webnovel

chapter: 8 mysteries

Vo Nayra se badla lena chahti thi..

Khair aise hi ek aur confusion vali raat beet jati hai...

Aur subah ho jati hai..

Nayra ghar se jane hi lagti hai..ke uski maa wahan par aa jati hai.. aur vo usse poochti hai ke.. Tumne shyra ko itni takleef kyu di...

Uski haalat kafi kharaab hai...

Aisa kyu kiya tumne???

Nayra: (gusse mein)Shuruaat usne ki thi..

Badi vo hai...

Usse akal nhi hai... jake uspar apna gyan jhaado mujhe kuch nhi huya..

Ek aur bkwaas ladke ke pyar mein hai vo...

Samjhao usse...

Wahin par uske papa aa jate hain..

Papa: pyar mein???

Nayra: han!! Aapki ladli

Papa: toh iss baat par tumne usse itna maara??

Nayra: (gusse mein) hadd hai!! Mujhe kya ...

Vo pyar kre ya nafrat...

Usne mujh par pehle hamla kiya.. toh Maine toh jwaab dena hi tha ...

Vaise bhi vo kab se jwaab maang rhi thi...

Papa: badi behan hai vo tumhari...

Nayra: han toh badon ki trah rahe na!

Papa: aur tum Kahan jaa rhi ho?

Nayra: aap se mtlb??? Maine kabhi poocha hai aapse....

Ke aap kahan jate ho..

Maa: jubaan sambhalo... papa hain vo tumhare.

Shyra bhi aa jati hai..

Shyra: isse kya tameez hai Maa..

Aap bhi kisse baat kar rhi ho...

Ek toh iss anaath ko ghar pe rakha hai... aur ooper se iske tever...

Maa: chup Karo Shyra yeh kya bkwaas kar rhi ho...

Shyra: sahi hai Maa!! Aap logon ne isse kyu rakha hai...

Yeh yahan rehne ke layak hi nhi hai...

Jab se aayi hai.. problems hi face kar rhe hain hum..

Iski wajah se hamein apne hi logon se door rehna pad rha hai.. yahan iss bkwaas si jagah pe...

Varna pehle bhi hum sab kitne khush the..

Papa: Shyra !!! Yeh tum kya bakwaas kar rhi ho??? Pagal ho gyi ho kya..

Shyra: sach hi toh bol rhi hoon papa.. sab iski hi wajah se huya hai...

Main jaanti hoon aap isse pasand nhi karte.. toh nikaal do na isse..kya karna hai iska..

Maa: Nayra tum iski baatien par dheyaan mat do... yeh toh hai e aisi . Kuch bhi bol deti hai..

Nayra: mujhe pta hai... toh safayi dene ki koi zaroorat nhi hai

Yeh jawaab sun kar sab Nayra ki taraf dekhne lag jaate hain..

Nayra: kya huya aise kyu dekh rhe ho, Maine kuch galat kaha kya..

Maa: mtlb tumhe koi farak toh nhi pda na beta. Ke usne tumhe anaath bola..

Nayra: arre!! Farak kyu padega.. mujhe pta hai ke main anaath hoon...

Yeh baat sun kar un sabko boht badaa jhatka lagta hai...

Papa: tumhe yeh kisne bataya...

Nayra: batata kaun hai!!! Bas sun liya aap logon se hi...

Maa: nhi beta, tum hamari hi beti ho! Humne tumhe pala hai.. tum hamare saamne badi huyi ho...

Toh tum anaath nhi ho.. hum sab ek parivaar hain..

Shyra: bas kro Maa.. jab se yeh parivaar mein aayi hai tab se sabka dimaag kharaab ho rakha hai... koi parivaar rha hi nhi...

Papa: (thode gusse mein) chup rho Shyra!!

Nayra: arre aap usse chup mat karwao... aaj zindagi mein pehli baar toh vo kuch dangh ka bol rhi hai..

Shukriya meri pyari behana...

Tumne yeh baat bol di... varna main toh pichle 6 saal se issi koshish mein thi ke koi mujhe aise bol hi de..

Par nhi meri itni badatmeeziyon ke baad bhi yeh bichare mujhe fir bhi apni beti kehte rahe..

Mtlb hadd hai na!!!

Koi vampire family aise hi kisi aur ke bache ki kaise paal sakta hai...

Aap log mujhse khush nhi the...

Fir apne mein ghar mein rehne ke liye majboor kar rhe the...

Toh mtlb aaj main ghar chod kar jaa sakti hoon hai na..

Ab aap logon ko report dene ki koi zaroorat nhi hai.

Main ab kahin bhi aa jaa sakti hoon..

Ab sab confirm hai na...

Toh plzz ab mujhse aur meri personal life se door rehna...

Haan agar tumme se koi meri apni sagi family ke bare mein batana chahta hai toh bataa do..

Nhi mujhe koi zaroorat nhi hai vaise...

Jinho ne mujhe bachpan mein hi chod diya.. ab kya accept karenge...

Toh rehne hi do...

Maa: nhi Nayra !! Tum yeh ghar chod kar nhi jaa sakti...

Nayra: kyu?

Maa: tum hamari hi beti ho...

Papa: han Nayra, tum hamein chod kar nhi jaogi.. hum ek parivaar hain...

Yeh baat toh tumhe 6 saalon se pta thi na!! Toh aaj hi kyu....

Tum yahin par hamare sath hi rahogi...

Sab vaise hi hoga jaise.. pehle tha..

Nayra: nhi main yahan nhi rehna chahti ...

Pehle main iss liye reh rhi thi kyonke aap mein se koi agree hi nhi karta tha.. ke main anaath hoon... aur main aap logon ko dukh nhi dena chahti thi...

Par aaj main khush hoon..

Finally yeh baat saamne aa gyi aur sabse badi baat...

Aapki beti ne kaha hai ke aap mujhe pasand hi nhi karte...

Toh plzz mujhe jane dein...

Papa: (oonchi awaaz mein) nhi Nayra... aisi baat nhi hai..

Tum yahin par hamare sath rahogi

Nayra un sab ko ignore hi karti hai. Aur wahan se jaane lagti hai..

Par uske Maa aur papa usse boht manaa karte hain...

Nayra unki baat nhi maanti ....

Akhir uski Maa usse jane ko keh deti hai...

Maa:(emotional hote huye) theek hai !! Chali jao..

Par ek baar... mere hath.. se pani peekar chali jana... kyon ke jab tum mujhe pehli baar mili thi.. toh maine

Tumhe pani hi pilaya tha...

Aaj aakhiri baar pee lo beta.

Fir chahe kabhi vapis mat aana...

Tumne mujhe Maa nhi samjha toh kya huya..

Maine toh tumhe apni beti... hi samjha hai na!!

Nayra un ko dekh kar thoda Shaant ho jati hai.. aur unki baat maan leti hai...

Papa: yeh tum kya kar rhi ho... Nayra ko jane kaise de sakti ho . Tum toh isse pyar karti ho na...

Maa: han par main iske sath zabardasti nhi kar sakti...

Vo pani lekar aati hai.. aur usse apne haathon se boht pyar se pilaati hai...

Nayra usse kuch nhi kehti...

Ab Nayra jane ko tyar ho jati hai...

Vo jaise hi 2 kadam chalti hai.. toh usko chakkar aane lag jate hain..

Usse aisa mehsoos hota hai.. ke jaise uski jaan nikal rahi ho...

Tabhi uski Maa aur Papa usse ghar ke gupt kamre mein band kar dete hain...

Nayra ki haalat nhi thi ke vo chal sake!! Vo bas khud ko kamzor hote aur band hote hi dekh rhi thi...

Uski Maa wahan se jate waqt kehti hai... " sorry beta!!! Tumahare sath aisa karna pada...

Kya Karien tum sunti hi nhi ho...."

Aur vo has kar vahan se chali jati hai...

Vo Shyra ke paas aa kar usko gale se pakad ooper uthaa leti hai...

" tumhe kitni baar samjhaya hai. Ke utna bola karo... jitna kaha jaye... baar-baar apni aukaat kyu dikhati ho..

Tum toh ho hi maar khane ke layak...

Itne saalon ka bna banaya khel barbaad kar diya na tumne..

Ab kya karien????

Yeh sab tumhari wajah se huya hai...

Ab tumhe sazaa toh milegi..

Aur uski Maa Shyra ko pakad kar ghar ke peeche vale kamre mein band kar deti hai...

"Agar tumne yahan se bahar jane ki koshish bhi ki toh tumahare sath isse kayi zada bura ho sakta hai..."

Fir vo ghar mein hi aa jati hai...

Ab vo boht jada preshaan thi...

Kyon ke vo Nayra ko jada samay aise nhi rakh sakti thi...

Aur Nayra bhi agar bahar aa gyi toh vo kisi ko zinda nhi chodegi...

ab toh kaise na kaise karke vervain ne unhein bacha liya...

par kya hoga.. iska andaza unko nhi tha..

papa: boht galat kiya hai Evaa tumne...

Evaa (mtlb unki maa) acha!! toh aur kya karti... jane deti usse??

agar aise hi jane de deti toh.. mera kya hota...

aur tumne meri ek baar bhi madad karne ki nhi sochi!!

bas khade Tamasha dekhte rhe...

toh tum toh kuch bolo hi mat..

Nayra mera zariya.. hai.. main usse kho nhi sakti..

ab toh hargiz nhi jb 28 din reh gye hain...

次の章へ