webnovel

Indian Arabian Nights

Movies
Ongoing · 7.8K Views
  • 2 Chs
    Content
  • ratings
  • N/A
    SUPPORT
Synopsis

Ek pal mai apne ghar pe mere bachpan ki pasandida movie Ajooba dekh raha tha, dusre hi pal mai Ajooba, Alibaba aur 40 chor, Hatim-Tai jaisi movies ki mix duniya mein tha. Aakhir kyon aur kaise. Jaanne ke kiye padhe yeh fanfic. ( Yeh meri pehli fanfic hai aur ek wish fulfilment story, toh kisi serious kahani ki ummid matt rakhna aur galtiyon ke liye maaf kar dena. Mai roj nahi lekhne waala. Jaise jaise inspiration aayegi aur time milega mai likhta jaunga. )

Tags
5 tags
Chapter 1Chapter 1 - { Prologue Part-1 }

Mai nahi jaanta tha ki ho kya raha hai?! Ek pal mai apne ghar pe mere bachpan ki pasandida movie Ajooba dekh raha tha, dusre hi pal meri aankhon ke saamne andhera tha. Achanak meri aankhe khulti hai.

Mai khudko ek anjaani jagah par paata hu, anjaane logo ke saath.

Inke poshak aur bolne ka dhang dekh kar lag raha tha maano jaise mai Ajooba movie ki duniya mein pahuch gaya hu. Ya shayad mera koi dost mere saath mazaak kar raha ho.

Kaash yahi sach ho kyonki bhale hi mai time-travelling ka bahut bada fan hu. Lekin sach mein time-travel nahi karna chahta tha. Kyonki badi taqt ke saath badi zimmedario waale chutiyape mein fasne ka mujhe koi shauk nahi tha.

Pichhle 5 minutes se mera sar halke dard se fate ja raha tha. Isse badhiya toh upar waala utha hi leta. Kuch dhundli yaade mere dimaag mein laut rahi thi...

Hind... Baharistan.... Yaman... 40 choro ka aatank...

Maa ki aankh! Kaunsi chutiyape waali duniya mein pahuch chuka tha mai.

Mere sar ka dard khatm ho chuka tha. Aur ab mai achhe se jaanta tha ki mai kaun hu, kahan hu, kyon hu.

Mai purane bollywood fantasy movies ki mix duniya mein tha. Filhaal meri yaddasht ke hisab se Ajooba, Ali baba aur 40 chor, Hatim-Tai inn 3 movies ki maujudgi mein confirm kar sakta hai.

Shayad aur bhi movies iss duniya mein maujood ho jinke baare mein nahi jaanta...

Khair yeh jaadu, jinn, daaku, dehsat, ameer rajkumar, hadd se zyada khubsurat rajkumariyan, bure jaadugar { Amrish Puri }, Hadd se zyada dariyadil Hero/sehzade, julm sehti jaanta se bhari hui duniya thi.

Achhi baat yeh thi ki jisne bhi mujhe yahan bheja tha, usne mujhe Hind ka ek yoddha ke roop mein bheja tha. Mera naam bhi wahi tha Sushil. Mai Hind se baharistan ki or ja raha tha.

Mujh mein filhaal 10 hathiyo 🐘 ki taqat thi. Aur mai talwarbazi mein nipun tha. Hind ke hisab se mai ek Maharathi tha.

Hind mein yodhao ka vargikaran 4 roop mein tha. Rathi, Maharathi, Ati Maharathi, Mahamaharathi.

You May Also Like

Exorcist in America

"Father Yorks, may I ask what is meant by scientific exorcism?" A large group of priests in divine robes at the bottom stared at the man on top of the high platform, their eyes fiery as they asked. Listening to the task released in his ears, the corners of Yorks' mouth rose slightly, and "What do you mean by scientific exorcism? My answer is that we have to utilize the characteristics of modern technology in conjunction with our traditional exorcism methods to exorcise demons ......" "We all know that the evil spirit hates our recitation of the Bible, so we can record our recitation and play it out through audio, tormenting it every day and making it physically ill ......" "The evil spirit hates holy water and holy water will cause it as much damage as fire, if it doesn't come out and does its little tricks to disgust people every day, then we can ask the homeowner's permission to use the showerhead to sweep through the house and irritate it every day, of course this will require a lot of holy water, so roll it up ...... " "If an evil spirit or demonic being descends, we'll just blast it to death with a gun, if the gun doesn't work, then a cannon, if the cannon doesn't work, then a nuke, if the nuke doesn't work, then just wait for it to die ......" "......" Perverts, witches, magic, vampires, werewolves, demons, killers, the main one is a scientific [physical] exorcism ...... ----------------------- It's 1 chapter per day at 1 p.m. (Arizona) in every novel I upload. 3 daily chapters in each novel on patreon! p@treon.com/INNIT ----------------------- DISCLAIMER The story belongs entirely to the original author.

INIT · Movies
3.8
395 Chs

ratings

  • Overall Rate
  • Writing Quality
  • Updating Stability
  • Story Development
  • Character Design
  • world background
Reviews
Liked
Newest

SUPPORT