webnovel

Zid 1

Vihaan Office se Ghar aate hi Room me jata hai, Jese hi apna coat Utarta hai, Window se Pura chaand dikh raha hai, Vihaan Window ke pas jaa kar Chand ko dekhte huye Kanak ke sath biti yaadon me kho jata hai, Woh shaam yaad karne lagta hai jab Kanak aur Vihaan saath me Beth kar Chand dekh rahe the.

**("Tumhe Chaand me Right side ladka aur left side ladki dikh rahi hai.... .? ,Yesa lag raha hai dono Kiss kar rhe hai.... "Vihaan

"Par papa toh kehte the wahan Khargosh (rabbit) rehte hai"Kanak

"Kiya...? "Vihaan

"Ji.... aur woh Cup cakes banate hai"Kanak

"Aur kiya kiya karte hai? "Vihaan

"Aur papa kehte the ki Woh khargosh ache bacho ko hi woh cup cakes dete hai... " Kanak)**

Vihaan Khud-ba-Khud Mushkurane lagta hai, "Khargosh Aur kachuiye... "

Kanak ke ghar....

Kanak apne room Apne collage work me busy hai, Aman Kanak ke room me aata hai, "Kanak... " Aman awaz lagata hai. Kanak aman ko dekhti hai, Aman ke hath me ek chota sa Cup cake hai. Aman Kanak ke pas aakar.

"Happy Birthday to u....Mene yeh tere liye bnaya hai, Yeh tera Pehla Birthday tha, Jisme tu Humare sath nahi thi"Aman

"Bhaiya... Apka bahut bahut Sukhriya...."Kanak

"Chal ab jaldi se... Iss candel ko Phuk marna Okay..."Aman ek choti Candel Cup cake me Jala kar lagate huye.

Kanak Phuk marti hai, Aman Clap karta hai "Happy Birthday to you... meri piyari si bahan.... "Aur apne hatho se Kanak ko Cake khilata hai.

"Thanks you bhaiya.... " Kanak Aman se gale lag jati hai.

"itna drame mat kar... mujhe pata hai... tera birthday Isse jayda shandar bana hoga England me... "Aman Gale lage huye Kanak se

"Bhaiya... Apko mera sab drama lag raha hai, Han mera birthday wahan bana hai, lekin mene ap sab ko bahut miss kiya,Yeh mera yesa pehla birthday raha hai joh apke bin bana hai" Kanak Ankho me ashu laa kar.

"Oho mene apni Pyari bahan ko rula diya... Acha baba sorry...Maine tujhse contect karne ki try kia tha ,Par ho nahi paya" Aman

"Koi bat nahi... yeh cake bahutt sweet hai " Kanak anshuo ko saaf karte huye.

"Acha...Kanak, Tujhse ek baat puchu.."Aman

"Ji bhaiya puchiye... *Kanak

"Sab thik toh hai Na... Tere aur Vihaan ke bich??? " Aman ke puchne se Kanak saham jati hai, "Ha... Haan... Bhaiya... sab thik hai... "Kanak atakti hui bolti hai.

"Tu ghabrah kyun rahi hai ?"Aman Kanak ko ghur kr dekhta hai.

"Nahi bhaiya, Yesi koi baat nahi hai,"Kanak ser Na me hilate huye

"Chal Maan leta hun yesi baat nahi hai, Agar hui toh tu mujhe bataygi? "Aman

"Han... Bhaiya... apko bataungi" Kanak Nazar niche kar ke

"Thik hai, Tu ab aram kar kal tujhe collage bhi jana hai, Aur mujhe Office "Aman room se jate huye.

Next day...

Kanak Collage ki classess Kar ke Collage ke bahar auto pakdne nikal hi rahi hoti hai, Raste me use Yash mil jata hai.

"Hi Kanak... Kesi ho.. "Yash

"Ahm.. Yash hello" kanak

"Kiya tum ghar jaa rahi ho? "Yash

"Han... meri sabhi classess ho gai thi toh... "Kanak Chalte huye, sath me Yash bhi chalne lagta hai.

"Wait Kanak... Kiya tum mere sath Coffee pine chalogi?"Yash Kanak se

"Yash... Main... Nahi... "Kanak bol nahi pati Yash Bat rokte huye.

"Dekho mana mat karna... Please chalo na, Hum Phele bhi toh jaya karte the, ab kyun nahi? "Yash

"Aaj nahi Yash, Please Phir kabhi" Kanak

"Uff... Ok Phir kabhi... Thik hai Khush... Chalo aaj me tumhare sath tumhare ghar chalta hun, Kafi din s Uncle Aunty se bhi nahi mila, isi bahane mil lunga, Meri Bike wahan khadi hai, main le kar aata hun" Yash Bol kar bike lene chala gya.

Kanak kuch keh nahi pati aur pareshan ho jati hai.

Vihaan apni Car se usi time pahuchta hai, ki dekhta hai Yash apni bike le kar Kanak ke samne aaya hai, Vihaan Gusse me "Yeh Yash.... Yahan bhi" Car ko thik kanak ke pas le jaa kar rokta hai.

Kanak Vihaan ki Car dekh dar jati hai,Yash bhi shocked ho jata hai, Vihaan Car se utar kar Kanak ke samne aakar Gusse me

" Kanak Car me betho"

Kanak Bethne jane lagti hai ki Yash aakar Kanak ka hath pakad leta hai "Nahi... Kanak mere sath Apne ghar jaa rahi hai"

"Kanak ko main ghar chod dunga... "Vihaan Yash ko ghurta hua Kanak ka hath pakad kar apni taraf khich leta hai.

"Vihaan main bhi Kanak ke ghar jaa raha hun, Isly Kanak ko apne sath le jaa raha hun, isme kiya harz hai, Akhir me uska Bachpan ka dost hun"Yash Naraz hoker

"Aur me uska husband,Tum Jao Kanak ko main chod dunga"Vihaan Gusse me

Yash aur Vihaan ek dusre ko gusse me ghur kar dekh rahe hai, Kanak kuch bol nahi pati, Yash Aage aakar Kanak ka hath pakad leta hai.

"Kanak tumne mujhse phele kaha tha, tum mere sath hi jaogi" Yash gusse me Kanak ke hath ko zor s pakda hua hai.

"Aah.... Yash" Kanak ka hath zor s pakdne ki wajha se dard karne laga,

Vihaan Kanak ka hath zor se pakde dekh kar Yash ko Zor se dhakka mar deta hai aur ek hath se Kanak ko apni taraf khich leta hai.

Yash niche Gir jata hai, use samne ek Lakdi ka mota danda dikhta hai use utha kar Sidha Vihaan ke sholder per achanak se marta hai,Vihaan ki shirt wahan se phat jati hai, aur wahan se blood aane lagta hai,

Kanak blood dekh kar Khof me aakar apne muh pr hath rakh leti hai,awaz Tak nahi nikal paa rahi hai,

Isi Bich Vihaan ko aur jayda gussa aa lata hai Vihaan Gusse me jaa kar Yash ke Punch maar deta hai aur dono me yese hi Zor dar ladai ho jati hai, Kabhi Yash Kabhi Vihaan ek dusre ko maar rahe hai, Vihaan ki maar se Yash ko jayda chot aane lagti hai.

Kanak Us Manjar ko yaad karti hai, Kaise Vihaan ne Ek ladke ki Ungliya todh di,Yahan tak Vihaan ne Laila ko nahi choda, Vihaan ka Gussa khatarank hai, "Vihaan ji gusse me hai, agar unhe roka nahi gaya toh....." Kanak ko yeh bat samjhne me zara bhi wakt nahi laga.

Chương tiếp theo