webnovel

Chapter 20

Vani Cafe me apni job kar ke cafe se bahar aati hai, Din dhal chuka hai, charo taraf lights on hai, aur asman Kala dikhai de raha hai, jese hi Vani aage badhti hai, Use ek horn sunai deta hai, Vani jb piche murd kar dekhti hai. Natasha apni car se Vani ko andar aane ka ishara karti hai.

Natasha aur Vani Uchi jagah pe bethe hai, jahan se puri city dikhai de rahi hai,aur thandi hawao se dono ke baal hawa me lehra rahe hai.

"Kitna khubsurat nazara hai....hai na Vani..." Natasha

"Han hai to... yahan kitna sukun hai..." Vani smile kar ke hawa ko mehsus krti hai.

"Vani... main aj ek blind date pe gai thi" Natasha city ka view dekhte huye.

"Acha... ye to achi bat hai... phir tumhari date kesi rahi...?" Vani khush hote huye.

"eh... Achi hi thi... Mom pta nhi mujhe hr bar blind dates me kyun phasati rehti hai... " Natasha muh bnate huye.

"Jab acchi thi to... udas kyun ho rahi ho?" Vani

"Han achi thi...wo ladka bahut handsome tha... uska nam Prem hai, Aur bate bhi achi hi kar raha tha... aur main use Yug ke Restaurant le gai thi... wahan pata hai kiya hua?" Natasha Excited hoker kehti hai.

"Yug ke Restaurant?" Vani sunte huye

"Han...Yug ne prem ka khana jayda spicy kar diya tha.. phir kiya... prem pani pee pee ke preshan ho gaya..." Natasha haste huye.

"Yug ne yesa kiya?" Vani hairan hoker

"Han... lekin Prem ek acha ladka nikla... because Prem ko main hi wahan le kar gai thi... aur usne iss bat pe koi aitraz nhi kiya....wo wakai acha ladka hai...pr" Natasha sochte huye.

"pr kiya...?" Vani

"Main itni jaldi... kisi ko accept nahi kar sakti..."Natasha

"Han to mat karo... Use aur janne ke liye... Tumhe uske sath 1-2 bar aur date pe jana chaiye...taki tum ek dusre ko ache se jaan sako" Vani

"Han... karna to padega... tum bhi kuch dino me shadi karke chali jaogi.... aur main akeli reh jaungi...." Natasha sad hote huye.

Vani sun kr Natasha ko gale se lagati hai, "Main tumse milati rahungi....don't worry"

"well.... tum aur Ruhan Bachpan ke dost the...k phir yesa kya hua ke 10 sal guzar gaye aur ab ja kar tum dono aamne samne aaye ho, aur shadi fix ho gai.... tumhe nhi lagta... ke itne sal ka gap hona..... Sahi nahi hai... means Logo ki pasand aur soch badal jati hai, Aur.. maine suna hai... Ruhan Aboard me Raha hai... to ho sakta hai... wo aboard ke tor tariko ko jayda pasand karta ho, phir tum wahan kese adjust karogi? " Natasha Vani se

"Main tumhari bat samjhti hun....main bhi confused hun... tumhari hi tarah main bhi sochti rheti hun... wo mere sath kese adjust karega"Vani mayus hoker.

"Tum Use pasand karti ho na?" Natasha

Vani khamoshi se Natasha ko dekh kr nazre niche kar leti hai.

"Pata nahi.... Pr iss riste se mom khush hai...Ruhan ke Grandpa khush hai... " Vani nazre niche kiye huye.

" aur Ruhan...? tum...? tum khush ho?" Natasha Worried hote huye

Vani han me ser hilati hai. Natasha use dekh ke mushkurah deti hai.

"Ek min....maine tumhe kabhi nahi btaya ke Ruhan aur me childhood friend hai.... tumhe ye sab bate kese pata hai?" Vani Confused hoker Natasha ko dekhti hai.

"Hahahaha... Han .... tumhare dost Yug ne mujhe btaya tha....Jab uss Restaurant wale incident ki rat use ghar chodne gai thi tab..." Natasha haste huye.

"Oh... to ye Yug ke kam hai..." Vani Annoyed hoker

"Well, Vani tumne mujhse bahut kuch chupa rakha hai... Kya main tumhari achi dost nahi hun?" Natasha Udas hoker.

"Yesa nahi hai... Wo bate zaruri nahi thi... " Vani nazar city view ki aur dekh kr.

"Acha to batao... Ruhan aur tum 10 sal phele alag kyun huye the..." Natasha Sawalo wali nazaro se.

Vani kuch der soch kar, Natasha se

"Koi khas bat nahi thi.....Ruhan ke Grandfather Aboard me rehte the... Ruhan ki yahan health kharab rehne lagi thi.... aur uski care karne wala koi nahi tha... isly Grandpa apne sath Ruhan ko aboard le gaye "

"Oh... I see...." Natasha.

NextGen Company,

Ruhan apne office me kuch files check kar raha hai.

"Sir, aap ghar chale jaiye... baki main sambhal lunga" Ruhan ka assistant Jaan.

"Nahi bas ho gaya hai... " Ruhan files dekhte huye coffee pita hai.

Tabhi Grandpa Ruhan ke office me aate hai, Jaan Grandpa ko ata dekh khada ho jata hai.

"Hello sir"

"Hello... beth jao apna kam karo..." Grandpa.

Ruhan Grandpa ko dekh kar, "Grandpa ap abhi tak ghar nahi gaye?"

"bas jaane hi wale hai...tum kal ki meeting ki, prepration kar rahe ho?" Grandpa

"Han... Grandpa bas hone hi wala hai... don't worry aap jaiye... " Ruhan work karte huye.

"kal tum meeting attend nhi karoge, use hum sambhal lege..."Grandpa Ruhan se.

Ruhan Grandpa ki aur hairani se dekhne lagta hai.

"kal tumhara Vani ke sath pre-wedding shoot hai, Vani ko pick karke Shoot ki location pe le jana " Grandpa

"Grandpa..... kya ye.. karna zaruri hai?, Main important meeting chod ke Pre-wedding shoot krwane jau?" Ruhan Laptop me work karte huye.

"Han.... zaruri hai... Shadi ek bar hoti hai... bar bar nahi... Ladkiya kafi arman le kar Dusre ghar se iss ghar aati hai... Yese hi Vani ke bhi kuch apne Arman hoge...To ye zaruri hai... Understand... kal subha pahuch jana... shadi me sirf 7 din hi bache hai, acha hoga ke tum apni tyari me dhyan do....ab hum chalte hai" Grandpa keh kr office se chale jate hai.

"Damn it...." Ruhan Gusse se laptop band karta hai. aur apne ser pe hath rakh kr ankhe band kiye betha rheta hai.

Jaan ye sab dekh raha hai.

Next Morning,

Vani nind me apne room se bahar aati hai, Ruhan Vani ke ghar pe betha hua Vani ki mom se bate kar rha hai, Vani be khayali me kitchen me jati hai aur pani pee ke jese hi kitchen se bahar aati hai, Ruhan ko dekh kr Shocked ho jati hai, Ruhan Vani ko hi dekh raha hai,

Vani ki mom bhi Vani ko dekh kr, "Iss ladki ko to kuch pata hi nahi hota... Vani ye kiya halat bana rakhi hai, Jao room me jaldi ready hoker aao Ruhan tumhe lene aya hai."

Vani kuch kahe bina sidha room me jati hai, Ruhan ki nazare Vani ko hi Follow kar rahi hai. Ruhan smile kar ke dekh raha hai.

"Ye yahan subha subha phir aa gaya.... pr kyun...?" Vani khud ko dekhti hai, "Huhuhu... kitna embarrassing hai..." Vani Door pe apna face chupate huye.