webnovel

The black moon

Ar_Sh · Fantasy
Not enough ratings
19 Chs

chapter: 14 past

Doosri or 'tee' ne apne black magic ki madad se Nayra ki yaadaashat ko theek kar diya tha, sab yaad aate hi vo thoda bhadak jati hai.. par 'tee' usse sab samjha deta hai.. aur Nayra ko apni Maa par boht gussa tha ke usne, usko ghar ke chamber mein band kar diya tha vervain dekar..

Jab vo Abeer ke bare mein sunti hai toh vo Shaant ho jati hai kyon ke vo khud bhi Abeer ko dhoondh rhi thi, par iss jagah tak Abeer hi usse lekar aaya tha.. toh vo 'tee' ke kahe anusaar, Abeer ka intezaar karne lag jati hai..

vaise bhi vo function ab tak khatam ho chuka tha.. ab tk raat ke 2 bajj gye the, Ed boht khush tha.. usse pta tha ke Abeer pkka Evaa se sari baat bulwa lega.. aur kuch hi samay mein uski beti aur uska pyar paas honge..

Evaa taikhane mein Behoshi ki haalat mein hi padi thi.. usse boht bade jhatka lga tha..jis bache ko vo aaj takk mara huya samjh rhi thi vo zinda tha.. aur Ed ke hi paas tha.

'Tee', Nayra ko bore hote dekh usse baatein karne lag jata hai..

Tee: vaise ek baat boloon, don't mind!!

Nayra: han bolo..

Tee: tumahari aankhein, iss jungle ke king ki aankhon jaisi hain...

Nayra ke paas iska koi jawaab nhi tha.. kyon ke usne toh kabhi king ko dekha hi nhi tha.. toh bas thoda sa has deti hai..

Tee: tumhe pta hai Abeer king ka hi beta hai.. ek Lauta beta..

Nayra yeh sun kar samjh jati hai ke kaise Abeer ko iss Jungle ke bare mein pta tha.. kyon ke uske papa ke sath hi toh yeh sab huya tha.. usse thoda bura lagta hai, Abeer ke liye.. 'par ab koi dikkat nhi hogi.. kyon ke jab vo aayega toh usse sari information mil jayegi' aisa Nayra sochti hai..

Abeer ab thoda sa relax feel karta hai aur vo apne wolf ke look mein hi pani se bahar nikalta hai aur kinaare ki side par hi aise hi baith jata hai.. aur apni bachpan ki yaadon mein kho jata hai..

Past

Abeer aaj 7 saal ka hone vala tha..bas kuch hi ghante bache the vo boht healthy aur pyara tha, wahi neeli aankhein.. aur sab ko apni or kheench lene wali smile. jab se vo paida huya tha usse jungle ki doosri side mein rakha gya tha jahan Eric ne usse paala tha aur uske pita Ed har raat ko usse milne aate the... Abeer unse boht gusse hota tha kyon ke uske papa ke paas itna bhi time nhi tha ke vo uske sath sara din bitaa sake vo sirf raat ko hi usse 20 minute ke liye milte the.. aur fir chale jate the..

Par aaj Abeer ne pakka iraada kar liya tha ke chahe kuch bhi ho jaye aaj vo papa ko poori raat apne sath hi rakhega.. aur unse sare raaz pta karenga.. raat ho jati hai.. 12 bajjne mein kuch hi mintue baki the ke Ed wahan aa jata hai.. Aur theek 12 bjje vo usse wish karta hai.. Abeer unse gift maangta hai, par Ed ke paas koi gift nhi tha.. toh vo aise hi bol deta hai.. 'maango kya chahiye?' Yeh baat sun kar Abeer boht khush ho jata hai.. aur vo kehta hai ke 'main aapse 2 cheezein maangoonga aur aapko pakka deni hongi!!'

Ed khushi se haan bol deta hai.

Aur Abeer kehta hai 'pehli wish ke aap aaj sari raat mere sath bitayenge.. chahe kuch bhi ho....

Doosri wish ke aap mujhe sab bataoge!! Ke meri Maa kaun hai? Aur mujhe aise kyu rakhte ho, aap 2 cheezein Kaise ban jate ho? Ed ka rukna mushkil tha par Abeer ki Masoom shakal dekh kar vo han bol deta hai.. aur apni jagah Eric ko bhej deta hai.. vo khud bhi boht dino se soch hi rha tha ke Abeer ab bada ho gya hai toh usse sab bata dena chahiye, varna uske sawaal aur bhi badh jayenge.. aur aaj Abeer ne khud hi pooch liya tha.. toh Ed usse batane ke liye razi ho jata hai.. 'Toh suno fir..'

Ed: beta yeh mere bachpan se shuru huyi hai mere papa highbrid the. Toh ussi se mujhe yeh power mili kyu ke mere papa ke papa ne apni shadi vampire se ki thi jab ke vo khud wolf the.. toh vo un dono ke hi roop mein paida ho gye.. par beta aisa rare hi hota hai... toh mere andar bhi mere papa wali khoobiyan thi.. tum bhi dekhna ek highbrid banoge!! Aur fir iss jungle ke raja bhi banoge.. kyon ke hum boht powerful hote hain, toh hamein hi raja mana jata hai

Abeer thoda Sochne lag jata hai...

Ed: kya soch rhe ho?

Abeer: yhi ke aapko kaise pta?

Ed: kyon ke tumahri aankhon mein do rang hain.. iss liye tum 2 roop le sakoge.. jab tum 16 saal ke ho jaoge...

Abeer khush ho jata hai..

Aur fir apni Maa ke bare mein poochta hai...

Ed thoda dukhi hote huye..'Yeh thodi buri yaad hai beta.. toh tum dukhi mat hona.. aur sab samjhne ke baad apni Maa ko mat dhoondhna.. promise Karo?

Abeer unhein promise karta hai bina kuch soche ke aage iska kya prinaam hoga!!

Toh beta main bachpan se hi yhi palaa hoon, aur mere dost bhi.. mere hamesha sath hi rhe the.. tum mere sare doston ko jaante ho par ek ko chod kar..

Abeer: kaun hai vo?

Eva