Is Duniya mein bhot saare alag alag Monster Aur Demons rehte the. jo insaano ko maarte the, un Demon aur Monster se ladne ke liye insaano ke pass Powers hoti thi jise (Op) Energy ki help se use kiya jaata tha.
-*-*-*
Op insaano ki Body mein ek aisi Energy hoti thi,
jiski Help se insaan apni Powers ka use kar sakte the. Op har kisi ke pass barabar nhi thi. kisi ke pass kam hoti thi Toh kisi ke pass jaada Aur kisi ke pass had se jaada kam hoti thi jise mehsoos karna bhi bhot muskil hota tha
Yha 7 City thi Aur har City ke andr ek Academy thi. Academy mein Insaano ko unki Op ki Help se Powers ka use karna sikhaya jaata tha, aur unhe Training ke liye Hunting par bheja jaata tha.
Hazu, Akele ek Gande se tute huye Lakdi ki ghr mein rehta tha. Bhaar se dekhne par wo ghar ek purana khandar dikhta tha. Uske ghr mein ek hi bed tha jo bhot kharab halat mein tha use dekh kar aisa lagta tha jaise wo kabhi bhi tut sakta hai.
Hazu ka ghr City se thoda dur tha. jha bhot kam log aate jaate the. Hazu ke pass khane ke liye kuch nhi tha aur use bhot joro se bhuk lagi thi.
Hazu ke pass Op bhot jaada kam thi jisse wo Rabbit ka shikaar nhi kar sakta tha isliye usne jung lagi ek lawaar li. us jung lagi talwaar ki halat bhot jaada kharb thi. talwaar ko dekh kar aisa lag rha tha jaise maano wo kabhi bhi hath se tut kar niche gir jaaye.
Hazu apne ghr se talwaar ko le kar bhaar nikla aur usne Taazi hawa mai ek gheri saan li.
"Aaj ka Mausam bhot achha hai, Bhuk lag rhi hai, aaj khane ke liye Rabbit ka shikaar karta hu.
Rabbit khane ke man se hi Hazu ke muh se laar tapakne lagi, usne Apne hatho se laar ko pocha aur Muskurata hua apni kamzor talwaar le kar Jungle mai shikaar karne pahoch gya.
Use Jungle mein aas pass khi Rabbit nhi dikh rhe the, upr se use bhot tez bhuk bhi lagi thi jisse wo bhot jaada chid gya.
"ye saare Rabbit ko aaj pata tha ki me unka shikaar karne aa rha hu, koi Rabbit dikh kyu nhi rha?"
Jungle mein Bhot saari Ajeeb ajeeb bhyanak awaaje aa rhi thi. Aisa lag rha tha jaise sab Hazu ka hi intzaar kar rhe ho.
Hazu ko Bhyanak Awaajo se Ghanta fark nhi pada. Wo bass apni Bhuk mitaane ke liye Rabbit ki Talash mai Dhun tha.
Wo Jungle mein thoda andr gya, wha bhot saare Tree the unme se kuch tree par fal lage huye the.
Usne apni bhook ko kam karne ke liye ek tree par lage fal par pathar maara, jiski wjah se wo fal tut kar jameen par gir gya. usne jhuk kar ek hath se fal ko jameen se uthaya, fal ke jameen par girne se us par mitti lag gyi thi isliye usne us fal ko apne kapdo se ragad kar saaf kiya aur use khane laga.
Fal khate hi uske face par ek alag hi khushi thi, uski Aankho mein Khushi ke Aansu the. khushi ke maare wo chilla kar bola.
"Wah!!!
" Kya Tasty fal hai, aisa fal maine aajtak nhi khaaya."
use nhi pata tha ki wo konsa fal hai? bass wo fal khane mein magan tha. Fal khate huye uski Nazar ek Rabbit par gyi.
"Aaj ka din meri Zindagi ka sabse achha din hai, Phle khane ke liye itna tasty fal mila aur ab jiski mujhe Talash thi wo Rabbit bhi mere pass khud chal kar aa gya".
Usne Apni talwaar ko jor se Rabbit ki aur feka, Talwaar Rabbit ke Pet mein lagi, jisse Rabbit usi time mar gya lekin Talwaar rabbit ke lagane ke baad usi time tut gyi.
Rabbit ko talwaar se maarne ke baad uske face par ek Bhuke jaanwar wali khusi thi, Par uski Talwaar tutne par uske face se wo khushi dukh mai badal gyi.
usne apni aankhe band kari, aur ek gheri saans li.
" Koi baat nhi achha meat khane ke liye achhi cheej khoni bhi padti hai".
Wo mare huye Rabbit ko pakadne ke liye aage bada, Tabhi ek jor se Awaaj aayi.
"Dhadam"!!
Puri Jameen hilne lag gyi aur jha uska mara hua rabbit tha wha bhot jaada dhul udne lagi.
jiski wjah se saamne khuch dikhai nhi de rha tha.
Hazu bhi Us jameen ke hilne se hil gya, uska fal uske hath se jameen par gir gya, wha bhot jaada tez dhul udne lagi. wo dhul Hazu ki aankho mein chali gyi jiski wjah se use sab kuch dhundla dikha rha tha.
uski aankho mein aur dhul na jaaye isliye usne apne dono hatho se apni aankho ko dhak liya.
" Ye awaaj kaisi thi? aur ye itni tez dhul kyu ud rhi hai?"
kuch second baad Dhul udna band ho gyi bilkul sab phle jaisa ho gya.
usne apni Aankho ko apni ungliyo se masala aur dhul bhaar nikali.
"Achha hua dhul udni band ho gyi, ab mere ko mere Rabbit se milne se koi nhi rok sakta".
wo apne Rabbit ko lene ke liye jaise hi aage bada usne saamne dekh ki uske Rabbit ke Upar ek bhot bada Demon khada tha. jiska shareer Kaale rang ka tha, uski Ek badi si aankh thi. Uska shareer Bhot jaada Vishaal tha. Wo Hazu se lag bhag 50 Guna jaada bada tha.
Demon ne Hazu ki traf dekha aur jor se has kar bola.
"Oye Chuje, Aaj Teri Kismat bhot kharab hai jo tera saamna mere jaise Mahaan Demon se ho gya."
"Tu bhot khushnasib hai jo teri Maut mere hatho hogi, Teri toh Op bhi bhot kam hai tu toh apne liye lad bhi nhi sakta" Ha Ha Ha".
"Teri Op bhot kam hai lekin me firr bhi tujhe aaj maarke khaunga. aaj tere jaise kamzor insaan se hi kaam chalana padega".
Demon ke Muh se itna sab kuch sunne ke baad bhi Hazu ke face par us Demon ki baato ka koi darr nhi tha. Hazu ne us Demon ko upr se dekhna shuru kiya, dekhte dekhte jaise hi uski nazar uske Pero par gyi, usne dekha ki uske Rabbit ke upar wo Demon khada tha. Hazu ka Dimaag ab Ghum gya, usne Rabbit ko maarne ke liye apni Talwaar ka balidaan diya tha jo uske pass ek hi thi. ye sab dekh kar Hazu apna sar niche karke, Apne hath ki dono Muthiyo ko daba kar Bilkul shant khada ho gya jaise maano wo koi Pathhar ki Murti ho.
Demon ne Hazu ki traf dekh kar firr hass kar bola.
"Ha Ha Ha!, Chuje, teri toh darr ke maare awaaj bhi nhi nikal rhi, Tera Shareer mere Khof se Sun pad gya kya?"
Hazu ne apne hath ki Muthiyo ko dheere se khola, usne apna sar halka sa teda kiya aur serious awaaj mein bola.
"Tu Jiss par khada hai wo mera aaj ka khana tha. uski wjah se meri talwaar tuti aur teri wjah se wo khana mera khrab ho gya".
"Ab tu ye bata tu kaisi Maut Marega?, Dardnak maut ya bina dard wali Maut."
Demon ko kuch samjh nhi aaya. wo soch rha tha ki uske saamne insaan aate hi darr ke maare bhaag jaate hai ya firr Apni Zindagi ki bheek maangte hai, lekin ye kamzor sa insaan apne khane ke liye meri aankho mein aankh daal kar baat kaise kar rha hai?
Demon ko bhot jaada ghussa aaya, usne apna ek per jameen par bhot tez maara jisse aas pass ki Puri jameen hil gyi aur Hazu bhi hil gya.
"Chuje, teri Himmat kaise hui meri aankho mein dekh kar baat karne ki, Tu mujhe maut dega? aaj me tujhe sabse dardnaak maut dunga".
Hazu halka sa Muskuraya, usne Demon ki traf ungli kar ke pucha.
"Gandi si Shakal ke, Tera name kya?"
Hazu ki ye baat sun kar Demon ki aankhe ghusse se laal ho gyi, usne ghusse mein apna ek hath bagal mein pedo ki traf ghumaya, hath ki taakat itni jaada thi ki bagal ke aadhe se jaada Ped tut kar ud gye.
"Chuje, ye dekh meri taakat, Tere jaise agr puri duniya ke insaan bhi aa gye toh mera khuch nhi bigaad pyaange".
.
Hazu demon ki ye sab baate sun kar boor hone laga. usne Booring face bana kar pucha.
"Abe Badsurat, maine tera name pucha tha, ye sab faltu ki bakwas nhi".
Demon ko ab had se jaada ghussa aaya, usne daato ko piss kar kha.
"Chuje, agr teri yhi Aakhri wish hai toh me tujhe apna name bata deta hu, Mera name Wuzaki hai. Mere aage achhe se achha insaan darr jaata hai".
Hazu ne apna gira hua fal jameen se uthaya, usne Demon ki traf dekha aur usse ek Sauda kiya.
"Agr tu mere feke huye iss fal ko pakad lega toh me tere pass jaada Op wale insaan laaunga".
Hazu ki ye baat sun kar Wuzaki jor jor se hasne laga, uski Hasi ki Awaaj bhot bhyanak thi.
"Chuje, apni Zindagi bachane ke liye Sauda karna chhahta hai, Theek hai mujhe ye Sauda Manjoor hai waise bhi tere jaise kamzor insaan ko khaa kar meri shaan kharab ho jaaygi."
Wuzaki ke Sauda Manne ke baad Hazu ne fal par apni Thodi si Op lagayi aur Fal ko 2 ungli se halke se Wuzaki ke Face ki Aur feka.
"Ha! Ha! Ha! ise toh me ek hath se hi pakad lunga".
Wuzaki ne Fal ko Pakadne ke liye Apna ek hath ka use kiya lekin Fal Bhot Tezi se Wuzaki ke Hath ko Chirte huye, uske sar mai chhed karke, bhot saare Tree mein chhed karta hua bhot dur jaake Ek bade phaad se Takraya.
Wuzaki ko isse Phle kuch samjh aata ki hua kya? uske sar par fal se chhed hone ki wjah se uski whi maut ho gyi lekin usne marne se phle apne aakhri sabd bole.
"Mujhe nhi Pata tha ki Fal se mere jaise Mahaan aur Vishaal Demon ki Maut bhi ho sakti h...hai."
Marne ke baad uska Vishaal shareer Jameen par gir gya jisse jameen hill gyi.
Hazu, Wuzaki ki Traf gya, uski aankho mein Aasu the.
Asal mein uski Aankho mein Aasu Wuzaki ko dekh kar nhi balki Apne Rabbit ko dekh kar the, Wuzaki ke Rabbit par khada hone se Rabbit ki Body Pichak gya thi.
Wuzaki ke Rabbit ke upr chadne se uski tuti hui Talwaar ka bhi Chura ho gya tha,
"Na Khane ko Rabbit Nasib hua aur upr se ek bachi hui aakhri Talwaar bhi tut gyi". usne ghutno ke bal beth kar sad face bana kar bola
Wo wapis apne pero par khada hua usne apne Rabbit aur Talwaar ko aakhri salami di, Aur wapis khaali hath apne ghr ki traf Jaane laga.
Hazu jaise hi apne ghr ki traf jaan rha tha tabhi uske face par suddenly Muskurahat aa gyi, Use Fal wale Tree ke baare mein yaad aa gya.
Hazu Wapis usi Fal wale Ped ki Traf gya usne wha se Kuch fal tod liye.
"Tree, Mere Dost agr aaj tu nhi hota toh mere jaisa kamzor Insaan yhi Jungle mein Tadap Tadap kar bhuk se mar jaata". Ye sab Tree ko Bolte huye Hazu ki Aankho mein Khushi ke aasu the.
Kuch Fal Todne ke baad Hazu wapis apne ghr ki traf Rawaana ho gya.
Hazu ke wha se jaane ke baad 2bade Vishaal Demon wha Pahoche. Wo Wuzaki se jaada Taakatwar lag rhe the.
"Wuzaki ko kisne maara? kiski hui itni Himmat Mere Dost ko maarne ki?" Phle Demon ne Ghusse mai Chilla kar bola.
"Wuzaki ko Koi Aam Op wala Hokai nhi maar sakta, Jarur isse Bhot saare Hokai ne Mill kar kisi bhot Taakatwar Cheej se maara hoga." Dusre Demon ne Jawab diya.
"Jisne bhi mere Dost Wuzaki ko maara hai me use Zinda nhi chhodunga". Phle Demon ne Daat piss kar ghusse mein bola.
Kuch der Chillane aur Bhoklane ke baad Wo Dono Demon Ghusse mein wha se chale gye, Wuzaki ki Body whi Chhod kar.
(Hokai ke baare mein aapko aage aane wale Chapters mein pata chalega ki wo kon hote hai?)