webnovel

23.

Aaj ka din kisi azaadi ke jashan se kam nahi tha. Final exams ka aakhri paper khatam ho chuka tha, aur larkiyan khushi se phooli nahi sama rahi thi. Nain, Naurez, Maham, Summayya, Shehreen, aur Maira ne decide kiya tha ke aaj woh university se seedha entertainment ke liye niklengi. Final exams ke pressure se chhootne ke baad sab ko ek break chahiye thi.

"Yaar, ab jab sab khatam ho gaya hai, to chalo kuch maze karte hain," Naurez ne tezi se kaha, apni stationary bag mein daalte hue.

"Bilkul, aaj ka din hamesha yaad rahega!" Maham ne bhi enthusiasm ke saath jawab diya. "Lekin pehle Sir Malhi ki permission pass karni padegi. Tum sab ready ho?"

Yeh sunkar sab larkiyan ek dosray ki taraf dekh kar hansne lagi. Sir Malhi ke mazeed "investigation" se sab waqif thi. "Malhi to shayad humare ghar jaane ka route bhi confirm kar ke hi sign dega!" Maira ne has kar kaha.

"Waise mujhe lagta hai ke Sir Malhi aik zabardast 'saas' ban sakte hain," Summayya ne bhi ek sarcastic comment maara. "Har baat mein inquire karna, poori talashi lena!"

"Saas? Saas ka koi level nahi hai Malhi ke samne. Wo to baap bhi ban sakte hain... aur judge bhi," Shehreen ne mazaak banate hue kaha. "Agar Sir Malhi court mein hote, to har case solve ho jata!"

--

Jab larkiyan Sir Malhi ke paas gayi, to hamesha ki tarah unka CID officer jaise behaviour ka saamna karna pada.

"Haan ji, kahan jaa rahe ho? Kis ke saath? Kab wapas aaoge?" Sir Malhi ne aankhon mein shakk ka izhaar karte hue ek ke baad ek sawal kar diya.

Maham, jo hamesha sabka leader banti thi, ne seedha jawab diya, "Sir, hum log bas shopping aur outing ke liye jaa rahe hain. Permission sign chahiye."

Sir Malhi ne pehle apni aankhon ke chashme ko adjust kiya aur phir ek deep sans le kar bola, "Theek hai, lekin waapis time se aana. Aur zyada door mat jaana!" Usne apni taraf se strict lagne ki koshish ki, lekin larkiyan already has rahi thi.

"Waise Malhi ko zyada serious lena mushkil hai," Naurez ne dheere se Maham ko kaha, jab Sir Malhi ne finally sign kiye.

Sab ne sign milte hi wahan se nikalne ka plan banaya.

"Ab seedha HOD ke paas, phir auto ki talash," Nain ne hasi mein kaha, jaise ek aur mission khatam ho gaya ho.

--

Jaise hi larkiyan apne department ke HOD ke office gayi, unka mood abhi bhi light tha.

"Dekho, agar HOD ko yeh pata chal gaya ke hum exam ke baad sirf maze karne ja rahe hain, to wo bhi aik lambe lecture mein daal denge," Shehreen ne hans kar kaha.

"Chup kar, bas sign le lo aur nikal jao," Summayya ne bhi added warning di.

HOD ne, surprisingly, koi zyada question nahi kiya. Sirf ek short si inquiry ke baad sabko sign mil gaya, aur larkiyan ne rahat ki sans li.

"Phew, ab sirf auto dhoondna hai!" Maira ne mazeed relaxation ke saath kaha.

University ke bahar jaate hi, sab ne ek auto ka intezaar karna shuru kiya. Waqt kuch zyada nahi guzra tha ke Haroon aur Abdul Rehman, jo unke classmates bhi the, bhi wahan pohanch gaye.

"Tum log bhi nikal rahe ho? Final exams ke baad ka plan kya hai?" Haroon ne casually poocha.

"Haan bhai, aaj ka din outing ka hai," Maham ne jawab diya. "Tum log bhi nikal rahe ho?"

"Ji haan, hum bhi ja rahe hain, chalein saath mein auto grab karte hain," Abdul Rehman ne haste hue jawab diya.

Sab ne decide kiya ke saath mein chalna zyada fun hoga, lekin problem yeh thi ke ek hi auto mil raha tha. "Ek auto mein hum itne log? Yeh kaise possible hai?" Maira ne thoda surprised ho kar kaha.

Lekin Haroon ne confident smile ke saath jawab diya, "Sab kuch possible hai! Hum adjust ho jayenge."

Jab sab log auto mein squeeze ho gaye, to scene itna funny ho gaya ke sab hass hass ke lutput ho rahe the.

"Yeh auto ab helicopter lag raha hai. Upar se bhi latka lo humein!" Shehreen ne hassi dabate hue kaha, jab wo sab ek doosre se chippak ke baithe hue the.

"Aray haan, hum to ab ek doosre ke lap mein baith gaye hain," Summayya ne bhi ek shararat bhari hansi ke saath jawab diya.

Aise mein, unka senior Arslan bhi apne dost ke saath wahin aa gaya. "Tum log kahan ja rahe ho? Itni bheed mein!" Arslan ne hasi se poocha.

"Bus, city ja rahe hain. Tum bhi aa jao agar jagah ho!" Maham ne mazaak banate hue jawab diya.

Arslan ne apne dost ke saath unke peeche ek aur auto grab kiya aur saath nikal pade.

Is dauran, Waleed aur Amir, jo apni bike pe university waapas aa rahe thay, ne in sab ko ek saath auto mein dekha. Waleed ne ek nazar daali aur gussa se apne daant pees liye.

"Maira? Yeh kya kar rahi hai? Sab larkon ke saath auto mein?" Waleed ke andar ka gussa barh raha tha.

Amir ne ek cold nazar daali, lekin apne jazbaat ko daba diya. Usne koi izhar nahi kiya, lekin andar hi andar usay bhi ajeeb lag raha tha. "Nain bhi wahin hai," usne dheere se socha, lekin uska dil ab indifferent ho gaya tha.

Waleed ne phir apni bike aur tez kar li, jaise wo wahan se door nikal jana chahta ho. Lekin uske zehan mein yeh manzar ab bas chuka tha.

"Ab is baat ka jawab dena padega," Waleed ne apne dil mein faisla kar liya.

Auto ka safar mazeed funny hota ja raha tha. Arslan, jo peechay apne dost ke saath doosre auto mein tha, ne apni awaz un tak pahunchai, "Tum log safe ho ya aur log bhi utha rahe ho auto mein?"

Maham ne hans kar jawab diya, "bhai ap bhi aaye hote to aur bhi interesting ho jata!"

Sab larkiyan aur larkay ek doosre par mazeed mazaak barsa rahe the. Jab wo sheher mein pohanche, to sab ke chehron pe muskurahat thi.

Chương tiếp theo