webnovel

chapter: 3 finding friends

Nayra bhi boht jada sundar thi... uski bhi aankhon ka rang neela tha... lambe se bhoore aur kale rang ke baal, shiny nose, 5.9 inch ki perfect height, aur uske sare body features boht shi the . Vo ek dum pariyon jaisi dikhti thi... usse dekh kar toh lagta tha ke jaise 'bhagwaan ne isse boht fursat mein banaya hoga'

College ke students bhi usse aise hi dekh rhe the jaise isse pehle koi ladki dekhi hi na ho... kayi ladkon ne toh Nayra se baat karne ki bhi koshish ki, par Nayra ko vo jada ache nhi lage iss liye usne un sbko dekh kar undekha kar diya

Doosri taraf Shyra ka gussa ab shaant ho gya tha ... usse khushi bhi thi ke "shukar hai ke yeh Abeer ke college se nikalne ke baad wahan aayi... par vo thodi hairaan bhi thi ke Nayra aaj se pehle kabhi nhi aise uske college aayi par aaj aisa kya ho gya?"

Jab college ka gate band ho gya, sare students college se chale gye.. tab Nayra bhi wahan se nikal jati hai.. vo shehar ki taraf badhne lagti hai kyon ke college shehar ke thoda bahar tha aur uska ghar toh poora hi shehar ke bahar tha... subah vali baat se preshaan hone ke kaaran co ghar Jane ke mood mein nhi thi .....

Vo thoda aage jati hai toh dekhti hai wahan ek bus shyed kharaab hone kaaran Wahin pe beech sadak mein khadi thi... paas jane se pta chalta hai ke uske engine mein koi kharaabi ho gyi hai... uss bus ke aadhe yaatri bahar aur aadhe andar baithe the... Bus ka driver, mechanic ke sath khadaa ho kar, bus ke engine ko theek karwa rhaa tha...

Aur sabhi yaatri aapas mein baat karne mein lage huye the... Shyra bhi bahar khade logon mein jaakar khadi ho jati hai ke tabhi peeche se ek ladka usse baat karne ki koshish karta hai... pehle toh Nayra kuch jawaab nhi deti par jab vo peeche mud kar dekhti hai toh usse vo ladka acha lagta hai.... aur vo bhi usse baatien karne lag jati hai..

Aaj boht samay baad ho rha tha ke Nayra kisi anjaan se 'aur sabse badi baat' kisi 'insaan' se baat kar rhi thi... shyed vo preshaan thi iss liye..

Nayra uss ladke ke sath hi bus ke theek hone ke baad... chali jati hai...

Aise hi din beet jata hai aur raat ho jati hai..

Nayra ab jungle mein hi akeli baithi hoti hai ke usse apne hi naam ki awaazien sunayi dene lagti hain... haan yeh shi bhi tha!!! Uske papa usse bula rhe the subah ke agreement ke liye..

Nayra ko majboori mein hi shi par ghar toh jana hi padta hai... jaise hi vo ghar jati hai, uske ghar mein khane ki khushboo aa rahi thi... tabhi uske papa aa Jate hain kehte hain: Maine apna ek vaada poora kar diya.... aur doosra bhi poora karoonga.. tumahare insaani dost kahan hain???

Nayra ko thodi chid mehsoos hoti hai... vo bina kuch bole hi andar ki or badh jati hai..

Raat ke 9 bajj jaate hain aur Nayra ke mummy aur papa dining table par baithe Nayra ke doston ka intezaar kar rhe the.. tabhi Nayra ki maa kehti hai ... ke "tum jane do na, kyu peeche pade ho? Itni kaun si badi baat hai.. Nayra toh hamesha hi aise ghar se bahar jati hai na, air vapis bhi toh aa jaati hai.... kya lena hai ke kiske sath jati hai hai?, kiske sath rehti hai?... toh jane dete hain na"

Par uske papa kafi gusse mein the.. aur vo bolte hain... zaroori hai!! is liye toh yeh kar rha hoon.. tevar dekh rhi ho iske!! Kitne badle-badle hain.. jo Nayra sabse pehle mujhse aakar milti thi vo ab mujhse kaise baat karti hai?? Aur usne aaj mujhe naa bola!!! Main yeh nhi seh skta!! Nayra ke dost ya toh aayenge.... ya fir Nayra ko aaj uski galti ki aur jhooth bolne ki sazaa zaroor milegi... vo kuch bhi karti, par usse bhoolna nhi chahiye tha ke Maine usse apne ghar mein rakha hai.. aur usse paal rha hoon... agr meri jagah koi aur hota toh ab tak usne toh usse maar diya hota!! Aisi hi baaton

Ka silsila chal hi rha tha ke achanak door bell bajti hai.. jise sunn kar toh Shyra bhi kamre se bahar aa jati hai.. tabhi Nayra aakar darwaza kholti hai... aur sab yeh dekh kar hairaan ho jate hain... kisi ko bhi umeed nhi thi...

"Darwaze par Nayra ke 4 dost khade the" Nikhil, Abhi, Saumya aur Dee

Un charon ko dekh kar toh uske papa bhi shock mein chale jate hain!! Sabse jada jhatka toh Shyra ko hi lagtà hai. Kisi ne yeh umeed nhi ki thi ke Nayra ke bhi dost ho sakte hain.. aur vo bhi "insaani dost" Kyon ke ab tak sabko yeh jhooth hi lag rha tha.

Nayra apne doston ka swaagat karti hai... aur vo uske mummy, papa, aur behan ko ache se milte hain... fir vo sab dining table ke aas-paas baith jaate hain... Nayra ki maa ko bhi jhatka lga tha...

vo un sab ke liye khana garam karke lati hai.. aur fir vo sab khana, khana shuru kar dete hain.. par Nayra ke papa ko tasalli nhi ho rhi thi is liye vo un sab se swaal poochna shuru kar deta hai...

"Beta tum sab ko toh maine Nayra ki class mein kabhi dekha nhi, aur usne koi college bhi nhi join kiya! Toh aap sab Nayra ke dost kaise bane??"

Toh Nayra ka ek dost Abhi jawaab deta hai.. "uncle jab school ke 8th standard mein hum trip par gye the Kashmir mein... tb wahan par humein Nayra mili thi... vo bhi apne school trip mein aayi thi... aur wahan par hum sab mile... aur bas tab hum iske contact mein aaye.. aur tabhi se dost ban gye the.. aur pichle 6 saalon mein yeh jo trips par gyi hai vo hum sab ke sath hi gyi hai.. yeh sab mere hi dost hain... par ab toh lagta hai ke mere kam Nayra ke jada hain.... aur vo sab ek sath hasne lag jate hain...

Papa: (thodi ajeeb sa mehsoos karte huye) toh fir tum sab kahan padhte ho??? Aur har hafte aise hi trip kaise organize kar lete ho???

Iss baar Nikhil jwaab deta hai: uncle ismein kya hai?? Hamari best friend ne college join nhi kiya... toh humne bhi nhi kiya... vaise bhi hum sab ki pasand boht milti thi.... hum sab ne mil kar socha ke kyu na hum travelling hi kar lein!!

Nikhil abhi baat poori kar hi rha tha ke Saumya beech mein hi bol padti hai: haan uncle!!! Ghoomne ka boht shaunk hai.. iss liye hamesha 1 ya 2 hafte ka trip banakar nikal jate hain... aap bhi aana kabhi.. aapko bhi boht mazza aayega..

Papa: itne paise laate kahan se ho tum???

Iss baar Dee jawaab deta hai: uncle jaise aap itne ache papa hain.. jo Nayra ko har hafte paise dete ho.. vaise hi hum sab ke papa bhi boht ache hain jo hamein paise de dete hain....

Nikhil: Baki hum traveler hone ke sath sath vlogs bhi toh share karte hain!!

Yeh sare jawaab sunn kar Nayra ke papa thoda sa vishwaas karte hain... ke haan! Shyed aisa hi ho...

Ab batien chal hi rhi thi toh Shyra bhi lage hath apna swaal poochti hai... "tum sab Nayra ko itne saalon se jaante ho!! Toh kabhi hamare ghar kyu nhi aaye??? Ya humein se kisi ko milne ki bhi koshish nhi ki...kyu??

Nayra bolne hi lagti hai par Abhi usse kaat deta hai : vo iss liye! Aapki behan boht kharaab hai... usne humein kabhi invite hi nhi kiya.. aaj hi pta chla ke uncle hum sab se milna chahte hain... aur hum aa gye...

Baki hum sab ko bin bulaya mehmaan banne ki aadat nhi hai!!!

Saumya: khair vo toh sab toh theek hai.. Nayra tum hamein yeh batao ke tumhari family humse itne swaal kyu kar rhi hai?? Hum sab kya inhein khooni lag rhe hain....

Sb hasne lg jate hain.. Nayra ki family ko chod kar...

Saumya: (uski family ke kharaab chehre dekh kar) don't mind uncle!! Main mazzak kar rhi thi...

Nikhil: han uncle yeh aisi hi hai! Kabhi bhi, kuch bhi bol deti hai..

Sabka dinner ho jata hai... aur vo sab ko bye kehkar ghar se chale jate hain aur Nayra bhi unke sath hi bahar chali jati hai...

Nayra ke papa ko boht gussa aa rha tha.. ke yeh kaise ho skta hai??

Iske insaani dost kaise ho sakte hain?? Aur vo sab aise hi behave kar rhe the jaise sach mein hi boht gehri dosti ho!!!!! .

Next chapter