webnovel

chapter: 13 the dark past

Evaa ke sath wahi huya jo usne socha bhi nhi tha.. kahan vo sab par raaj karne ki soch rhi thi aur kahan vo khud hi kaidi ban gyi thi.

Doosri taraf Abeer ka dost aa chuka tha aur vo Nayra ko theek kar rha tha.. mtlb uski yaadein vapis lane mein madad kar rha tha.

Vo abhi kar hi rha tha ke wahan par Abeer ko bulane ke liye raja ke wafadaar aa jaate hain.. "chalo Abeer yahan kya kar rhe ho?" Tumhe raja ji dhoondh rhe hain..

Boht badi baat ho gyi hai.. chalo tumhe batani hai..

Abeer king Ed ka hukam nhi taal sakta tha toh vo wahan se jane ke liye tyar ho jata hai.. vo apne dost "tee" ko bolta hai.."agr yeh theek bhi ho gyi toh isse kahin mat jane dena! Mere wapis aane tak yhi par rakhna plzz"

Kyon ke Abeer usse dobara doosre jungle mein jane nhi de sakta tha.. vo khush tha ke vo aakhir uske jungle mein aa gyi hai..

Aur Abeer unke sath chala jata hai..

Vo raaste mein usse poori baat batate hain ke kaise Evaa vapis aa gyi hai, uske paas raja ji ka bacha aur unka pyar hai, aur sb usse bandhi bna liya gya hai...

Jab Abeer yeh baat sunta toh vo thoda sa tension mein aa jata hai..

Usse confirm nhi tha ke Evaa kaun si hai? Agr vo Nayra ki Maa nikli toh Abeer ke liye problem ho jayegi..

Vo poore raste pray karta hai ke kash vo Nayra ki Maa na ho...

Abeer, raja ke paas pauhanch jata hai..

Ed: tum kahan the Abeer?

Abeer: maaf kijiyega vo mujhe koi purana dost mil gya tha..

Ed: chalo koi baat nhi!

Abeer: aapne kaise yaad kiya?

Ed: han! Hamare sath chalo batate hain..

Vo dono sath chalte hain aur taikhane ke andar chale jate hain, yahan par unhone ne Evaa ko rakha tha...

Ed: aao isse milo, yeh hamari boht purani dost hai Evaa... par afsos ab nhi hai..

Yeh whi hai jiski wajah se hamein hamara bacha aur hamara pyar door gye the... kyon ke isne unko humse judaa kar diya..sirf apne mtlb ke liye.

Par aaj hamein pta chala hai ke vo zinda hain!!

Yeh baat sunte hi Evaa unke thoda kareeb aa jati hai.. aur zor se hasne lag jati hai.. taikhane mein boht andhere tha jis wajah se Abeer, usko dekh nhi paa rha tha...

Evaa: tumhe kisne kaha vo zinda hain?

Ed ko yeh baat sunte hi thoda gussa aata hai par vo bhi usse has kar jawaab deta hai..

Ed: tum hi ne toh bataya hai..

Evaa: (thoda yaad karte huye) nhi!! Maine aisa kuch nhi kaha tha... tum khud se hi bana rhe ho...

Ed usko ignore karta hai...

Aur vo Abeer ko lekar bahar aa jata hai..

Ed: Abeer hum chahte hain ke tum isse compell kro aur iske mooh se niklwao ke isne in dono ko kahan chupa rakha hai, aakhir tumahara toh gehra rishta hai iske sath.

Yeh sunte hi Abeer dukhi ho jata hai.. vo thodi hairaani jatate huye....

"Par yeh toh aap bhi kar sakte hain"

Ed: han! Par koi fayda nhi.. yeh humse baat karna nhi chahti .. toh tum kaise na kaise isse ugalwaao....

Yeh zimmedaari ab main tumhe saunpta hoon...

Abeer unki baat maan jata hai.. aur taikhane ke andar chala jata hai...

Jab vo Evaa ko dheyaan se dekhta hai.. toh usse jhatka lagta hai.. kyon ke usne aisi umeed nhi ki thi... aur vo boht jada preshaan ho jata hai

Fir bhi vo thodi himmat juta-ta hai..aur thoda khud ko calm karta hai

Aur usse baat karne ki koshish karta hai..

Abeer: hlo! Mera naam Abeer hai..

Yeh naam sun kar Evaa gaur se uski or dekhti hai..

Evaa: tum wahi ho na!! Jisne Shyra ko maarne ki koshish ki thi?

Abeer ko pehle hi pta tha ke yeh wahi hongi... aur yeh sab sawaal poochengi..

Abeer usse jhooth bol deta hai ke nhi vo Shyra ko nhi jaanta...

Evaa ko thoda ajeeb lagta hai par vo maan jati hai ke shyed koi aur Abeer hoga...

Evaa: dekho tum jis mtlb se yahan aaye ho! Vo main nhi batane vali.. toh behtar hai ke tum yahan se chale jao...

Abeer: Main tumse kuch nhi jaan-na chahta mujhe pehle se hi pta hai...

Evaa yeh sun kar thoda dar jati hai.. par fir bhi vo poochti hai.."kya pta hai tumhe?"

Abeer: whi jo tum chupa rhi ho..

Main janta hoon ke 28 saal pehle tumahare pyare dost Ed ke beti huyi thi...

Aur vo beti aur koi nhi balke Nayra hai... (Badkismati se) vo yeh baat mann mein bolta hai.. aur thoda low feel karta hai..

Yeh baat sun kar Evaa dang reh jati hai... khud ke emotions ko control karte huye vo poochti hai.. "tumhe kaise pta hai?"

Abeer: ismein kaun si badi baat hai...

Main Nayra ko bachpan se dekh rha hoon... vo bilkul 'Ed' jaisi hai..

Uski harktein bhi unke jaisi hain.. sabse badi baat unki aankhon ka rang ek jaisa hai..

Toh vo ussi ki beti hai..

Vo itni powerful issi liye toh hai.. kyon ke vo ek highbrid ki beti hai.. uski Maa insaan thi.. toh vo boht special hai.. usmein Aam vampires se jada powers hain.. vo sabse alg hai

Evaa yeh sab sun kar whi par satabhd ho jati hai.. uske mooh se awaaz bhi nhi nikal rhi thi.. jo Raaz usne itne saalon tak chupa kar rakha tha vo yeh Abeer janta tha.. aur vo itne araam se bata rha tha jaise ke usne yeh sab apni aankhon se dekha ho...

Abeer: kya huya... bol kyu nhi rhi aap? Evaa khud ko sambhaalte huye usse halki si awaaz mein jawaab deti hai..

"Tum kaun ho?"

Abeer boht dukh se jawaab deta hai..

"Main iss Jungle ke raja 'Ed' ka pehla aur iklauta beta hoon...

Nayra meri choti behan hai..

Aur sabse jada badi baat.. jo ke mujhe kehne mein boht afsos ho rha hai.. ke main aapka aur Ed ka beta hoon...

Yeh baat sunte hi maano Eva ke pairon ke neeche se zameen hi khisk gyi thi.. aur vo panic hokar.. wahi par gir jati hai...

Abeer usko dekhta hai.. aur fir bina kuch soche bahar aa jata hai...

Bahar khade vampires usse poochte hain.. ke kya kuch pta chala?

Abeer boht dukhi tha.. aur vo unki taraf dheyaan hi nhi deta... aise hi wahan bina jawaab diye aage chalaa jata hai...

Vo khud ko calm rakhne ki koshish karta hai.. par usse andar ka dukh khaa rha tha.. ab uski sari umeedein toot chuki thi...sirf Evaa ki wajah se...

Usse samjh hi nhi aa rha tha ke vo ab kya kare!! Kyon ke vo Nayra ko bachpan se pasand karta tha... tabhi toh usse chup-chup kar dekhta tha...

Par usse tab nhi pta tha ke vo Evaa ki ke sath rehti hai aur yeh whi Evaa hogi.. jo uski Maa hai.. kyon ke usne kabhi apni Maa ko dekha hi nhi tha..

Ab uske armaan choor ho gye the...

Abeer ka dil itna bhaari ho rha tha ke jaise kisi ne usse boht bade pathar ke neeche dabaa diya ho...

Usse dhang se dekha bhi nhi jaa rha tha, chakkar jaisa mehsoos ho rha tha

Uska dukh achanak se gusse mein badal jata hai.. aur vo, wolf ban jata hai... aur boht tezi se bhagne lagta hai.. aur seedha jaakar jungle ke sabse bade Jharne mein chalaang lga deta hai.. jo seedha samandar se hokar jata tha.

Próximo capítulo