webnovel

AISA KYUN?

Jab meri aankh khuli toh dil zoro se dhadak raha tha "ye kaisa sapna tha! sidharth kyu aaya tha mere sapne mein aur ...." main soch hi rahi thi itne mein sara mujhe bulane aagayi. maine jhadi ke pass hath muh dhoe aur sab ke sath khane baith gayi, thand bahut zyada thi is liye teachers aur kuch students ne milkr aag jlai hui thi uske aitraf circle bana kar sab baithe hue the. khana khatam karne ke baad sab logo ne wahi baithe baithe bhutooun ki kahaniya sunana shuru kardi. waise toh mujhe bhootoun par vishwas nahi hai. lekin sunne mein maza zarur aata hai, toh main bhi wahi baith kar kahaniya sunne lagi.

Wahi jab meri nazar sidharth par padi joke mere bilkul samne baitha hua tha aur meri taraf dekh raha tha. maine jaise hi uski taraf nazar ghumai wo waha se utha aur jane laga. tabhi uske dost ne usse kaha "kaha ja raha hai sid, dar lag raha hai kya tujhe?" aur sare log hasne lage "nahi main dar nahi raha hu, mujhe nind aarahi hai main sone jaraha hu subha taki jaldi uth jau, aap sablog bhi so jao , teachers ko bhi nind aarahi hogi hamari wajah se jag rahe hai." uski baat sun kar sabne hami bhari aur sab fir apne apne tents mein chale gaye.

Maine bhi apne tent main jakar pani piya aur novel padhi apne phone mein "BRINGING THE NATIONS HUSBAND HOME" meri favourite hai. padhte padhte nind aagayi aur mein so gayi.

Next chapter