Apne Sapno Ki Kahani
Ye raat kitni pyari hoti hai... chhupa deti hai saari baat.
Aria ke liye raat sirf andhera nahi hai. Ye uski dost hai, uski khamoshi hai, uska aashiyana hai. Jab duniya so jaati hai, tab wo apne sapno se baatein karti hai.
Na kisi ka aana hai, na kisi ka jaana. Na koi sawaal hai, na koi shor. Bas wo hai... aur uske sapne.
Par kya raat hamesha apni baat chhupayegi? Kya Aria apne aashiyane se nikal kar apne sapno ko sach kar paayegi?
Ek ladki, uski raatein, aur "Apne Sapnon Ki Kahani".
Ye kahani romance ki nahi hai. Ye kahani hai khud se mohabbat karne ki, khud ko dhoondhne ki, aur zindagi ka ek naya pehlu seekhne ki.
Mon-Fri updates | Healing + Slice of Life