webnovel

11.

Waleed Ahmed ke liye university life bohot boring thi. Usay classes se koi khas lagao nahi tha. Classes le kar bas apni attendance puri karna aur assignments dena uske liye ek majboori thi. Uska asli shauq sirf friends ke saath maze karna tha, jo wo aksar university ke baad ya weekends mein karta tha. Lekin mids ke baad ek naya junoon uski zindagi mein agaya tha—ek larki ko stalk karna.

Waleed ko andaza tha ke us larki ne usay notice kiya tha, aur yeh baat usay mazeed excited karti thi. Usay yeh chase ka process pasand tha. Har roz jab wo class mein ya campus mein us larki ko dekhta tha, usay lagta tha ke kuch naya ho raha hai. Uski har movement, uski nazrein—sab kuch Waleed ke liye ek game ban gaya tha. Usay pata tha ke yeh cheez normal nahi thi, lekin wo is moment ko enjoy kar raha tha. Waleed ke doston, Anas aur Maaz ko yeh sab pata tha. Unhein yeh bhi maloom tha ke Waleed bohot possessive insaan hai. Is liye unko kabhi kabhi yeh dar hota tha ke Waleed kahin koi ulta kaam na kar baithe.

"Yaar, Waleed, tu zyada mat soch. Yeh stalk waala scene achha nahi lagta," Anas ne ek din cafeteria mein kaha tha.

Waleed ne hansi karte hue jawab diya, "Aray yaar, bas time pass kar raha hoon. Waise bhi kuch serious nahi hai."

Maaz, jo hamesha thoda serious rehta tha, ne bhi support karte hue kaha, "Haan, but tu samajh raha hai na? Yeh obsession healthy nahi hai. Kahin kuch ghalat na ho jaye."

Waleed ne casually haath hila kar jawab diya, "Chill guys, main sirf enjoy kar raha hoon. Tum log zyada tension mat lo."

Doosri taraf, aaj Maira, Summayya, Haroon, aur Abdul Rehman class mein ludo khel rahe thay. Lecture break tha aur teacher ke aane mein thoda waqt tha, toh unho ne socha ke thoda maza kiya jaye. Ludo ka game unke liye sirf time pass tha, lekin us waqt har koi enjoy kar raha tha. Maira ne dice roll karte hue cheekha, "Yesss! Mujhe chhakka mil gaya!"

Haroon ne hans kar kaha, "Aray waah, aaj tumhara naseeb acha lag raha hai, Maira!"

Summayya ne thoda sarcastic tone mein kaha, "Haan, ab toh Maira jeet kar sabko haraye gi."

Abdul Rehman apni turn ke liye intezaar kar raha tha, lekin uska dhyaan thoda ludo se hat kar Haroon aur Maira ki teasing par tha. Sab maze mein thay, jab achanak Waleed ne class ke door se enter kiya. Usne andar aate hi dekha ke Maira aur Haroon ludo khel rahe thay, aur dono ke chehre par muskurahat thi. Waleed ki aankhen turant Haroon par tik gayi. Usay Haroon ka Maira ke saath is tarah relaxed aur happy hona bilkul pasand nahi aya.

Waleed ne apne gusse ko control kiya, lekin phir uske dimaag mein ek plan aya. Wo seedha chal kar ludo board ke paas gaya aur ek sudden kick maar kar board ko ulta diya.

"Kya kar rahe ho tum log? Yeh class hai, khelne ki jagah nahi," Waleed ne gusse se kaha.

Haroon ne ghusse se Waleed ko dekha aur utkar kaha, "Tumhe kya problem hai? Hum sirf time pass kar rahe thay jab tak teacher nahi aata."

Waleed ne haath hila kar Haroon ki taraf ishara kiya, "Tumhara yeh time pass class ke discipline ko disturb kar raha hai. Tum log yahan khelne nahi aaye ho."

Haroon ka gussa barh gaya. "Tum hote kaun ho humein yeh batane wale ke hum kya kar rahe hain? Tum apna kaam karo."

Waleed ne apne doston ki taraf dekha, jo door se dekh rahe thay, lekin wo Haroon ki baat se aur zyda ghussa ho gaya. "Class ka ek rule hota hai, aur tum log usay tor rahe ho. Agar tumhein padhna nahi hai, toh yahan se chale jao."

Haroon ne ghusse se jawab diya, "Tumhe koi problem hai toh apne kaam se kaam rakho. Tumhare jaise log bas unnecessary drama create karte hain."

Dono ke darmiyan tension barhne lagi, aur aisa lag raha tha ke shayad ladaai ho jaye. Class ke SVL (Student Volunteer Leader) ne jaldi se beech mein aake situation ko control karne ki koshish ki.

"Bas karo, tum dono! Yeh class hai, aur humein discipline maintain karna chahiye," SVL ne strict tone mein kaha.

Waleed ne haath utha kar SVL ko dekha aur kaha, "Yeh log class ko disturb kar rahe thay. Main sirf itna keh raha hoon ke yeh khel ka time nahi hai."

SVL ne Haroon ko bhi dekha, jo ab thoda relaxed tha. "Tum dono yahan se hat kar apne apne kaam karo. Humari class mein aise maslay nahi hone chahiye."

Waleed ka ghussa ab thoda kam ho gaya tha, lekin Maira, jo puri fight se dara hua tha, turant apne jagah se uth kar Summayya ke saath class se nikal gayi. Maira ne Summayya se dheere se kaha, "Mujhe bilkul acha nahi lag raha yeh sab. Yeh Waleed ajeeb hai."

Summayya ne Maira ka haath pakad kar tasalli di, "Relax, yaar. Tumhein is sab se door rehna chahiye. Waleed waise bhi strange hai."

Dono larkiyan thoda tense ho kar wahan se chale gayi, lekin Waleed ab bhi apne gusse mein control mein tha. Haroon ne bhi Waleed ko ghoor kar dekha, lekin ladai ka silsila khatam ho gaya tha.

--

Doosri taraf, Nain Fashion Design department ke corridor se guzarte hue Zara se takra gayi. Zara, jo Muhammad Amir ki bachpan ki dost thi aur apni shadi ke liye bohot excited thi, us din Shehreen ke saath baithi hui thi.

Jab Nain unke paas pohnchi, toh Zara ne turant muskurate hue kaha, "Aray Nain, kaisi ho? Main tumse milne ka soch hi rahi thi. Tumhe meri shadi ke baare mein batana tha."

Nain ne Zara ki taraf awkward si muskurahat ke saath dekha. "Main theek hoon, tum kaisi ho?"

Zara ne apne excitement ko dabate hue kaha, "Yaar, bas shadi ki planning chal rahi hai. Tumhein pata hai, dresses decide karna aur shopping sab kuch bohot hectic ho raha hai. Lekin main itni excited hoon! Tum log ko meri shadi mein zaroor ana hai."

Nain ne thoda sharmate hue sir hilaya, "Haan, hum zaroor aayenge." Shehreen, jo wahan chup thi, bhi sirf muskurate hue Zara ki baat sun rahi thi.

Zara apni baaton mein kho gayi thi, "Tumhein pata hai, main soch rahi hoon ke mujhe pastel shades ke lehngay lene chahiye. Lekin color selection kaafi mushkil ho raha hai. Tum logon ka opinion lena padega."

Nain aur Shehreen sirf haan mein haan milate rahe, lekin dono ke liye yeh situation thodi awkward thi. Zara ka shadi ka junoon aur har waqt shadi ke baare mein baat karna thoda overwhelming lag raha tha.

Shehreen ne dheere se Nain ke kaan mein kaha, "Yeh Zara waqai bohot excited hai. Mujhe lagta hai ke shadi ke baad yeh aur bhi hyper ho jayegi."

Nain ne thoda hansi dabate hue jawab diya, "Haan, waise mujhe bhi aisa lag raha hai."

Chapitre suivant