webnovel

SAFAR PYAAR KA

Yeh kahani hai kanak aur Vihaan ki....Kaise yeh Badale ki tamanna aur nafarty pyar me badalti hai...??

IU207 · Urban
Zu wenig Bewertungen
156 Chs

Intrigued

Ashi ward room me aati hai, Kanak Ashi ko dekh kr "Ashi tum ..?, Tum kab aai"

"Bha.. Bhai...ka Accident ho gaya.. aapne bataya nahi" Ashi emoctional hote huye

"Ashi...Maaf karna... main jaldi me... Tum fiqar mat karo.. Doctor ne btaya hai, Vihaan ji bikul thik hai, Bas Thoda rest kar rahe hai" Kanak Ashi ki taraf Halki si Mushkan se dekhte huye Kehti hai.

"I Wish, Bhai... jaldi thik ho jaye.. " Ashi Kanak ke pas aakar bethe huye. Kanak Ashi ke hath pe apna hath rakh kr use dilasa deti hai.

Aman aur Abhinav Bahar se Sab dekh rahe the, Aman man me " Kanak apna dhukh chupa kar Ashi ko sambhal rahi hai, meri bahan....Kiya itni badhi ho gai"

Aman Abhinav ke pas jaa kar "yeh sab Vihaan ke sath kese hua? "

"No idea....mujhe Iske piche... Kisi ki sajish lagati hai..jese Kisi ne Janbuz kar Accident karwaya hai" Abhinav

"Hmm... Tumhe yesa Kyun lagta hai? " Aman

"Kyunki... Accident wali jagah pr Police Inquary ke liye gai thi, Pata chala hai ki, Jis Truck se Vihaan sir ki Car ki takkar hui thi, Us Truck ke Owner Ko police ne dhundh nikala hai, Lekin truck ka driver farar hai...Truck owner ne bataya hai... Jis road pr Accident hua... Truck ko uss side jana hi nahi tha... Truck ki load booking L2 Highway ki thi, Owner ne loading slip Police ko saboot ke tor pr bhi dikhai hai, Isse pta chalta hai... Kisi ki sochi samjhi sajish hai..." Abhinav Aman se disccusion karte huye.

"Hmm...yeh sochne wali bat hai, Tumne sahi kaha... " Aman Dhayan se sunte huye.

"Jab tak driver ko pakad nahi liya jata tab tak hum kuch nahi keh sakte.....aur abhi Vihaan sir bhi hosh me nahi aaye hai" Abhinav Vihaan ki aur dekhte huye.

Aman ka Mobile ring karta hai, Aman Call pick karte hai" Hello... Yes, I am coming on time...Yes sir.. Sab ready hai.. "Aman Apna call hang up karta hai. Abhinav ki aur dekh kar " Aaj meri Important meeting hai,, Main ab chalta hun, Kuch informations pata chale toh mujhe Contact karna...Evening me milte hai... "

"Okay... Aap jaiye... "Abhinav Aman ko bye karta hai, Kanak Abhinav ke Samne aa jati hai.

"Woh bhaiya the? "Kanak Abhinav se.

"Ah... Han Bhabhi....Unki meeting thi, isly Jaldi yahan se chale gaye... " Abhinav Kanak se hichkicha kr kehte huye.

"Abhinav Bhaiya... Aap Yahan Puri raat rahe hai.....Aap thak gaye hoge.... Ab aap Ghar jaa kar aram kariye... Main Aur Ashi dono hi yahan hai" Kanak Mushkurahate huye.

"Bhabhi... yese kese... main? " Abhinav Jaane se ser hila kar mana karta hai.

"Bhaiya. .Yakeen kariye.. Main yahan hun.. Vihaan ji ko hosh aate hi main apko Bata dungi, Aap please thoda aram kare, aapko yahan rhete huye sari raat ho chuki hai, aapko bikul aram nahi mila hai" Kanak Abhinav ko samjhate huye.

"Thik hai... Kuch bhi zarurt ho toh mujhe call kriyega"Abhinav keh kr Vihaan ko Dekh kr Hospital se chala jata hai.

Kanak Ashi ke pas aakar Pihu ka diya hua Khana Ashi ko deti hai " Ashi lo kuch kha lo... yeh Khana Pihu laai thi.. "

"Bhabhi... aap... aapne bhi toh kuch nahi khaya hoga.. " Ashi Kanak ko mayushi se dekhte huye.

"nhi... Ashi...mene kha liya tha, Pihu ne mujhe Zid kar ke apne hatho se khila diya tha.. mujhse itna khaya nahi gaya, ab tum kha lo.. yah kuch aur khana hai... Main laa kar du? " Kanak Ashi se Smile karte huye.

"Nahi bhabhi... Pihu Achi Cheaf hai.. main yahi kha lungi.." Ashi Keh kar Pihu ka diya khana khane lagti hai.

"hmm...Ah... "Vihaan Karrata hua..Apni ankhe dhire dhire kholta hai..Vihaan ko sab dhundhla dikhai deta hai, Phir aankhe bandh kar ke dubara kholta hai.

Kanak Vihaan ki awaz sun kr Vihaan ke pas aa kr "Vihaan ji... Vihaan ji... Aap thik hai?"

Ashi Vihaan ko hosh me aata dekh " Main doctor ko bula kar lati hun" Ashi doctor ko bulane chali jati hai.

Vihaan Kanak ko apne pas dekh kr, Oxygen Mask hata kar, Apni Dabi awaz me "Mera ser...Mujhe headache ho raha hai.. "

"Han.. aap fiqar nahi kariye, Ashi doctor ko bulane gai hai..abhi aati hogi" Kanak apne ankho me aashu laate huye.

"Hm... Main.. Yahan....kaise... aaya" Vihaan Uth kar bethne ki kosis karte huye bolta hai.

"V... Vihaan ji.. aap yeh.... kya kar rahe hai..aapke choth lagi hai...aapko laite rhena chaiye.. " Kanak Vihaan ko. sambhalte huye.

Vihaan Achanak Khamosh ho Jata hai, Vihaan ke chehere pr pareshani ki jhalak dikhne lagti hai, Kanak Vihaan ka face dekh kr pareshan hote huye,

"Vihaan ji, Ki... Kya hua... aap... Iss tarah se... Niche kyun dekh rahe hai" Kanak Vihaan ko dekhte huye.

"Main... Main apne pairo ko mahsos nahi kar paa raha hun... " Vihaan Kanak ki aur Hairani se dekhte huye kheta hai.

Kanak Sunte hi shocked ho jati, Vihaan Ghabrata hua dubara Bethne ki kosis karta hai, Kanak phir pakad leti hai, Itne me doctor aa jate hai, Aur piche se Ashi bhi aa jati hai.

"Doctor...Main apne Legs move nahi kar paa raha hun... Mujhe yese feel ho raha hai... jese mere per hi nahi hai... "Vihaan Ghabrahate huhe Doctor se.

"Doctor...Please check kariye...Vihaan ji yesa kyun keh rahe hai" Kanak Vihaan ke Pas khadi pareshan hote huye doctor se kehti hai.

Ashi sun kar Shocked hoker "Bhai... "

"Clam down, Let me Check Mr. Vihaan... Don't frustrated your self.. " Doctor Keh kr Vihaan ko check karte hai.

Doctor Vihaan ko check karne ke baad "Dekhiye... Mr. Vihaan ke hume kuch test lene hoge... Kal tak report aaygi, isi ke baad hi hum aapse kuch keh sakte hai," Doctor Kanak se.

"Ji Doctor... " Kanak.

"Ji. Mrs. Kanak..Apke husband se kahe, apne upar zor nahi de, unhe filhal proper rest ki zarurt hai" Doctor

"ji Doctor, Apka sukhriya " Kanak

Doctor wahan se chala jata hai.

Ashi Vihaan ke pas aakr " Bhai... aap kese hai... mujhe apki bahut Fiqar ho rahi thi" Ashi ka Face rohne sa ho jata hai.

Vihaan Ashi ka ek hath apne Dressing bandhe hatho me leta hai, Dusra hath se pas khadi Kanak ka hath pakadta hai, " Main Thik hun, Tum dono mere pas joh ho... Bas Mera ser me dard hai...aur thodi weakness hai.... baki sab thik hai.. " Vihaan Dono ko dekhte huye, Vihaan ki ankho me nasha dikh raha hai, Vihaan sahi se apni ankho ko nahi khol paa raha hai, Aur na hi sahi se bol paa raha hai.

Kanak Vihaan ka dard samjh jati hai, Aur dhire se Vihaan ke ser pr hath perhne lagti hai. Vihaan Kanak ki aur dekhte huye mushkurah raha hai.

Your gift is the motivation for my creation. Give me more motivation!

Creation is hard, cheer me up! VOTE for me!

I tagged this book, come and support me with a thumbs up!

Have some idea about my story? Comment it and let me know.

thanks you Readers i will be wait for ur reviews and comment.

IU207creators' thoughts