webnovel

15.

Awais ne us din Summayya ko call kiya. Yeh call thodi unexpected thi, lekin Summayya ne jab phone uthaya, toh uske dil mein ek ajeeb si halchal thi. Awais ki deep aur composed voice ne conversation ki shuruaat ki.

"Assalam-o-Alaikum, Summayya," Awais ne dheere se kaha.

"Wa-Alaikum Assalam," Summayya ne thoda surprised hote hue jawab diya, "Aap kaise hain?"

Awais ne thodi der chup rehkar kaha, "Main theek hoon... lekin aaj main tumse kuch zaroori baat karna chahta hoon."

Summayya ne thoda curious hote hue poocha, "Zaroori baat? Kya hua?"

Awais ne ek deep breath liya aur kaha, "Summayya, mujhe tum pasand ho. Main tumse zyada baat nahi kar saka, lekin jitna bhi tumhe jana, mujhe yeh ehsaas hua ke tum bilkul waise ho jaisa main apne life partner ko imagine karta hoon."

Summayya ek pal ke liye speechless ho gayi. Uske dil ki dhadkan tez ho gayi thi. Yeh wo baat thi jo shayad usne sochi thi, lekin itni jaldi nahi expect ki thi.

"Main bhi aapko pasand karti hoon," Summayya ne dheere se jawab diya, thoda sharmate hue. "Lekin yeh baat hamare parents ko discuss karni hogi."

Awais ne relief ke saath kaha, "Bilkul, main bhi yehi chahta hoon. Main aaj apne parents se baat kar raha hoon. Agar tum comfortable ho, toh hum unse formal baat karwa dete hain."

Summayya ne haan mein sir hilate hue jawab diya, "Ji, main bhi apne parents se baat karoon gi."

-

Us raat, Summayya ne apne parents se Awais ke baare mein baat ki. Pehle thoda hesitation tha, lekin usne apni maa se casually shuruaat ki.

"Mama, aaj Awais bhai ka phone aaya tha," Summayya ne dheere se kaha.

"Awais bhai? Kaun Awais bhai?" Summayya ki maa ne surprise hote hue poocha.

"Wohi, Nain ke bhai... unhone mujhse baat ki ke wo mujhse rishta banana chahte hain," Summayya ne thoda sharmate hue kaha.

Summayya ki maa ne thoda waqt liya, lekin phir calmly jawab diya, "Acha, lekin yeh baat jaldi hai. Pehle hum dekhte hain ke wo ladka kaisa hai. Hum is faislay mein jaldi nahi karenge."

Summayya ka ab bhi confidence tha. "Jee, Mama, main bhi waise hi sochti hoon. Aap aur Abbu dekhenge toh aapko acha lagega."

Summayya ke walid ne bhi yehi kaha, "Pehle hum ladke ke kirdar aur uske career ke baare mein thoda maloomat karenge. Dekhte hain wo kaisa hai, phir faisla karenge."

Summayya ne sirf sir hilaya, lekin andar se wo khush thi ke baat aage barh gayi thi.

-

Doosri taraf, Awais ne bhi apne ghar mein Summayya ke baare mein baat ki. Usne apni maa aur Nain ko bataya ke wo Summayya ko pasand karta hai aur unka rishta banana chahta hai. Awais ke parents kaafi open-minded thay, aur unho ne is baat ko positively liya.

"Humein lagta hai ke ladki achi honi chahiye. Agar tum usay pasand karte ho aur wo bhi tumhein, toh hum is rishte par serious hain," Awais ki maa ne kaha.

Nain ne bhi khushi se kaha, **"Summayya waise bohot achi larki hai. Main usay kaafi arsay se jaanti hoon. Yeh rista banega toh mujhe waqai khushi hogi."

Awais ne relief mehsoos kiya, aur phir unhone decide kiya ke wo agle 3 din mein Summayya ke ghar walon se milne jaayenge. "Chalo, Saturday aur Sunday ko university bhi band hai, toh hum us waqt mil lete hain," Awais ne apni maa se kaha.

-

Jab Saturday aur Sunday ko university band thi, toh Summayya ki doston ko bhi yeh khabar mil gayi. Usne apne doston ke group chat par message kiya:

Summayya: Guess what, guys! Awais ne officially apni family ko mujhse milne ke liye kaha hai!

Maira: OMG! Tumhein itni jaldi rishta mil gaya aur hum yahan ab tak akeli bethi hain!

Nain: Mujhe pata tha ke mera bhai aur tumhari jodi perfect hai. Waise, mein tumhari engagement pe kya pehnoon?

Shehreen: Aray Nain, tum waise bhi apni tareef karte rehti ho. Tumhara wardrobe already perfect hoga!

Nain: Haan, obviously! Tum logon ne dekha nahi mera wardrobe! Waise bhi, main apni bhabhi ka rishta set kar rahi hoon, toh mujhe best lagna chahiye.

Summayya: Nain, tum apni tareef apne paas rakho. Yeh meri engagement hogi, focus mujhe hona chahiye!

Naurez: Waise, Summayya, tum kitni lucky ho. Tumhara rishta bhi set ho gaya aur hum ab tak larki larki khel rahe hain.

Maira: Aur main toh bas yeh soch rahi hoon ke tum sab mujhe ignore karti ho. Koi mujh se kabhi pyaar nahi karega! 😢

Summayya: Maira, bas karo! Tumhari yeh drama queen attitude se hum bore ho gaye hain. 😂

Maira: Mujhe kisi ne kabhi seriously nahi liya! Tum sab ki life perfect ho gayi aur meri ab tak single hai! 😭

Maham: Tum sab bohot boring ho. Mujhe bas yeh batao ke khana kya hoga engagement pe? 🤤

Summayya: Maham, tum sirf khane ke chakkar mein ho. Sab ko yehhi fikar hai ke pehna kya hai, aur tumhein khane ki tension hai!

Maham: Aray, engagement ka asli maza khane mein hota hai. Tum sab apni dresses ki tension lo, mujhe biryani ka intezaar hai. 😋

Naurez: Waise, Maham ka point valid hai. Lekin Maira, tumhara drama har baar ka hota hai. Tumhein waise bhi koi ignore nahi karta, sab tumhein seriously lete hain.

Maira: Lekin tum sab waise hi mazak banati ho!

Shehreen: Maira, tum toh waise bhi sab se zyada emotional ho. Tumhara yeh overreaction hamesha se hum sab ko entertain karta hai.

Nain: Haan, waise Maira ke emotional outbursts hamesha highlight hote hain. Lekin Summayya, tumhara rishta waqai jaldi set ho gaya!

Summayya: Haan, mujhe bhi nahi laga tha ke itni jaldi yeh sab hoga. Lekin ab jab ho raha hai, toh main excited hoon!

Group chat mein mazeed fun aur mazak hota raha. Har koi apne apne andaaz mein Summayya ki engagement ki baat kar raha tha, lekin andar hi andar sab khush thay ke Summayya ka rishta set ho raha hai.

--

Próximo capítulo