webnovel

Khamoshi

Khamosh Si Ek Raat Me Akele Tanha Mai Chali Ja Rahi Thi Bhari Barish K Tufaan me Na Raste Ka Pata Tha Na Hi Manzil Ka , Mann Me Bhare Sawalo ke Tufan ne Mujhe Khamosh Kardiya thaa, Mai Rona chahti Thi Cheekh Cheekh Kar , lekin Barish K Boondo Se Ankho ke Aansu bhi Paani Bankar Bas Beh Rahe The , Kuch Samajh Nahi Araha Tha k Kya Horaha Hai Mere Sath

Kyu meri Zindagi Aesi Kashmakash se Guzar Rahi Hai Jaha mujhe Na Mere Sawalo ka Jawab Milta Hai Aur Na mujhe meri Manzil Ka Rasta Dikhayi Deta Hai ...

Jis Tarah Ek Khamosh Samundar Apne Andar Bhare Tufan Ko Bayan nahi Karta Kuch Aesi Hi Hai Meri Khamoshi Bhi

AyeshaKhancreators' thoughts
Chapitre suivant