webnovel

3.memories we spent together

Sab kuch achha hi hota jaa rha tha humari jindagi mein pyar badhta jaa raha tha hum dono ke bich. Puri duniya ko andekha kar ham bas yadein banane mein jut gye kuch batein wo batati kuch raaz main khol diya karta tha.

Ki kis tarah usi se dar kar usi ko andekha kiya karta tha. sab kayi yadein to khatam hi nahi ho rhi thi kuch aage kya hoga wohi keh rahi thi.

har second ghadi har waqt har lamha kuch aise bitta ja rha tha ki hame ek dusre ke alawa kuch samajh hi nahi aa rha tha.

Chahe ek dusre ka hath pakad kar apni feelings share karni ho chahe apna tiffin share karna ho ya fir uski punishments mei mujhe bhi uske sath khada hona ho. Jar baar usi ka khayal kiya karta tha kaise use hasana hai uske bahane dhundh liya karta tha khud ko usi par kurbaan kar baitha pyar tha pehla mera dil jo haar baitha tha.

ye baat hai hamare pehle jhagde ki mano sabse masoom chehra us waqt dekha maine jab wo gusse mei aakar muh fulaye classroom ke kone mei baithi thi. Toh ye waqt tabka hai jab hamare school mein annual function ka samay kareeb aa raha tha hamne dance practice mein hissa liya tha. Mai kafi achha dance kar leta tha isliye mai ek se bhi jyada gane me hua karta tha ek jisme wo mere sath thi toh dusra jisme mai kisi or ke sath tha. Halanki isi wajah se mai use aatitude dikha rha tha isliye jab wo mujhe practice karte hue dekhne aati mai uske muh pe darwaza band kar diya karta tha mujhe malum nahi tha ki wo itni masum thi. Wo sabkuch chhod kar classroom mein chali gyi or rone lagi usi bich kisi ek ne use pareshaan kar diya ye sunte mujhe gussa aa gya or mai turant waha gya or us ladke ko pit diya or kuchh jyada hi pit diya. Agle din uske ghar wale sidha principal office mein baithe the or mujhe kuch pata bhi nahi tha. Mujhe bola gya ki tujhe office mei bulaya hai tune kisi ko mara hai sab log mujhe dekhne lage or bole ye sab tune wo vishakha ke liye kiya hai na maine jhikhakte hue kaha "ha, kya hua agar wo mujhse naraz hai par use koi takleef ho mujhe pasand nahi" usne kaha "khud jo takleef deta hai use toh pyar kehta hai" bas usi din se hamri understandings ek fusre ke liye or bhi badh gyi.

bas kuch dino tak mujhe sabke samne murga ban na pada tha par wo mujhpe hasti thi wo hasti thi to mujhe bhi koi pareshani nahi hui.

mere charche us din se pure school mein hone lage mano star wali jo feeling hoti hai na bas bura iss baat ka lag rha tha ki us ladke ne school chod diya tha or vishakha ne bhi mujhe sunaya tha itna marne ki jaroorat nahi thi agar tu mujhe itna hi pyar karta hai toh dikhata kyu nahi .

maine kaha mujhe pyar karna aata hai dikhana nahi wo fir se muskarakar waha se chali gyi kitni masoom si thi wo.