webnovel

England to India

Next day....

"Bhaiya.... Aapka jana zaruri hai..."Ashi rohti hui

"Ashi... meri baat samjho... please... wahan urgent work hai... mujhe jana hoga next holiday me aaunga, promise"Vihaan Ashi ko. samjhata hua

"Aap bhabhi ko bhi sath le jaa rhe ho, Unhe chod jao"Ashi

Vihaan kanak ki taraf dekhta hai, Kanak kahi khoi hui hai, "Nahi Ashi, Kanak ka jana zaruri hai... samjho meri bat ko... "

Kanak Vihaan ko dekhti hai, Mom aakar kanak se "Tum dono apna khayal rakhna..."

"I will miss you bro"Laksh Vihaan ko hug karte huye.

Vihaan dada ji ko dekhta hai dada ji chup chap apne sofe par bethe hai, Vihaan dada ji ke pas jaa kar "Dada ji main jaa raha hun " dada ji Vihaan ko dekh use zor se gale se laga lete hai.

"mere bacho apna khayal rakhna "dada ji

"Ji... aap bhi... Laksh Tum sabka khayal rakhna... "Vihaan laksh se

"Okay big brother " Laksh

Vihaan Aur Kanak Car me bethte hai Driver car Drive karta hai, Kuch hi der me Airport pahuch jate hai, Kanak Ka face udasi se utar sa gaya hai, Sab checking karwa kar Kanak Vihaan flight me beth jate hai.

Flight me..Kuch der baad.....Vihaan Magzine padh raha hai, magzine band kar ke Vihaan bina kanak ki taraf dekhe... Kanak se "Kanak kiya hum..... sath... sath rhe sakte hai... "Vihaan hichakichate huye, Bolta hai, Jab kanak ko dekhta hai, Kanak Soh rahi hai.

"Kanak toh soh rahi hai" Vihaan man me kheta hua gheri saans le kar khud bhi ankhe band kar leta hai.

India pahuchne ke baad... Airport se nikal kar, Driver Car le kar taiyaar khada hai.

"welcome back sir" driver Car ka gate open kr ke

"Thanks you" Vihaan Bethte huye ,Kanak bhi beth jati hai.

"Sir, Ghar chale?" Driver Mirror me vihaan ko dekh kr puchta hai.

"Nahi Office chalo... "Vihaan

Vihaan ka jawab sun kar Kanak ghabrane lagti hai.. Kanak ke dil me bas ek bat ka dar hai, Contract cancel yani Vihaan se duri.....

Office pahuch kar...Vihaan Kanak ko apne office room me le jata hai... "Tum kuch der yahan ruko meri urgent meeting hai, Main aata hun" keh kr Vihaan chala jata hai. Kanak wahan beth kar pareshan ho rahi hai.

Kuch der baad,

Vihaan apne assistant ke sath Office me aata hai, Assistant ke hath me envelope Dekh kar Kanak Andar hi andar pareshan ho rahi hai.

"Hello. madam welcome back" Assistant

Kanak smile karti hui ser hila deti hai.Vihaan Kanak ke pas aakar "Amm... Kanak...contract cancel hone me Time lag jayga, Kyun ki Contract Cancellation me time lagta hai"

Kanak joh ab tak pareshan thi, Uske chehre par thodi chamak si aai "koi bat nahi... " dhimi awaz me Andar se khush hoker Kehti hai.

"Isme kareeb 10-15 days lag jayge, jab tak contract cancel nahi hota...Tab tak tum chaho toh Apne ghar jaa sakti ho yah phir mere Yahan ruk sakti ho"Vihaan Kanak ko dekhte huye

Kanak khamoshi se udas hoker ser niche jhuka leti hai,

Vihaan man me "Shayad Kanak Sad ho gai hai, Kya mujhe Contract ke bare me jhut bat bolna chaiye tha?, kya sach me... Kanak...Mujhse alag hona chahati hai" Vihaan Assistant ki taraf dekhta hai, Assistant Vihaan ka face dekh kar Apna coller dhila karta hai.

"Lagta hai sir, ki planning Khrab ho gai hai"Assistant

Kanak ke samne Vihaan Books rakhte huye "Kanak.... Yeh tumhari books hai, Tum phir se Apna collage shuru kar sakti ho... "

Kanak Vihaan ko dekhti hai aur books ko dekh kar "Ji college!?"

"Aa... Han... Collage, meri wajha se tumhari study khrab hui thi, Mene already tumhari fees submit kar di hai, Tum dubara exam bhi de sakti ho and yeh raha tumhara roll number aur yeh fee slip " Vihaan Id card aur fee slip Kanak ko dete huye.

"Kal se hi tum collage jaa sakti ho...mene in sabka ka phele se Apne assistant se khe kar intezam karwa diya tha "Vihaan Smile kar ke.

"sukhriya Vihaan ji... " Kanak

"No... tumhari study meri wjha se kharab hui hai, Mujhe iska afsos hai... "Vihaan Afsos karte huye

Kanak man me "Oh... Vihaan ji apni galtio ka afsos karte huye mere liye...."

Car me Vihaan Kanak ko uske ghar chod kar aa raha hai, Dono hi khamosh aur udas hai, Vihaan Car rok deta hai, Kanak ka ghar aa chuka hai. Kanak apne sad face se Vihaan ko dekhti hai.

"Hum aa gaye... Tumhara ghar... "Vihaan

"Ji... Aap Bhi andar chaliye"Kanak

"nahi... Main nahi jaa sakta... "Vihaan

Kanak Vihaan ki bat sun kar, apne dono hatho ko aage karti hai,Vihaan Hatho me dekhta hai, kanak ke Hatho me Dada ji ka diya kangan aur Vihaan ki di hui Payal hai.

"yeh kiya hai? "Vihaan puchta hai.

"Ji ab mera in par koi haq nahi hai, Aaj nahi toh kal Contract cancel ho jayga aur divorce bhi, Dada ji ka Diya Kangan dadi ji ki nishani hai joh sirf Apke ghar ki Bahu pahan sakti hai, Aur main nahi hun" Kanak Mayushi se

"Aur yeh payal? "Vihaan

"Yeh payal.... Main ise nahi rakh sakti.... "Kanak apni nazar niche kar ke.

Vihaan kangan ko utha leta hai, aur payal ko chod kar "Yeh Mene tumhe birthday gift diya hai, Ise wapis nahi luga, Aur Kafi saman Ghar bhi hai woh tumhara hai... Use aur kisi din tumhe de kar jaunga,bas yeh Kangan Dadi ji ki amanat hai, isly le raha hun " Vihaan Kangan apni paint ki poket me rakh kr.

Vihaan kanak ko 3 packet Deta hai,"Aur yeh Kuch gifts hai, Tumhare ghar walo ke liye, Unhe de dena"

"Ji.... Thik hai ji... "Kanak packets ko le leti hai

Kanak car se utar jati hai, Vihaan Ko murd kar dekhti hai, Vihaan smile karta hai aur Car Ko ghuma kar chala jata hai. Kanak dekhti rhe jati hai.

Kanak ghar ke gate ke pas jaa rahi hai aur uski ankhe ashuon me dhubi hui hai, "sab khatam.... Sab khatam ho gaya"

Vihaan car driver karte huye, Kangan ko dekh raha hai , "Kanak.... Yeh kangan... sirf tumhare hatho me ache lagte hai..."

Próximo capítulo