webnovel

chapter 2 the family matter

Nayra: (gusse mein) kyu?? Meri pasand badal nhi skti kya??? Hamesha ek hi ratt thodi lgati rahoongi.... aapki trah!!!!!

Papa: koi ni bula lo unko hum Jan-na chahte hain ke kaise dost hain tumahare?? Khana mangwa lenge bahar se... is mein kaunsi badi baat hai... aur rhi baat unko khane ki toh Hamara khud par control hai...

Nayra:(chidte huye) nhi!! main nhi bulaoongi unko. Aur ab aap mujhe Jaane dijiye please..

Papa:(gusse mein) tumhari himmat kaise huyi mujhe mnaa karne ki?? Maine bola na ke aaj tumahare dost ghar par aayenge mtlb aayenge. Jada swaal-jwaab mat kro..

Nayra jwaab dene hi lagti hai ke tabhi uski Maa wahan aa jati hai.. aur vo Nayra ko itne dino ke baad dekh kar khush ho jati hai..

Aur sath hi uske papa ko dekh kar samjh jati hai ke kya baat chal rhi hogi....

Toh uski Maa baat sambhal leti hai ke jane dijiye na abhi toh aayi hai.. baad mein baat kr lena...

Tb toh uske papa usse yhi bolte hain jo bola hai usse chup chaap maan jao varna mujhse bura koi nhi hoga....

Nayra ko yeh sun kar boht gussa aata hai aur vo apni Maa ki baat bhi nhi sunti aur ghar se bahar chali jati hai...

Uski Maa ko boht bura lagta hai...

Nayra bhaagte-bhaagte jungle ke 'waterfall point' par jaakr khadi ho jati hai.. aur bina kuch soche paani mein kood jati hai.... aur uske dimaag mein purani baatien chalne lag jati hain...

Jinhe vo yaad bhi nhi karna chahti thi.....

Shyra aaj jaldi college aa gyi thi toh vo apni class mein baith kar Abeer ka intezaar kar hi rhi hoti hai ke itne mein Abeer wahan aa jata hai, shyra ka usse poochne ka boht mann karta hai ke vo kall college kyu nhi aaya?? Par lack of confidence ki wajah se vo chup-chaap baithi usse dekhti hi rehti hai... Abeer hamesha ki trah normal t-shirt and Jeans pehan kar aaya tha.. uska chehra boht attractive tha jaise ke koi allg si chamak ho, tabhi toh vo poore college mein itna famous tha..

Class mein baki students bhi aane lag jaate hain aur itne mein unka lecture bhi start ho jata hai..

Pehla lecture history ka hota hai, jb bhi kabhi professor swaal poochta tha toh uska jwaab hamesha Abeer hi deta tha kyon ke usse dekhne se lagta tha jaise usse history mein boht jada interest ho aur isse knowledge bhi boht jada thi...

Shyra ko toh bas aise hi khushi ho jati thi ke ab Abeer ki awaaz sunne ko milegi. Par aaj jab professor sawaal Poochte hain toh Abeer jawaab nhi deta, Shyra ko boht ajeeb lagta hai ke aaj isse kya ho gya?? Yeh kuch bol hi nhi rha???

Aise hi sawaalon aur jawaabon ke silsile mein first lecture khatam ho jata hai aur sab class se bahar nikal jate hain... Abeer bhi library mein chalaa jata hai aur Shyra uske peeche.

Jahan par Abeer baithta hai theek uske saamne Shyra baith jati hai ke usse Abeer ache se dikhta rhe .....

Issi trah poora din lectures lgane ke baad, Abeer ko follow karne ke baad ab Shyra ka ghar jane ka time ho jata hai.. Shyra jaise hi college ke bahar ke nikalti hai.. toh uske saamne uski choti behan Nayra khadi thi...

Jise Shyra dekh kar boht jada hairaan aur gusse ho jati hai... vo mann hi mann uske bare hazaron bure kheyaal bunn leti hai....

Nayra jab usse baat karne ke liye aage badhti hai toh Shyra usse ignore karke wahan se jane hi lagti hai ke Nayra uska hath pakad leti hai.. Shyra ko boht jada gussa aata hai ke uski aankhon ka rang poori trah se badal jata hai aur vo Nayra ko poore gusse mein bolti hai ke : mera hath chodo.. varna iska anjaam shi nhi hoga...

Nayra: (thodi shanti se) ek baar meri baat toh sun lo boht zaroori hai... agr aisa na hota toh main kabhi tumse milne yahan na aayi....

Shyra: mujhe kuch nhi sunna plzz mujhe akela chod do, mujhe tumhari kisi baat mein koi bhi dilchaspi nhi hai.... ab mera hath chod do...

Nayra uska hath chod deti hai aur vo Shyra ki shakal dekh kar hi samajh jaati hai ke yeh kisi kaam nhi aayegi... aur Shyra wahan se nikal jati hai...

Nayra Wahin college ke bahar khade hokar sabko jaate huye dekhne lag jati hai... aur sare students usse!!!!

Next chapter