webnovel

Gayatri

13 saal ki ladki Gayatri. Ek chhote se gaon ke gareeb Brahman family se .Ghar mein maa , baba ,thaku maa (grand father),thaku baba ( grand mother) , Gayatri aur uski do chhote bhai behen.Baba Ghar chalane ke liye har roz bazar jate hain thela lekar . Gayatri ko padhne likhne ka bahot sauk tha par kya kare gareebi ke wajah se uske pita usko kitab Tak dila nahi sakte the .Aur uss samay ladkiyon ko itna padhaya kaha jata tha , ladkiya Kam Umar se shadi kar ke ghar basa le.

Ek din man mein himmat le kar baba se boli , " Baba ! mujhe pen chahiye. School mein sab bachhe use karte hain ."

"Ek pen lane mein 1 rupaye lagti hai... Nahi dila sakata ."

Udas ho kar bichari school chali gayi . Gayatri apni paas ke ek senior ke kitab se padhti hai aur phir agle saal use wapas bhi kar deti hai . Pencil se likh kar phir se mita bhi deti thi agle saal phir usi kagaj se ek aur class chali jati uski . Itni mushkilo ke sibah wo class mein 2nd ya 3 rd position laati hai .

Hamari sabki life mein problem hoti hai aur ham sabko apni apni problem sabse badi lagti hai .Kuchh log use sambhal leke apni manjil paa lete hain to kuchh usi se adjust kar lete hai apni aap ko.

Shaswati_Sweetiecreators' thoughts