webnovel

21.

Lecture ke baad, jab sab larkiyan university ke cafeteria mein gup shup mein masroof thi, Summayya ka phone baj utha.

"Haan, Gg, Boliyay?" Summayya ne phone uthaya aur aik pyari si muskurahat uske chehre par phail gayi.

"Main apko lene aaya hoon, shopping ke liye chalna hai," Awais ki awaaz phone se gujri.

"Wah, aj ka din to maze ka hone wala hai," Summayya ne khushi se kaha. Usne phone band kiya aur apni doston ki taraf dekha, "Awais mujhe pick karne aaye hain, shopping pe jana hai."

"Wah, kya baat hai!Maira ne cheekh maar kar kaha. "Zaroor apne mangetar ko impress karne ke liyay aaye hain, Bhai!"Maira ne mazaak banaya.

Summayya ne thodi si sharmate hue kaha, "Nahi yaar, bas thodi si zaroorat thi cheezon ki." Lekin uske chehre ki chamak sab kuch bata rahi thi.

Maham ne aankh maarte hue kaha, "Chalo, chalo, abhi guard ko batao warna wahan rok lega. Yeh guards bilkul akhri waqt par hero bante hain!"

Jab larkiyan gate ke qareeb pohanchi, to wahan guard ne Summayya ko rok liya.

"Madam, aapko Sir Malhi ki sign chahiye hogi permission ke liye," guard ne usko rok kar kaha.

"Oh no!" Summayya ne thoda naraaz hote hue kaha. "Sir Malhi se sign lena matlab jaise himalay par chadhai karna."

Naurez ne hansi mein kaha, "Haan bhai, Malhi to aise inquiry karega jaise hum alien spaceship mein nikal rahe hoon!"

Sab hans rahi thi, lekin samajh gayi thi ke ab Sir Malhi ke paas jaana hi padega. "Yeh kaun se naye chakkar hain! Shehreen ne zara irritate ho kar kaha, "Inko to bas humaray plans bigaadne ka mauqa chahiye."

"Theek hai, main jaati hoon Malhi ke paas," Maham ne achanak apni offer di. "Main tou is Mamla ko handle kar sakti hoon."

Nain ne has kar kaha, "Haan, tum hi jao Maham. Tumhari blunt aadat aur self-confidence ko Malhi bhi nahi rok sakta."

Maham ne sir hila kar tayyari dikhayi, "Dekho, kaise pal mein kaam karwaati hoon!"

Maham Sir Malhi ke office ke paas pohanchi. Darwaza dheere se knock kiya, aur andar daakhil hoti hui ek confident smile ke saath Sir Malhi ke samne khadi ho gayi.

"Ji Sir, ek permission chahiye thi," Maham ne formal andaaz mein kaha.

Sir Malhi, jo hamesha se thoda funny tareeke se react karta tha, apni chair se uth gaya aur apni aankhon mein shakk ka izhaar karte hue bola, "Haan bhai, bataiye! Kaunsi madam ja rahi hain, aur kaun le kar ja raha hai?" Uski awaaz mein ek typical investigating officer ka lehja tha.

"Mere dost ko unke bhai lene aaye hain, shopping ke liye jaana hai," Maham ne seedha jawab diya, lekin Malhi ko abhi aur investigation karni thi.

"Bhai? Yeh kaunsa bhai hai? Naam batayein. Shopping ka matlab kya hai? Shopping kaun kar raha hai, aur yeh shopping ka budget kitna hai?" Malhi ne apni serious awaaz mein sawaal par sawaal daal diye.

Maham ne andar hi andar hassi ko daba kar kaha, "Sir, unka naam Awais hai, aur wo Summayya ke bhai hain, woh dono mil kar shopping karenge, aapko aur koi details chahiye?"

Malhi ne thoda apne chashme ko upar karte hue dekha, jaise ab usay bilkul confirm karna ho ke kahin koi chalaki to nahi ho rahi. "Achha... Awais bhai? Aur yeh shopping kis type ki hogi?"

Maham ne finally thoda mazaak banate hue kaha, "Sir, bags aur shoes waghera ki shopping hai, koi khufia plan nahi chal raha. Aap relax karen."

Sir Malhi ne ek gehri sans lete hue kaha, "Hmmm... theek hai, sign mil jayegi.."

Maham ne dil mai socha, "Mujhe laga tha jotoon ka number bhi pochay ga!"

Baahar nikalte hi Maham ne tezi se apni doston ko jaa kar kaha, "Kaam ho gaya! Sir Malhi ko investigate karne ka bohot shauq hai, lekin sign le li maine!"

Summayya ne ab rahat ki sans li aur kaha, "Shukriya Maham! Warna pata nahi kitni dair yeh hoota rehta."

Naurez ne phir se has kar kaha, "Yeh Sir Malhi to waqai CID officer banne ka sapna dekh raha hai. Investigation master hai banda!"

Sab hansne lagi, aur phir Summayya ko permission mil gayi. Usne apna bag uthaya aur jaldi se gate ke qareeb gayi, jahan Awais usay lene aaye thay.

Awais ne gaadi ke ander se dekha aur ek gentle smile ke saath kaha, "Summayya, jaldi aajao, late ho rahe hain."

"Ji," Summayya ne hamesha ki tarah izzat ke saath jawab diya aur gaadi mein baith gayi. Uske chehre par ek ajeeb si muskurahat thi. Woh jitni baar Awais ko dekhti thi, uske dil mein khushi ki leher daud jati thi. "Shukriya Sir Malhi ka jo shopping ke liye permission mil gayi!" Summayya ne mazaak karte hue kaha.

"Kya sir Malhi? Phir kuch funny kiya usne?" Awais ne haste hue kaha.

"Gg, Malhi ko poora interrogation session chahiye hota hai. Yeh shopping bhi koi crime lagti hai unko!" Summayya ne hans kar jawab diya.

Awais ne gaadi chalate hue kaha, "Chalo, kam az kam permission to mil gayi. Ab tumhari shopping ki responsibility meri hai!"

"Nahi, nahi, bilkul nahi! Main apni shopping khud karungi, mujhe pata hai tum bohot simple cheezain khareed loge," Summayya ne hassi mein jawab diya.

-

Shopping ke dauran, Awais aur Summayya ke darmiyan mazeed guftagu hoti rahi. Summayya hamesha Awais se izzat aur sharafat ke saath baat karti thi, lekin andar hi andar usay Awais ke saath waqt guzarne ka maza bhi bohot aata tha.

"Tumhein kuch chahiye ho to bata do, Summayya," Awais ne ek dukan ke bahar ruk kar kaha. "Main chah raha hoon ke tumhari pasand ka kuch zaroor ho."

Summayya ne dheere se hansi dabate hue kaha, "Nahi, jo lena hai main dekh lungi. Waise bhi aap jo pasand karte ho, wo bohot seedha aur simple hota hai."

Awais ne is baat par muskuraya aur phir kaha,"Theek hai, lekin aaj ka din tumhara hai. Jo chahe le lo."

Chương tiếp theo