webnovel

TARA KA GHAR

Main, Sara aur uske dost Tara ke Ghar pahunche Tara ke Tara mujhe dekh Kar hairan Ho gayi. Shayad use lag raha tha ki Sara mujhe apne sath use chedne ke liye lekar aayi hai. Tara ne hmara swagat kiya aur kuch saman lene bahar jane lagi. Maine use rokte hue kaha "Aap kyu jarahi hein, do main la deta hu na, aap btao kya kya lana hai" "Nahi tum jane do, tum sabke sath baitho main bass abhi lekar aati hu" usne muskurate hue kaha. Maine use bahut baar kaha ke do main la deta hu toh usne mere hath mein paise dediye aur kaha "btao kya lana hai" usne kuch biscuits aur chai lane ko kaha. Aur main muskurate hue waha se chala gya. mujhe wo hairat ki nazroun se dekh rahi thi.

Saman lene ke baad main wapis ghar par aaya. waise hi Tara samne aai aur saman ki thaili maine uske hath mein thama di aur usse pucha "kya main nashta lagane mein kuch madad kardu?", usne kaha "arey nahi, jane do tum nashta lekar aagye wahi kaafi madad kardi tumne, tum jakar baitho sabke sath main nashta nikal kar lati hu, aur nashta lane ke liye shukriya"

Thanks for reading ❤️

sabrinarosecreators' thoughts