webnovel

DAR EK HAKIKAT

สยองขวัญ
Ongoing · 7.7K Views
  • 2 Chs
    Content
  • ratings
  • N/A
    SUPPORT
Synopsis

Tags
2 tags
Chapter 1Dar ek Hakikat

Aajkal ke nojvan bhut pret ki bato ko nhi mante or n hi unse darte h. Yah jarur h ki kai jagah Dar hone ki bat hoti h lekin Aasa keval logo dvara felai gai Afhvah hoti h par....Jaruri nhi ki har jagah Dar na ho. kai jagah sapit hoti h jinme kisi Aadmi ko Tadpa Tadpa ke mara jata ho , uski hatya ki gai ho, ya kisi ka us jagah se prem ho. To vah Aatma vha rah jati h.

....isliye Dar ek Hakikat H....

Dosto mera naam Chandra Prakash pareek h. mene business administration se M.Com kiya h. Me Rajasthan ke Sikar district me base Mundru Gav ka Rahne vala hu. Muje kitabe padna or likhna pasand h. Islie me Aapko Ek dar ki bat batane vala hu.

Jaipur ke 5 Dost ka ek group tha Sachin, Ravi , Nitesh , Vijay or Lokesh. jisme yahi bahas chal rhi thi, ki bhut hote h ya nhi. Sabhi sachin par Is bat par has rahe the, ki Sachin ko bahut jyada dar lagta h. Vah Darpok h. Itne me hi Sachin ki Ma ka phone Aa jata h Is karan vah chala jata h.

Usko jane ke bad Nitesh kahta h : ki yar sachin ko dar to lagta hi h , usko drane ke liye ek jangal ki trip plane karte h, Jo ki dravani ho. To Vijay kahta h ek dravani jagah me janta hu " AJABGRAH " Sabhi uski bat se sahmat hokar vaha jane ke liye Sachin ko bhi Raji kar lete h.Or Nitesh ki gadi lekar nikal jate h. Unko masti majak me jate huye shayam ho jati h, Or ve AJABGRAH me gusne vale hote h ki kali billi gadi ke samne se niklati h or sabhi dar jate h. Sachin kahta ki Hamara Aage jana thik nhi h Hame vapas chalna chaiye. Ravi : kahta h sale Darpok chal. To Sachin kahta : muje yahi chhod do tum jao. Nitesh: koi nhi samne Dhaba h vha chalte h Khana khate or sochte kya karna h Aage.

Sabhi Vaha jate h or khana khane lagte h Tabi dhabe ka malik unse puchhta h beta Is raste tum kha ja rhe ho.

Lokesh: Baba ham AJABGRAH ja rhe h

Malik: sham ko or vo kyo

Ravi: Baba enjoy karne ke liye Aaye h jangal me.

Malik: Mano to ek bat kahu

Nitesh: kaho Baba

Malik: Tum AJABGRAH mat jao or kahi gumne chale jao.

Sachin: Kyo baba

Malik: Vha Dar h vha ek bhuto ka parivar h or vo rat ko niklta h or kisi ko bhi nhi chhodta , Sabhi ko mar dalta h. Isliya vha koi jata h to rat hone se pahle hi Lot Aata h.

Nitesh: Sab bakvas h m nhi manta bhut pret

Malik: Beta Aase hi kai log mare gaye yha kyoki " DAR EK HAKIKAT H " na ki vaham.

Nitesh: Chalo yar nhi sunani bakvas

Asa kahkar jane lagte h Tabhi

Malik: Beta Agar tumhe jid h to jao par vapas yahi jarur Aana.

Ve rat me hi nikal padte h Gav me. Unhe ek Purani Haveli Dikhati h Jisme likha hota h " AJAB HOTEL " ve Andar jane lagte h Tabhi Sachin ko kuch Log dikhai dete h or vo unse Hotel ke bare me puchhane lagta h.

Nitesh: Abe kis se bat kar rha h

Sachin: Tere samne khade h unse

Nitesh: Mere samne to koi nhi

Sachin Gumkar dekhta h vha koi nhi tha

Lokesh: Bhai yar darana band kar or chal andar

Sachin ko khuchh Sak hone lga

Sabhi andar jate h Vah ek purani haveli hoti h. Unhe koi bhi nhi dikta

Ravi: Kaka Kaka

Lokesh: Koi h yha

Itne me ek buda Aadmi Aata h

Kaka: Ha beta , Itni Rat ko tum kha se Aaye ho beta.

Ravi: Kaka ham Jaipur se Aaye yha ke jangal or talabo ka najara dekhne. Kyoki Barish ka mosam h.

Kaka: Beta tum yaha se chale jao yhi pas ke Gav me or yha subah Aa jana.

Ravi: Kyo Kaka

Kaka: Yha "BANJARE ka ek parivar rahta h. jo ki 100 Sal pahle Mar chuka h.

Lokesh: Kaka ham thake huye h Aap sone ka intzam karo. Pesa chahe dabal le lena.

Kaka: Thik h par tumhe koi rat ko bulaye ya Aavaj de to mat jana.

Sachin: Chale yar yaha se morning me Aa jayenge.

Lokesh: Esa kuchh nhi hota tu dar mat

Sachin: "DAR EK HAKIKAT H" yah koi vaham nhi.

Kaka Sone ka intzam kar deta h or sabhi gane or gitar bajane lagte h Tabhi ek Rone ki Aavaj Aati h : Ravi

Sab ekdam se dar jate h or bhahar jane lagte h

Lokesh: Kaka Kaka

unhe koi nhi dikhta h

Sachin: Yad h Kaka ne kha tha ki koi bulaye ya Aavaj de to mat jana.

Vijay: Bhai koi ham se help mang rha h Hame chalna chahiye.

Itne me light chali jati h or havaye chalne lagti h. Khidki darvaje Aapas Me Takrane lagte h.

or Sabhi dost Darne lagte h or vo Rone ki Aavaj vapas se Aati h

Lokesh: Chalo yar koi help mang rha h

Vo bhahar jate h to dekhate h ki Kuch log Garm lohe se ek banjare ke pariwar ko jala rhe h. Or banjare madad ke liye pukar rhe h. Or Vo log banjare ke pariwar ko mar dete h Tadpa Tadpakar gram lohe se.

Vo sabhi dost madad ke liye bhagte h par ekdam se sabhi gayab ho jata h. Or Vo bahut buri tarah se dar jate h.

Ve sabhi Us Hotel me bhagne lagte h Tabhi banjare ka parivar samne Aa jata h.

Vijay: Hame jane do hamne kuchh nhi kiya

Banjara: Yahi to m kah rha hu tumne hamari koi madad nhi ki ab tumhara bhi vhi hal hoga jo in Gavvalo ka huva h. Aasa kahkar banjara unhe pichhe dikhata h ... Bahut sari Astiyo or hadiyo ke der.

Banjare: Ha Ha Ha Ham tumhe bhi Khayenge

Fir jangal me chikhe sunai dene lagti h or ve hotel me jate h to Kaka vha nhi dikta h.

Achanak se Ravi me banjare ki Aatma Aa jati h or vo lohe ki rod ko mombatti jalakar gram kar leta h . or Apne sabhi baki sabhi dosto ko lagane ke liye dodta h vah vijay, Lokesh or Nitesh ko gram loha chubane lagta h tabhi Sachin ne us par Gamla feka jisse vah behosh ho gya. Sabhi dost vha se Ravi ko uthakar bhagne lage or jese hi unhone vo thaba par kiya Aage ped tut tutkar girne lage. Subah ke 5 Am baj chuke the .

Sachin: Abhi yahi rukte h kyoki vo Aatma hame jane nhi degi to subah chalte h

8 Am ke karib vo dhaba khul jata h ve sabhi Vaha jate h or us dhabe ke malik se milte h.

Vijay: Malik ko sari ghatna batata h.

Malik: Ye to bhagavan ka Aashirwad h ki tum bach gye varna Rat me gya huva koi bhi yha bachkar nhi Aa ska.

Or Ab tum ye Gav chhodkar bhi nhi ja sakte jab tak tum unhe mukt na kar do.

Sachin: Kese mukt kare baba or ye parivar kese mara gya

Malik-- Aaj se karib 100 Sal pahle ek kishan banjare ka parivar rahta tha. jo ki bahut garib hone ke karan Gav ke thakuro se karj liya tha o r vo nhi chuka paya isliye Gav ke thakuro ne gram lohe ke rod se jala jalakar mara tha. Uske bad vo parivar bhut ban gya or pure Gav ko gram rod se jala jalakar marne lga. Uske Aatank se pura Gav khali ho gya kuch mar gaye kuchh bhag gaye.

Sachin-- Isse bachne ka koi tarika

Malik-- Ek kitab me unke mukti tarika likha huva h parantu kitab likhne vale ko banjaro ke parivar ne mar diya.

Sachin: Ye kitab kha milegi

Malik-- Haveli ke piche vale mandir me or banjare ki parivar ki mukti rat ke samay hi ho sakti h.

Sabhi milkar malik ke sath Sam ko haveli ke pichhe vale mandir me pahuch jate h. Ab Ravi ko bhi Hos Aa gya tha.

Rat ho gai or vo kitab mese mukti ka upay dudne lage. Tabi Achanak se tej havaye chalne lagi or Rone ki chike sunai dene lagi .

Giddho ki Rone ki Aavaje Aane lag gai.

or banjare ka parivar vha Aa gya or gram lohe ki rod se jalane lag gya.

parivar ne Vijay or Lokesh ko pakad liye or unka khune pine lage.

Malik ne kuchh matra bolkar unpar pani chhidka jisse ve unhe chhodkar malik par Attack karne lage.

Malik : Tum kitab ko padkar jald hi inhe mukt karo varna ye sabhi ko mar denge.

Sachin kitab padta h usme likha hota h --- Jab inhe mara gya tha inki shavo ko chil kavo ko khane ke liye fek diya gya tha. "" Inke shavo ko jalakar mandir se pani bhartan me pani bharkar Hanuman chalisa padna padga tabhi inhe mukti mil sakti h.

Sachin ne parkriya Aarambh ki tabhi ek banjare ne Ravi ki gardhan Katkar khun pine laga.

Sachin ne vahi kriya Apnai jo kitab me likhi thi.

Banjare ka parivar to mukt ho gya lekin Vo Sabhi Ravi or Vijay ko nhi bacha paye. Or sabhiko lohe rod ke nishan pad gye.

Isiliye kaha jata h ki Dar ki bate Har bar vaham nhi hoti kabhi kabhi ye bhi shi hoti h.

DER EK HAKIKAT H

Thank you dosto

C.P Pareek

You May Also Like

बात एक रात की...

रात के अंधेरे में चार्ल्स उस अनजान साये का पीछा करते हुए काफ़ी दूर निकल आया था। कुत्तों के रोने की आवाज साफ़ सुनी जा सकती थी, जो रात के उस माहौल को और अधिक डरावना बना रही थी। कोहरे ने काफ़ी हद तक दिवार की भूमिका निभाई लेकिन चार्ल्स को इस बात की ज़्यादा चिंता थी कि कहीं उसके आगे चलने वाला शख्स उसकी आँखों से ओझल न हो जाए। चार्ल्स इस बात की सावधानी भी रख रहा था कि कहीं उसे भनक न लगे कि कोई उसके पीछे है। सड़के बिलकुल सुनसान थीं जैसे शहर में कोई भी न हो सिवाय वह अनजान साये के जो ख़ुद को महफूज़ समझ कर अपनी मंज़िल की ओर बढ़ रहा था और चार्ल्स के जो उस अनजान साये का बड़ी सतर्कता के साथ पीछा कर रहा था। चलते चलते अचानक वह अनजान साया रुक जाता है, चार्ल्स ये देखते ही एक दरख्त के पीछे छुप जाता है उसकी दिल की धड़कन काफ़ी तेज़ हो गई थी, उसे ऐसा लग रहा है कि जैसे सीने पर किसी ने काफ़ी वज़न दार चीज़ रख दिया हो, ऐसा डर के कारण हो गया था। चार्ल्स को इस बात की चिंता थी कि कहीं उस अनजान शख्स को इस बात का पता तो नहीं चल गया कि कोई उसका पीछा कर रहा है। चार्ल्स कुछ देर के लिए दरख्त के पीछे छुपा रहा फिर हिम्मत के साथ उस साये को देखा, वह उसी अवस्था में चार्ल्स की ओर पीठ करके खड़ा था, अब चार्ल्स की जान में जान आई कि वह पकड़ा नहीं गया। पर उसके मन में यह दुविधा थी कि वह शख्स आगे अपनी मंज़िल की ओर क्यूँ नहीं बढ़ रहा है।

Ivan_Edwin · สยองขวัญ
Not enough ratings
16 Chs