webnovel

chapter: 2 the family matter

Par Abeer ki wajah se ab iss cheej mein bhi vo badal rahi thi, college jane se pehle vo sau baar khud Iiane mein dekhti thi...

shyra jab apni yaadon se bahar aati hai toh uski maa uske paas hi baithi thi .. 'vo usse poochti hai ke kya baat hai aaj tum bina mujhse baat kiye seedha andar aakar baith gyi?'

'Toh shyra bahana bna deti hai ke aaj thoda thakk gyi thi, aaraam karne ka mann tha'

Maa: Pr aisa tumne kabhi nhi kiya.. aajkal main dekh rhi hoon tumhare behavior mein boht badlaav aa rha hai.. kabhi hasti rehti ho, kabhi gusse mein hoti ho, aur aaj thaki huyi thi?? Kya baat hai??

Shyra: Nhi maa aisa kuch nhi hai bs ab exam aane vale hai toh uski wajah secthoda stress hai aur mood swing ho jata hai..

Maa: Tum exam ka stress kb se lene lag gyi?

Shyra: Nhi maa (with fear) aisi baat nhi hai

Tum ab tang mat kro plzzz ...

Uski maa thodi der dekhti hai aur fr bina kuch kahe chali jati hai.. aur Shyra thoda relax feel karti hai.. aur fir se lait kr apne khayaalon mein kho jati hai...

Nayra bhi shaam ko ghar aa jati hai aur seedha apne kamre mein chali jati hai vo ghar mein jada kisi se baat nhi karti , ya yoon keh lo ke uski kisi se bhi ache se banti hi nhi vo jada samay ghar se bahar hi rehti thi kabhi kabhi toh 1 hafte se jada.. aur aaj toh vo 2 Hafton ke baad vapis aayi thi.. jb bhi koi usse poochta tha toh uska ek hi jawaab ke vo...Dotson ke sath trip par gyi thi.

Aur jo bhi yeh uske trip vale dost the vo aaj tk kisi ne nhi dekhe the...

Toh zahir tha ke uska koi dost hai hi nhi tha bs nayra ko apni zindagi azaadi se jeene mein mtlb tha ... usse padhna pasand nhi tha toh usne koi college ya university ko join nhi kiya, ghar mein rehna acha nhi lgta toh har 2 din ke baad nya trip!!! Uske ghar mein koi use theek se jaanta bhi nhi tha ke nayra ko kya pasand hai? kya nhi? Iske alawa jo bhi family ko pta hota hai vo uske bare mein koi nhi jaanta tha..

Nayra thodi khadoos thi jis wajah se jada usse iss liye hi baat nhi karta tha.. vo khud mein hi rehti thi.

Agle din shyra thodi jaldi mein tyar hokar college ke nikal jati hai.

Aur idhar Nayra bhi bas bahar jane hi lagti hai ke uske papa usse dekh lete hain aur jane se rok lete hain aur vo thoda shock mein bhi hote hain.. Nayra unko mna karti hai ke vo baad mein milegi par uske papa gusse ho jate ho jate hain... toh Nayra ko rukna hi padta hai..

Papa: Tum rehti kahan ho? 6 saal se dekh rha hoon ... tumhara yhi haal hai .. kahan jati ho? Kisse milti ho?aur kb vapis aati ho?? Hamein pta hi nhi chlta!! Aur kb se lauti ho?? Aaj dekh rha hoon tumhe 2 Hafton ke baad!!!

Nayra ko apne papa ko jwaab dene mein bilkul bhi dilchaspi nhi thi par vo ghar se jaldi jana chahti thi isliye vo kehti hai ... 'papa hamesha ki trah apne doston ke sath trip par gyi thi'

Par uske papa ko yeh jwaab sun kar aur bhi jada gussa aata hai aur vo usse poochte hain ke.. ke acha? Chlo theek hai aaj tumhare dost hamare ghar par dinner karenge, unhein invite kro meri taraf se...

Nayra ko toh yeh sun kar aur bhi gussa aata hai aur vo gusse mein bol deti hai ke vo insaan hain...

Aap unko dinner karwaoge?? Ya unko hi dinner bna kr kha loge???

Papa: (tevar dikhate huye) acha toh insaan tumhare dost kab se ban gye?? Tumhe toh insaan pasand nhi the??? Kyu??

Chapitre suivant