Waqt Ka Imtihaan
Ek chhote se gaon ka ladka Aryan , jiske paas sapne to hain par unhe poora karne ke liye paisa nahi.
Gareebi, fees ke notices, maa ke balidaan aur society ke taane — sab uske raaste ke kaante hain.
Jab system uske khilaaf khada ho jaata hai aur sapne tootne lagte hain, Aryan ek aisa faisla leta hai jo uski zindagi ki direction badal deta hai.
Ye kahani sirf padhai ki nahi, balki khud par bharosa rakhne, haar ke baad uthne, aur zero se shuru karke khud ko banaane ki hai.
Par jab sab kuch theek hone lagta hai, ek anjaan sach saamne aata hai —
jo Aryan ke safar ko sirf mushkil hi nahi, khatarnak bana deta hai.
Sawal ye nahi hai ki Aman kitna upar pahunchta hai…
sawal ye hai — kya wo wahan tak pahunch bhi paayega?