isly tum Annual party se phele Couple engagement Ring ka Intezam karo...Rear Collection ho... aur Diamond ki ho." Grandpa khushi se
"Ok Boss...." Mannager keh kr Office se chala jata hai.
Yug Ka Restaurant,
Ruhan Yug ka uske restaurant me beth kar wait karta hai, Yug Free hoker Ruhan ke pas ata hai.
"kya haal hai, Mere dost... Tujhe Vani mili?" Yug aate hi sawal karta hai.
"Nahi.... aur ab main uski talash bhi nahi karunga ..." Ruhan
"Kyun...?, "Yug
"Grandpa ne mera kisi ladki ke sath rista Tay kar diya hai....or wo chahate hai... Main usi se shadi karu" Ruhan gheri saans lete huye Yug ko btata hai.
"Aur tu maan gya?" Yug
"Kya karta...?Grandpa ki Halat nazuk hai... Unhe stress nahi de sakta tha.... Grandpa ziddi hai... Agar unhe apni bat manwani hoti hai... to wo manwa kar hi mante hai...." Ruhan Muh latka kar.
"Chal ab tu khud razi ho gya hai to... Kiya hi kar sakte hai" Yug Ruhan ke Shoulder pe hath rakh kr dilasa deta hai.
Ruhan apni jacket ki Pocket me se Ek envelope nikal kr Yug ko deta hai, "ye Humari Company ki Annual party Invitation hai... Ana zarur"
"Han zarur, kyun nahi..." Yug Invitation card Open karke dekhte huye.
"Acha ye bata... tu uss din kiske piche gaya tha...Mujhe car ki keys de kar?" Yug Ruhan se puchta hai.
"Ah... wo... Wo bas yese hi... "Ruhan Bat chupate huye.
"jhut mat bol...Main achi tarha janta hun... wo ek ladki thi...kiya tujhe wo pasand aa gai thi?, jese ki pehli nazar ka pyar ho?" Yug maze lete huye.
"Nahi Nahi... wo Ladki....wo thi... jisne Grandpa ke accident hone ke bad unhe hospital le gai thi... maine uski hospital me bahut tareef suni thi...Isly dekhna chahata tha... kya wakai me wo yesi hai?" Ruhan
"To...kya wo yesi hi thi?" Yug Ruhan ki aur jhuk kr dekhte huye.
"Haan.... wo yesi hi thi jesa suna tha..... uski ankhe...Uska nature kuch kuch Vani ki yaad dilati hai... " Ruhan Vani ke khayalo me kho jata hai.
"Tera samajh nahi ata... Tu Vani se pyar nhi karta...phir bhi tu usi ke bare me sochta hai... Ajeeb hai..." Yug Hairan hoker.
"Main Vani se pyar nahi karta...Main usse nafrat karta hun... be-intehaan Nafrat...." Ruhan Gusse se Yug ko dekhte huye.
Yug Uski aur hairani se dekhta hai.