nothing
excise commissioner BALDEV SINGH BISHT ka govt bunglow charo taraf ghane chhayadar pedo se ghira hua . subah ke 8 baje he . commisioner sahab puja paath me lage he aur unki dharmpatni abhi kitchen me chai bana rahi he. thodi der baad monu ke papa matlab baldevji puja se nivrat hokar baahar garden pe padi chair pe aakar baith jaate he aur unki wife chaai ki pyaali liye waha aati he. unki surat se samjh me aa raha he ki wo raat bhar soyi nahi he. monu ke papa unki surat dekhkar chai ki chuski lete hue kahte he,
" KAVITA ...... tum kyu apna khoon jalati ho . ab monu koi bachcha nahi he . tumane use bahut samjha liya aur mene use bahut daant liya lekin wo sunane ko taiyaar nahi he to use apni jindgi jeene do. ab use ghar se nikaalane ke alaawa koi dusra raasta nahi he. tum kaho to me use kahu yaha se jaane ko ...."
monu ki maa gussa hui aur fir rote hue boli ," aap se to baat karna hi bekaar he . arey apni aulaad ko ghar se bahar nikalata he kya. bhool gaye wo din jab monu 2 saal ka tha aur bahut bimaar ho gaya tha to aapne koi mandir koi doctor nahi chora tha shahar ka. use samjhaungi me ki gay way kuch nahi hota. aur use aaj shaam ko guruji ke aashram bhi le jaaungi . shayad wo ise theek kar de.... ...."
monu ke papa chidate hue kahte he,
" haa mana me us wakt har mandir har doctor ke paas gaya tha per mujhe nahi pata tha ki me jisake liye duaye maang raha hu wo bada hokar ek gay banega. isase to ye bachpan me hi mer jata to theek tha.
mujhe to ye soch kar hi dar lag raha he ki samaaj ke log jab ye sunenge to hamari ijjat ka kabaada hote der nahi lagegi. is monu ne hamme kahi muh dikhaane layak nahi chhora. "
monu ki maa ne baat ko katate hue kaha,
" ye kya anaap sanaap kah rahe ho. aapne bete ki maut ki dua koi baap maangata he bhala . aapko meri kasam he jo aainda esi baat ki to. me is masale ko sambhaal lungi aap isase dur rahiye aur haa aap monu se kuch nahi kahenge is masale pe "
baldevji ne aaj ka akhbaar uthaya aur usame kho gaye. monu ki maa kitchen me gayi aur monu ke liye banana shake lekar usake room me aayi. to dosto ham jis monu ke baare me itani der se sun rahe he usake baare me jaan lete he.
baldev sing aur kavitaji ka eklauta beta . umr 23 saal abhi state public service commision ka test paas karne ke baad gwalior me hi Dy.S.P. posted hua he police deptt me. usake selection waale din uske maa baap itane khush the jitane shayad kabhi nahi hue honge. usake kuch hi dino baad monu ki shaadi ke liye achche risto ki line lag gayi. uname se I.G ( intelligence ) CHAUHAN sahab ki bitiya NAMITA ko to baldevji aur kavitaji ne lagbhag final hi kar diya tha. lekin jab monu se is baavat baat ki gayi to ye khulaasha hua ki wo gay he aur kabhi kisi ladki se shaadi nahi karega. wo din bada bhaari gujaara tha kavitaji aur baldevji ke dil pe. unhone monu ko laakh samjhaya , daanta . per monu tas se mas nahi hua. aakhirkaar chauhan sahab ko mana bhigwaani padi. khair ye sab to puraani baat ho gayi he.
haa to ham kaha the ham mone ke baare me baat kar rahe the. monu ka pura naam MRIDUL SINGH BISHT jise sab pyar se monu bulaate he .
monu ka kad 6 feet se kuch kam yahi koi 5"11 chehra kuch chapta sa surkh gora ranga gulaabi honth, curly hair clean shaved. aankhe chhoti . seene chauda aur ubhara hua . jaanhge bhari hui. matlab jab wo police ki wardi me nikalta to achchi se achchi ladkiya apna dil thaamkar baith jaati. abhi ye khabar shahr pe nahi faili thi warna un ladkiyo ke dil per na jaane kya bitati.
kher monu ki maa ne shake wahi table pe rakhte hue monu ki taraf dekh jo apne lappy liye kisi se chatting me busy tha. maa bhadakte hue boli,
" ye kya subah subah laptop lekar baith jaate ho. chalo ise pee lo jaldi se mujhe kitchen me aur bhi kaam he. shaam ko mere sath guruji ke yaha chalna he tumhe ....."
" per kyu ??
mene aapko us din bhi kaha tha ki me bilkul normal hu. gay koi abnormal nahi hote. isliye mujhe kahi nahi jaana aapke sath. " monu jhunjhlaate hue bola
kavitaji aankho me aanshu bharate hue boli,
" theek he me kaun hoti hu kuch kahne waali. ab to tu police ka officer ho gaya he na. ab bhala tu kyu meri sunenga..."
monu ne maa ko hath pakadkar bed per bithaya aur khud farsh per baith kar apna sar maa ki goad me rakhte hue bola,
" maa .....
aap ko pura hak he mujhper aur hamesa rahega lekin jo cheej he hi nahi usake liye kyu wakt barbaad karna . aap ko meri baat ka bharosa nahi he na to theek he aaj shaam ko ham chalenge lekin guruji ke paas nahi balki pshycetist ke paas. waha aapke har sawaal ka jawaab mil jaayega "
kavitaji gumsum si bete ka chehra dekhe ja rahi he. shaam ka wakt he kareeb 7 baj rahe he .monu apni maa kee sath pshycetrist ke paas jata he maa ander he doctor ke paas uar monu bahar baitha hua he aur wo ander monu ki maa ko samjha rahe he,
" dekhiye mrs. BISHT .......
its completly normal to be a gay. na to ye koi bimaari he aur na koi mental disorder . koi insaan apni ichccha se gay nahi banta . sexual preference badalne se insaan nahi badal jata. aapka beta utana hi normal he jitana koi aur ladka. isaliye aapko ye baat dimaag se nikalani hogi ki ye koi galat cheej he."
kavitaji ne utsuka hote hue puchha,
" to kya dunia me aur bhi gay ladke he ????"
doctor ne dheeme se muskuraate hue kaha ,
" ek do nahi laakho he. bas jyadatar log ise chhupaate he samaaj ke dar se aur ek ghutan bhari jindgi jeene ko majbur hote he. naa ese log apni shaadishuda jindgi se khush rah paate he aur na apne jeevan sathi ko kabhi sachcha pyar de paate he. aapko to kush hona chahhiye ki aapka beta bahut bahadur he . jisane saamane aakar ye kubul kiya ki wo gay he. aur aap logo ko bhi uska support karna chahiye kyuki gay ladko ko agar family ka support na mile to unki jindgi bahut muskilo bhari ho jaati he. agar aap chahti he ki aapka beta khush rahe to usper str8 banane ka dabaaw na daale . use apne hisaab se jeene de. haa uska support hamesa kare. aaj aapke bete ko aapki bahut jarurat he. kyuki agar aap use nahi samhengi to kaun samjhega ? "
kavitaji ke dil per doctor ki baato ka asar ho raha tha fir bhi unake man me kuch doubts the unhone fir puchha ,
" per gay ladke bachche kese paida kar sakte he. kya me apne pote ka muh dekhe bina hi mar jaaungi ?"
doctor ne unhe himmat bandhaaate hue kaha,
" nahi esa nahi he aaj ka science itana advaance ho chuka he ki kuch bhi asambhav nahi he. aapka beta baap bhi ban sakta he aur uske bachche me aapke bete ka hi ansh hoga "
fri doctor ne kavitaji ko detail me surrogate mother ke through ke test tube baby ka formula samjahaya. kavitaji ke man me bandhi hui kai saari gutthiya sulajh rahi thi. jab wo waha se baahar aayi to unhe ek baat ka bharosa to ho hi gaya tha ki unka beta normal he.
baahar monu ko dekhate hi use seene se lagate hue boli,
" i m sorry beta. me is baare me kuch nahi jaanti thi. lekin aaj mujhe bahut saari baate pata chal gayi. aur haa mujhe garv he ki tumane sach bolane ki himmat dikhaayi ...."
maa bete dono ro rahe the. baahar aakar car me baithate hue kavitaji ne monu se sawaal kiya,
" to koi he kya teri jindgi me is wakt..... mera matlab koi ladka ??"
monu car drive kar raha tha . kuch sharmate hue bola,
" nahi maa. cllg me ek tha per aajkal wo shaadi karke settle ho gaya he "
maa ne agla sawaal kiya ,
" per wo ladka jab gay tha to usane shaadi kisi ladki se kyu ki. ye to us ladki ke sath cheeting hui na ?"
monu ne apni maa ka chehra dekha. wo achmmbhe me tha ki maa kaa najariya kitana badal gaya he doctor se milkar. usane khush hote hue kaha,
" maa har koi tere bete jesa bahadur thode hi hota he "
kavitaji ne thandi saans lete hue kaha ,
" to ab kya socha he ??? "
monu ne gambheer hote hue kaha,
" maa mene net per kaafi try kiya per ladke meri police ki naukari ka sunkar bhaag khade hote he. paahle to koi milane ko raaji nahi hota aur agar ho bhi gaya to jese hi use meri job ka pata chalta he wo bhaag khada hota he.
me kaafi pareshaan ho gaya hu is sab se "
kavitaji ne caar ki window se baahar dekhate hue kaha,
" me dundungi apne bete ke liye koi ladka . haa soch to tha ladki dundane ka per chalo ladka hi sahi. tumhara jeevansath chunane ka kaam ab mere jimme he."
monu ne ekdam se car rok di aur maa ke gale se lipat ke rone laga. uska rona dekhkar kavitaji ko dctor ki wo baat yaad aa gayi ki monu ko aapki bahut jarurat he abhi .
shaam gahri hokar raat me badal chuki thi ab to bas kal ke savere ka intejaar tha. monu ko bhi aur uski maa ko bhi
_------------------ PART - 2..........
raat bhar monu apni maa ke sath unke bed per usi tarah soya jese wo bachpan me soya karta tha. aur kavitaji bhi kuch kuch apne bete ke dil ko samjhane ki koshish kar rahi thi. agali subah bahut dino baad kaafi taajgi bhari aur achchi thi. kavitaji ka mood bhi aaj kaafi behtar tha. monu ke papa ne bhi is baat ko mahsus kiya to unhe bhi achcha laga . aakhirkaar ghar me itane dino se jo tention ka mauhal bana hua tha wo thoda sa kam hua tha.
kavitaji as usual monu ka banana sshake lekar uske room me aa gayi to dekha ki monu abhi tak so raha tha. aaj bade dino baad monu ko itane sukun ki neend jo aayi thi. aur aaye bhi kyu nahi aakhirkaar ab uske sath uski maa thi. maa ne bade pyaar se uske sar pe hath ferate hue use jagaya,
" gm beta uth jao dekho subah ke 8.30 ho rahe he. offc ni jana kya ???"
monu ne anmane se hokar dekha maa paas baithi thi. usane apna sar maa ki goad me raka aur alsaaye hue boa,
" nahi maa aaj man nahi he ....
aaj pura din aapke sath rahunga bas . bahut dino se aapse fursat me baithkar baate nahi kar paya . isliye aaj beta aur maa dono jam ke gappe ladayenge. theek he na ??"
kavitaji bhi bahut khush thi. unhe ahsaas ho raha tha ki kai dino se jo khinchaav aur duriya monu aur unke risto me aa gayi thi wo dur ho rahi he. wo bhii to yahi chahti thi.
khair ghar ke kaam se fursat hokar maa bete dono sath sath baithe. kavitaji ne baat chedate hue kaha,
" to mujhe pahle ye bata ki mujhe kaha jaakar koshish karni padegi jisase me tere liye koi achcha sa jeevansathi dhudh saku ?"'
monu ne apni maa ko samjhaate hue kaha ,
" maa india me ye sab itana jyada open nahi he sirf metro me thoda bahut open he wo bhi spcly mumbai me. isliye internet se achcha koi option nahi he . kuch gay sites he aur kuch social networking sites he jaha me try kar raha hu .."
kavitaji ko thoda bahut computer chalana aata tha. unhone monu se kaha,
" tere paas to apni job se itana wakt hota nahi he tu kahe to me tere id se chat kar sakti hu ?'"
monu kuch sochate hue bola,
" per maa... waha sab type ke ladke honge. bahut saare to waha pe nude pic bhi upload karte rahte he. aap waha comfartable nahi ho paogi...
aur fir unke ulte seedhe sawaal ..
maa aapse nahi hoga......!!!!! "
kavita man me kuch faisala karte hue boli,
" monu wo sab ladke teri umar ke honge . aur apne bachcho ki umar ke bachcho ko nanga dekhane me mujhe koi prblm nahi hogi. aur rahi baat ulte seedhe sawaal puchhane ki to mujhe kaan ke neeche do chapat lagane me der nahi lagegi "
monu abhi thodi soch me tha per apni maa ka confidence dekh ke usane unhe id operat karna sikha diya. bas dosto us din se kavitaji dopahar me jese hi ghar ke kaam se free hoti wo laptop lekar baith jaati aur der shaam jab baldevji offc se wapas aate tab tak usi se cheepaki rahti. unhe us doctor ki wo baat yaad aa jati thi ki is dunia me gay laakho ki counts me he lekin saamane aanewale gay bahut kam he.
kher .... unhe shuru ke 10-15 din to sab kuch seekhane me lag gaye aur fir wo seriously chat karne lagi. unke paas wakt ki kami to thi nahi isliye jisake sath bhi chat karti usase ek ek information lene ki koshish karti thi. isaka fayda ye hone laga ki bahut jaldi waha unka ek achcha frnd circle banane laga. wo har frnd se yahi kahti thi ki unke contact me koi bhi esa ladka ho jo open gay ho aur relationship me believe karta ho to use baare me use jarur bataye.
kareeb 20 din ke baad unke ek chat frnd ne bataya ki delhi me next sunday ko gay parents meet hone waali he aur ye ek secreat place pe honewali he. kavitaji ne monu se is baare me baat ki to jayda excited nahi hua per kavitaji ke jor dene per chalne ko raaji ho gaya. monu ki maa ne monu ke pita se bahana bana diya ki wo monu ko kisi maharaj ji ke paas le ja rahi he.
kher kis tarah wo log delhi pahuche waha south delhi ke 5 star hotel me meeting organise ki gayi thi. kavitaji ne pahle hi apne aane ki information de di thi. waha unki aur monu ki address id aur photo id check ki gayi aur fir unhe andar jaane diya gaya. andar ek bade se haal me kareeb 60-70 log ekttha ho chuke the kareeban 25-30 parents waha aaye hue the.
ye ek naya experince tha monu aur uski maa ke liye. waha aayi hui jyadatar families well educated aur well setteld families thi. meeting ke organiser ne unhe baithane ka aagrah kiya. ek najar kavitaji ne waha aaye hue har ladke ko dekha. koi bahut mota to koi bahut patla. koi bilkul janana to koi bahut gumsum. koi bahut jyada bolane wala to koi bahut chhichhora type ka. unhe un ladko me se koi bhi pahli najar me pasand nahi aaya tha. aur aata bhi kese unka monu laakho me ek tha. aur isi wajah se wahaaaye hue jyadatar ladke monu ko badi hasrat bhari nigaah se dekh rahe the. abhi meeting start hue kareeb 30 minutes hi hue the ki ek 25-26 saal ka dubla magar handsome saa ladka enter hua haal me usane organise se der se aani ki maafi maangate wahi kavitaji ke paas me aakar baith gaya. kavita ji ne use uper se neeche tak ghur ghoorkar dekha. us ladke ne kavitaji ko ek najar dekha aur kaha,
" namstey aunty. i m dipanakar .... frm noida ."
kavitaji ne muskuraate hue puchha ,
" to kya aap bhi apne liye ...???""
dipankar ne baat katate hue kaha,
" nahi aunty me gay nahi hu. actully mera close friend gay he me uske sath aa raha tha. per use achaanak kuch urgent kaam a gaya to usane mujhe yaha bhej diya ki me usake liye aakar dekhu ki shayad koi achcha partner mil jaaye ....
wese ye aapke sath aapka beta he na ??""
kavitaji ne udaas hote hue kaha,
" haa me apne bete ke liye aayi thi per yaha mujhe koi ladka pasand nahi aaya. wese aapka dost karta kya he ??"
dipankar ne baat ko aage badaate hue kaha,
" jee mere dost ka naam he ABHIGYAAN SINGH KATOCH .... uski family basically kashmiri rajputo ki he. uske dad army me major jnl he aur abhi use me pyar se abhi kahta hu. wo real state ka kaafi bada businees sambhalta he . do bhai he wo. bade bhai ki shaadi ho chuki he. lekin abhi ne apni family ko bata diya he ki wo gay he . is wajah se usake dad aur bhai ne usase apne relation khatam kar diye he. ab uska bhai bhi me hu aur baap bhi. ...."
baato me jaane kab wakt nikal gaya ki kuch pata hi nahi chala aur meet khatam ho gayi. kavitaji ABHIGYAAN SE milana chahati thi per kese kahti . tabhi dipankar ne kavitaji se kaha,
" aunty aap ko prblm na ho to aap mere sath noida chale waha aap abhigyaan se mil sakti he mujhe lagta he aapko mere dost pasand aa jaayega ..."
kavitaji ko to muh maangi muraad mil gayi unhone turant haa kar di. kuch hi der me unki car dipanker ki car ko follow karne lagi . raaste me monu ne maa se kaha,
" maa u kisi ajnabi ke yaha jana theek he kya ??"
kavitaji khush hote hue boli,
" oye chup kar tu monu. me police offcr ki maa hu mujhe dar ni lagta kisi se . aur isame ajeeb kya he. mil lene me kya harj he. aur mera man to kah raha he jesa ladka tujhe chahiye ye dekhana bilkul wesa hi hoga ..."
kuch wakt me hii unki car noida me ek shandar bunglow ke baahar aakar ruki . ye hi tha abhigyaan ka ghar. car ko ander parking me rakhwakar dipankar kavitaji aur monu ko ander le gaya. kareene se saja hua ghar tha. har cheej apni jagah per thi. thodi der me chai naasta aa gaya aur dipanker ander gaya abhigyaan ko bulaane ke liye kareeb 10 minute baad dipanker ke sath ek ladka kamre me daakhil hua.
umr kareeb 26 saal. behad gora rang patli naak surahi jesi aap kah sakte he kashmiri naak naksha tha bilkul. jism na jyada bhara hua na jyada dubla lekin biceps dekhkar lagta tha ki abhigyaan ko kasrat ka thoda bahut shauk hoga. chehre per halki si badi hui daadhi. baall thode se bikhare hue shayad abhi abhi bahar se aaya he. kad kareeb 5" feet 7 inch . aur weight 62 kg.
chehra aakarshak tha sath hi chehre per ek maasumiyat bhi saaf dikh rahi thi.
abhigyaan ne kavitaji ko dekhate hi unke per chhue to kavitaji ne use aashirwaad dete hue kaha,
" khush raho beta....
to abhigyaan singh katoch aap hi he ??"
abhigyaan ne halki si muskaan chehre per laate hue kaha,
" jee ha me hi abhigyaan hu, aap mujhe abhi kah sakti he. "
itana kahkar abhigyaan ne monu ko najar uthaakar dekha dono ki najare pahli baar mili. abhigyaan monu ka hassen chehra dekh raha tha aur monu abhigyaan ki saadgi. abhigyaan thoda sa shrma raha tha lekin monu to abhigyaan ko dekhane me itana masroof tha ki sharmaane ki fursat hi kaha thi.
honth to band the lekin aankho ne ek dusre ko salaam kiya. MONU ko abhigyaan ka chehra bha gaya tha aur abhigyaan ko monu ki personality. kuch pal ki thaharan ke baad abhigyaan ne hath aage badaate hue kaha,
" hiii... i m abhi ....."
monu ne apne sakht hatheli me abhigyaan ki naram si hatheli ko thaamate hue kaha,
" hello ... i m monu "
>>>>>>>>>> part 3 <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
abhi sofe pe baithate hue bola,
" srry mujhse milane ke liye aapko yaha tak takleef uthaani padi . wese me waha aa hi raha tha per achaanak offc ka kuch kaam aa gaya.
wese aap ka kya karte he monu ?? "
monu ne maa ki taraf dekha to maa ne isharo me hi use permission de di. monu ne kuch hichkichaate hue kaha,
" actually i m in POLICE .........
Dy. S.P. ki post per "
police ka naam sunkar hi abhigyaan ne dipanker ki taraf dekha. jese kaha raha ho ki ye baat pahle kyu nahi batai. aur dipaanker ishaaro me hi mmaafi maang raha tha. abhigyaan kuch stress me aa gaya aur kuch sochate hue bola,
" dekhiye aunty mujhe ek soft hearted insaan chahiye jo mujhe aur meri feelings ko samjh sake. jiski life me risto ki bahut importance ho. jo sirf aur sirf mera hokar rahe. mera galat matlab na nikaaliyega lekin me kisi police ya army waale se koi relation nahi banana chahunga "
ye baat sunate hi kavitaji aur monu ke chehre per udaasi chha gayi. monu ne maa ko chalane ka ishara kiya lekin kavitaaji ne aakhiri koshish karna jaruri samjha aur isliye wo abhigyaan se boli,
" dekho beta har defence ya force service ka ladka bedil ya bahut rukha ho ye sach nahi he. aur tumhaari ye soch se bhi me sahmat nahi hu. isliye me chahti hu ek baar tum monu ke sath time spend karke dekho use samjhane ki koshish karo . tab tum jaanoge ki wo kitana naram dil ladka he. "
abhigyaan me rukhaai se jawaab dete hue kaha,
" srry aunty lekin mujhe apni life se jo sikhane ko mila he usake aadhar per hi me decision leta. aur me chahta hu ki me jis kisi ko bhi apnaau to pure man se ....
aadhe adhure man se nahi..."
kavitaaji uthate hue boli,
" theek he beta jesa tumhe theek lage. lekin mujhe to tum pasand aa gaye the. kher ye to kismat ki baate he. kaun kiski kismat me h...rab jaane "
monu aur kavitaji ko abhigyaan bahar tak chorane aaya. aur ek benatijaa mulakat ke baad kavitaji apne bete ke sath gwalior wapas aa gayi. kavitaji ne saaf saaf dekha tha ki monu ko abhgyaan pasand aa gaya tha. usake chehre per ek chamak si aa gayi thi. lekin wo kya kar sakti thi apne bete ke liye jab abhigyaan hi taiyaar nahi tha.
is baat ko 2 month ho gaye the kavitaji is baat ko bhulane lagi hi thi ki ek din dipanker ka phone aaya,
" hello aunty namastey......
me dipanker bol raha hu abhigyaan ka dost noida se pahchaana ?"
kavitaji ke chehre per ek chamak si aa gayi. wo exited hote hue boli,
" ha beta pahchan liya . aur kesa chal raha he sab kuch. abhigyan kesa he ?? use koi mila ya nahi "
dipanker ki aawaj dheemi ho gayi aur wo kuch sochate hue bola,
" mujhe aapse ye kahna tha ki mujhe bhi lagta he ki abhgyaan ke liye monu se achcha jeevansathi nahi mil sakta. aur me ye bhi janta hu ki abhigyaan ko bhi monu pasand aa gaya he kyuki aap logo ke jaane ke baad wo koi na koi bahaane se aapke baare me baat karta rahta he. aur me apne dost ko achche se samhata hu ki wo mujhse kya kahna chah raha he. me chahta hu ki kam se kam ek baar dono ( abhigyan aur monu ) pura din sath sath ghume fire . to shayad baat ban sakti he."
kavitaaji ne khush hote hue kaha,
" ye baat to mene us din bhi kahi thi pr abhigyaan ne hi mana kiya tha. aur use monu ke police ke job se elergy he uska kya hoga ??"
dipanker ne gambheer hote hue kaha,
" actually aunty baat ye he ki abhigyaan ki maa to is dunia me bahut pahle se nahi he sath hi abhgyaan ke papa ne kabhi bhi abhgyaan ko wo pyaar nahi diya jiska wo hakdaar tha. na kabhi use samjhane ki koshish ki. uske dad army me he. isliye uske dimaag me ye baat ghar kar gayi he ki saare force waale ese hi patthardil hote he "
kavitaaji ne thandi saans chodte hue kaha,
" hmmmmmmm........
to baat ye he . wahi me kahu ki uski soch itti negetive kyu he ??
kher use convince kese karoge meeting ke liye "
dipaanker ne uchhalte hue kaha,
" ek achcha mauka hath laga he . isliye mene aapko call kiya he. abhigyaan perso apne business ke silsile me gwalior jaa raha he waha do din tak rukane ka prograam he. me chahta hu ki monu aur ahigyaan dono ko ek baar milwaa diya jaaye to kesa rahega. lekin hame ye baat abhigyaan se chhupani padegi warna wo milane ko raaji nahi hoga...."
kavitaji khush hote hue boli,
" haa beta mauka to achcha he...
ye to batao abhigyaan kaha stay karne waaala he aur kya tum aaoge uske sath ??
dipanker apni baat ko aage badata hua bola,
" jee me bhi aa raha hu. ham log hotel AADTIYAAJ me stay karenge. "
kavitaji ne kuch sochkar kar kaha ,
" theek he ab mera plan suno aur wesa hi karna...."
aur kavitaaji ne saara plaan dipanker ko samjha diya .
do din baad. jagah hotel aadityaaj ka confrencing hall. jaha abhigyaan meeting me busy he . kareeb ek ghante baad wo meeting se free hote hue apne room me aata he kii. tabhi dipanker ka phone aata he ki wo jaldi se police station aa jaaye kuch prbm ho gayi he. abhigyaan heraan pareshaan sa police station pahuch jata he, dipanker ko dekhate hi wo puchata he ki baat kya hui,
dipanker naatak karte hue bola,
" arey wo me jara market aaya tha to kisi me meri pocket maar di . mere saare credit card paise usi me chae gaye. bas usi ki report likhwaane aa gaya hu. "
abhigyaan ne thoda sa tasallii ke sath kaha,
" to chalo ander officer se mil lete he.."
iatana kahkar dono jese hi chamber me ghuse to sann rah gaye. ander monu apni policiya wardi me bahut handsome lag raha tha. ek baar fir abhigyaan ki najare monu k najaro se takra gayi.
dono log aashchryachkit bhi the aur kahi na kahi khush bhi the. abhigyaan ne fir se hath badaate hue kaha,
" what a pleasant surprise....????
to tum yaha posted ho ?
monu ne khud ko sambhaalte hue kaha,
" haa me yahi posted hu. kahiye yaha kese aana hua ??"
abhigyaan ne tafsil se saara kissa bayaan kar diya . uski baat sunker monu ne unhe tasalli dete hue kaha,
" aap fikar na kare me puri kosish karunga . "
monu ne ek hawaldaar ko bula kar kaha,
" sahab ki reoprt likh lo .....
dipaanker aap is hawalldaar ke sath chale jaayiye aur tafsil se ise note karwa djye ki ghatna kese kab aur kaha hui ?"
dipaanker to waha chala gaya ab chamber me abhigyaan aur monu akele the. monu ki dil ki dhadkane tej ho rahi thi. usane apna dhyaan baatane ki koshish karte hue kaha,
" yaha gwalior me kese aana hua ??"
abhigyaan ne use apni business trip ki baat batayi. wahi chamber me gwalior fort ka ek bada sa painting laga hua tha use dekhkar abhigyaan ne usake baare me kaafi saari inquiry ki to monu ne use waha apne sath ghumane chalane ka proposal diya jo abhigyaan ko pasand bhi aa gaya. jese hi dipanker report file karwaa kar wapas aaya to abhigyaan ne fort jaane ki baat ki to dipaanker ne sar dard ka bahana bana diya to monu aur aabhigyaan dono fort ghumane akele chale gaye.
fort per jyada bheed bhaad nahi thi. monu aur abhigyaan sath sath chalte hue yaha waha ki baate kar rahe the. kaareeb 2-3 ghantey ki baat cheet me hi dono kaafi ghul mil gaye the.
abhigyaan ko monu ka behaviour kaafi pasand aaya tha. uske behaviour me koi akad ya poliya ruaab nahi tha. bilkul aam ladko ke jesa hi tha.
jab fort se waapas chalane lage to abhigyaan ne monu se kaha,
" agar tumhe theek lage to ka kya tum mujhe gwalior ghumaa sakte ho kyuki me kal raat ko wapsa chala jaaunga"
monu ke chehre per ek sath khushi aur dukh ki lakire aa gayi. usane turant haa kar di. dono wapas chal diye. aasman aaj bahut saaf tha. shayad ab abhigyaan aur monu k risto pe chhai dhundh bhi chhat rahi thi
______________-______ part 4 _______________________________
agle din subah subah hotel ke bahar monu ki car aakar ruki. abhigyaan wahi gate per wait kar raha tha monu ka. dipaanker aaj bhi business meet me busy tha.monu ko dekhte hi usane ek smile di jiske badle me monu bhi muskura diya. abhigyaan white t shirt aur blue jeans me bahut janch raha tha. udher monu red shirt aur black trouser me aaj khile hue gulaab sa mahak raha tha. monu ke bagal me aakar abhigyaan baith gaya. aur monu ne car ko gwalior ki sadko pe daudana shuru kar diya. dono ke beech me baatcheet shuru hui.
abhigyaan ne kaha,
" monu tum dikhane me kaafi macho aur handsome ho . definitly abhi tak koi na koi to life me aaya hoga. m i right ??"
monu ne haa me sar hilaate hue kaha,
" haa tha ek cllg frnd . lekin ab uski shaadi ho gayi he. aur wo apni jindgi me khush he "
abhigyaan ne baat aage badaate hue puchha ,
" use sachcha pyaar karte the kya tum ??"
itane me car JAIVILAASH PALACE ke ander enter hui. italian architecture per based yah palace dekhane me kisi european palace ki maafik lagta he. car ko park karke dono ander enter hue. ander bahut kam log the. waha bane musieum ka muaaina karte wakt abhigyaan ne fir se apna wahi sawaal dohraya to monu ki aankhe dabdabaa gayi wo bhaari aawaj me bola,
" abhigyaan, kuch manjile esi hoti he jo safar me milti to he lekin hame kismat ke hatho majboor hokar aage bad jana padta he nayi manjil ki talaash me. me use beintahaa chahta tha lekin wo apni family ko kisi keemat pe khona nahi chahta tha. isliye mujhe use aajad karne ke alaawa aur koi chara nahi tha. pyar ka matlab kisi ko baandhkar rakhna to nahi hota na. pyar to ek khushbu he har bandhan se aajad. esa nahi he ki mujhe usake jaane se koi takleef na hui ho. me hi jaanta hu ki wo din mene kis tarah kaate . aur tabhi ye faisla kiya ki apni family ko apne gay hone ke baare me bata dunga jisase ab agar me kisi ladke ko apni jindgi me shaamil karu to uska aur mera rista khuli kitaab ki tarah ho.me ek aur sadma nahi jhel paaunga . isliye ghar me bata diya. aur bhagwaan ka shukr he maa ne mujhe samjha aur me jesa hu wese hi mujhe pyar diya. haa papa naraj he per mujhe ummeed he maa unhe bhi mana lengi.
kher ye to meri jindgi ki kahani thi tumane kuch nahi bataya mujhe apni love life ke baare me ."
monu ki baate sunate hue abhigyaan na jaane kis dunia me pahuch gaya tha. monu ki aawaj se uska dhyaan wapas lauta aur wo ek feeki si hasi haste hue bola,
'" monu meri jindgi ek saanp sidi ke khel jesi he. jaha se shuru ki thi jindgi wahi laut ke waapas aa gaya. tumhe to pata hi he ke mere daddy army me he ye baat 5 saal puraani he me apna M.B.A complete karke ghar wapas lauta tha us wakt papa ki posting chandigarh me thi. papa tab brigedier the. papa ki offc me ek captain tha meri hi umar ka unmarried . wo aksar papa ke paas kaam se ghar aata rahta tha . usase mujhe jaane kab pyar hua pata hi nahi chala. wo bhi mujhe pasand karta tha. ham dono bahut jaldi pyar ke dariya me gote lagaane lage. ek baar papa delhi gaye the 3-4 din ke liye aur maa . nanaji ki yaha bhaiya ko lekar gayi hui thi me akela tha ghar pe. to mene use bula liya tha. ham log pyar karne me itane pagal ho gaye the ki yaad nahi raha ki ghar ka main gate khula he. usi wakt papa apni meeting cancle ho jaane ke karan wapas aa gaye.
ham dono ko us haalat me dekhkar wo bahut bhadake. mujhe maara pita aur us captain ko bhi bhala bura kaha. wo chala gaya. shaam ko piataaji ka gussa thoda thanda hua to papa ne us captain ko wapas bulaya aur mujhe bhi bulaakar apne paas baithaya. wo ham dono se safaai sunana chahte the,
mene to kah diya ke me us captain se pyaar karta hu. per wo dhokhebaaj insaan bola,
" sir me thode sharaab ke nashe me tha isaliye me bahak gaya . srry sir. i m nt into men. i m a str8 guy. believe me sir. "
usake baad mujhe kuch bhi sunaai nahi diya bas uske wo lafj yaad rah gaye. papa ne mujhe ghar se nikaal diya aur mene apna khud ka business shuru kar diya aur aaj achcha khaasa business jam gaya he. bas tab se mujhe wardi waalo pe bharosa nahi raha."
itana kahkar abhigyaan ki najar monu ke chehre per padi to monu ko ye baat chubh gayi. usane baat katate hue kaha,
" lekin saare force waalo ko ek najar se dekhana kaha ki sahi baat he. har deptt me achche bure log hote he."
baato ke silsile u hi jaari the. aur is tarah dono ek dusre ko samjh rahe the. kahte he na baato se har masla suljhaya ja sakta he.
kher waha se nikal kar unki car gwalior fort ki taraf serpat daud gayi. car me abhigyaan ne fir se monu se ek sawaal kiya,
" to ab life ke baare me kya socha he. koi mila abhi tak ..."
monu ne abhigyaan ki aankho me aankhe daalkar kaha,
" haa ek ladka pasand to aa gaya he maa ko bhi pasand he. dekhate he baat kaha tak badti he"
mnou ki ye baat abhigyaan ko jaane kyu bahut buri lag gayi wo buri tarah tilmila gaya. ek din usi abhigyaan ne monu ka rista thukra diya tha fir aaj usake man me esa kyu ho raha he.abhigyaan ne kuredate hue puchha,
" kya naam he uska ??
karta kya he ??
kya me jaan sakta hu usake baare me ??"
monu ne abhigyaan ka chehra dekhate hue kaha,
" tumhaare jesi hi personalty he. per use police waalo se koi alergy nahi he. dil ka bahut achcha he. business karta he. maa se uski bahut achchi patati he. me jab bhi uski aankho me dekhata hu to lagta he wo kahana chah raha ho
" i love u monu . i really love u."
abhigyaan ka sar achaanak se dard karne laga to monu use lekar apne ghar aa gaya. kavitaji abhigaayn ko dekhker khushi se uchhal padi. lekin agle hi pal unhe uski fiker hone lagi.monu abhigyaan ko apne room me le gaya. peeche peeche maa sardard ki dawaa le aayi. dawaa khilakar monu ne use apne bed pe lita diya. itane me police station se urgent call aa gaya to monu ko jana pada. kavitaaji wahi paas me baith gayi
____________________ part 5 ____________________________
kareeb 2 ghante baad abhigyaan ka sardard band hua to usane aankhe kholi to dekha ki kavitaji paas me baithi thi. lekin monu kahi dikh nahi raha tha. usane uthane ki koshish karte hue kaha,
" kaafi der ho gayi ab mujhe chalna chahiye . shaam ki train se wapas jana he delhi. "
kavitaji ne use jabardasti litaate hue kaha,
" kahi nahi jaoge tum aaj. chupchaap lete raho. abhi tum theek nahi ho. kal chale jana. aur aaj yahi ghar per rukana padega. me is haalat me hotel ka ganda khana nahi khaane dungi tujhe samjha na "
kavitaaji ka pyar bhara gussa dekhker abhigyaan ko apni maa ki yaad aa gayi. kuch sochate hue wo bola,
" lekin aunty hotel me dipanker akela hoga. ?"
kavitaji ne pyar se usake sar per hath ferate hue kaha,
" use to mene kab ka hotel se ghar bulwa liya he. wo abhi fresh ho raha he. bas aata hi hoga "
abhigyaan kuch kahta isase pahle dipaanker room me aa gaya aur thoda sa shaitaani kartte hue bola,
" aunty ko mene hi phone karke kaha tha ki sirf abhigyaan hi aapka beta he kya me nahi. mujhe bhi ghar ka khana khana he to aunty ne mujhe fauran bulwa bheja. "
abhigyaan kuch tasalli ke sath fir se bister per pasar gaya. shaam ko jab monu ghar wapas aaya to usane dekha ki ghar me kaafi shor ho raha he. ander kitchen me jaaker dekha to maa garam garam palak ke bhajiye fry kar rahi thi aur abhigyaan aur dipanker dono khaane ke liye lad rahe the. dipanker kah raha tha,
" tu kab se petu ho gaya abhigyaan. ghar pe tujhse kuch khaane ki kaho to muh banane lagta he aur yaha meri bhi plate saaf kar di. this not fare. aunty abki bhajiye meri plate me daalna. mujhe bahut kam mile he khaane ko."
kavitaji bahut dino baad khilkhila ke has rahi thi. monu ko ander aate dekh dipanker ne kaha,
" aa gaye DY. SP. sahab.
ab aapke liye kuch nahi bacha he. baad me aana. abhi to mera hi thikana nahi lag pa raha is abhigyaan ke bachche se.......
bhukkad kahi ka ..
hunhhhhhhhhhhhhhhhhhh...."
monu ke chehre per hasi aa gayi. itane me kavitaji ne frying pen se garam garam bhajiye jese hi nikaalker plate me rakhe. to abhigyaan aur monu ek sath jhapate. aur anjaane me monu ka jism , abhigyaan ke bahut kareeb aa gaya. dono ke hath ek dusre ke hatho ko chhu rahe the. aur monu abhigyaan ke peechhe khada hua tha. to abhigyaan ko ek ajeeb si siharan hone lagi. is wajah se dono ka dhyaan bhajiyo se hat gaya aur itane me dipanker ne baaji maar li aur wo saare bhajiye apni plate me daalker living room ki taraf bhaag gaya. kavitaaji ne bhi is lamhe ko mahsus kiya. unhe ummeed ki ek kiran dikhayi di. wo boli,
" koi baat nahi 5 minute ruko abhi tum dono ke liye fry kar deti hu. wese monu teri wajah se abhigyaan thahar gaya warna bechara dipanker pichale 15 minute se bhajiyo ke intejaar me khada tha.
bhola bachcha........
he he he he he he....."
maa ki baat sunker abhigyaan ki najare monu ki taraf chali gayi. ek baar fir se dono ki nigaahe takraane lagi. ek kashish dono ko khinchane lagi thi. ek naya sa ahsaas kayam ho raha tha. monu shayad apne liye abhigyaan ke dil me jagah talaash raha tha to abhigyaan shayad monu se sawaal kar raha tha ki meri jagah tumane kisi aur ko kyu de di. kya mujhpe bharosa nahi tha. mujhse ek baar dubara puchha to hota. tumase pahli mulaakat ke baad hi me din raat tumhe hi socha karta hu. aur tumane mujhe ek pal me paraya kar diya "
kuch palo ke baad fir se hasi majaak ka daur shuru ho gaya. raat ka khana bhi abhigyaan ki pasand ka hi bana tha. dinner ke baad abhigyaan kavitaaji ke hath ke bane khaane ka kayal ho gaya. raat ke 10 baj chuke the. dipanker t.v dekh raha tha aur kavitaji chhat per tahal rahi thi . wahi per abhigyaan bhi aa gaya usane dekha ki kavitaaji thoda sa thak jaane ke baad aaram kursi per baith kar aasmaan ko dekh rahi thi. abhigyaan aas aaker wahi baith gaya aur apna sar kavitaaji ki goad me rakh diya. raat kaafi andhiyaari thi. kavitaaji abhigyaan ke ser per hath ferane lagi. to unhe laga ki abhigyaan kisi baat se bahut jyada udaas he to unhone puchha .
" kya hua he mere bachche ko ??????
itana udaas kyu he ?"
abhigyaan rone laga to kavitaaji ko uski hichakiya sunaai di . unhone abhigyaan ki peeth per pyar se hath ferate hue kaha,
" kya baat he abhigyaan? mujhe nahi bataoge. me tumhari bhi to maa hu..??
abhigyaan ka rona kuch aur tej ho gaya. to kavitaji kursi se khadi hui aur farsh per baith gayi. abhigyaan unki goad me sar rakhker beintahaa roye ja raha tha. usase chupaate hue kavitaji boli,
" monu se pyar ho gaya he tujhe. yahi baat he na ????"
abhigyaan ne achaanak se asr uthaaker kavitaji ki aankho me dekha,
kavita ji ne fir se wahi sawaal dohra diya,
" bol.......
yahi baat he na. tujhe mera monu pasand he "
abhigyaan ne rote hue haa me sar hila diya . kavitaaji ki aaknho me ek chamak aa gayi. wo abhigyaan ko dulaarate hue boli,
" tu aur monu dono ek dusre ko pasand karte ho per kahna koi nahi chahata. me tum dono ki aankho me wo pyar dekh chuki hu.
arey pagle isame rone ki kyaa baat. ye to khush hone ki baat he. jaa use apne dil ki baat kah de. wese bhi tu bada he umr me usase to pahal tujhe hi karni chahiye."
abhigyaan ka rona achaanak se band ho gaya aur wo sawaaliya najaro se kavitaji ke chahre ko dekhate hue bola,
" per monu ne to mujhe kaha tha ki usane aur aapne koi ladka pasand kar liya he ?????"
kaviitaji muskuraate hue boli,
" arey buddhu tujhse milane ke baad se hi monu tujhe chahne laga he aur me apne bete ka man achchi tarah se pad chuki hu. wo aaj bhi sirf tujhe chahta he. aur wo jis ladke ki baat kar raha he wo tu hi he."
abhigyaan khushi se pagal sa ho gaya. wo kavitaaji ke seene se lipatate hue bola,
" maa aap sach kah rahi he ???'"
kaviaaji thode se banawati gusse me boli,
" haa abhi tak to yahi sach he lekin aaj agar tune monu ko apne dil ki baat nahi batai to me sach koi aur ladka dundhna shuru kar dungi "
abhigyaan monu ke kamre ki taraf daud gaya. ab usase bhi intejaar nahi ho raha tha. monu ke kamre ka door open tha. ander sirf ek table lamp jal raha tha aur monu us roshani me kuch pad raha tha uski peeth door ki taraf thi. abhigyaan chupke se aage bada aur monu ke behad kareeb aa gaya to usane dekha ki monu ki aankhe bhi aanshuo se bhari hui thi. sisikiya itani maddham thi ki bade dhyaan se hi suni jaa sakti thi. monu is baat se bahut dukhi tha ki kal abhigyaan hamesa ke liye usaki aankho se dur ho jaayega. aur wo use roke bhi to kis hak se. jab wo khud hi is riste ko na kah chuka he.
abhigyaan ne monu ke kaan ke paas aate hue kaha,'" mujhe maalum nahi tha ki police waale bhi rote he ???? wese tumhe dhang se rona bhi nahi aata "
abhigyaan ki aawaj sunate hi monu ek dam se chaunk gaya. dono ke chehre aamane saamane the. abhigyaan ne apne hatho se mnou ke aanshu ponchate hue kaha,
" mujhe aunty ne sab bata diya he . ki tum dipaanker se bahut pyar karne lage ho. mujhe pahle kyu nahi bataya .??
me baat karunga dipaanker se . ""
monu ne achaanak se baat katate hue bola,
" me dipaanker se pyar nahi karta me to tumse ......"
itana kahte hue monu ki awwaj rundh gayi. kuch kaha nahi ja raha tha usase. abhigyaan ne usase khicher apne seene se laga liya aur monu ke gaalo ko chumate hue kaha,
" I LOVE U MONU. "
monu ye shabd sunate hi abhigyaan ki baanho me bilakhane laga. abhigyaan use chume jaa raha tha aur monu roye ja raha tha. abhigyaan ne baat aage badaate hue kaha,
" ab to ham ek dusre ke ho gaye he ab kyu ro rahe ho monu ????
me ab sirf tumhara hu......
aur tumhara hi rahunga "
monu ne apne aanshu ponchate hue kaha,
" aaj kai saalo baad mujhe wo sukun mila he jiski mujhe jaane kab se talaash thi. pahle ye der tha ki mere gay hone ke baare me log jab sunenge to kya hoga. maa papa kya kahenge ??
fir darta tha ki itani badi dunia me kya mujhe esa jeevan sathi milega jo mujhe samajh paaye. mujhe jindgibher apne pyaar ke saaye me chhupaaye rakkhe. abhigyaan tum nahi jaante. me ander se kitana tut chuka tha. agar maa ne mera sath nahi diya hota to jaane meri kya haalat hoti. tumhe meri jindgi me laane waali meri maa hi he. aap mujhe mahsus hua he ki gay ladko ko apni family ke support ki kitani jarurat hoti.meri maa ne mujhe barbaad hone se bachaa liya."
abhigyaan monu ko chumate hue bola,
" wo aaj se meri bhi maa he. aur sach kahu to tumhe samjhane me maa ne mujhe badi help ki he. warna ham milker bhi mil nahi paate...
kher jo hua bahut achcha hua. ab so jao mujhe subah delhi jana he."
monu ne abhigyaan ko apne baajuo me uthaaker bed per patakte hue kaha,
" ese nahi jaa sakte. bachcha bhukhaa he use kuch khaane ko chahhiye....."
abhigyaan ne apni baajuye monu ke kandhe per daalte hue kaha,
" achche bachche jid nahi karte. abhi naasta hi milega full diet shaadi ke baad ."
itana kahker abhigyaan ne monu ko apne seene se laga liya. monu ese behave kar raha tha jese kisi bachche ko usaki sabse pyaari cheej mil gayi ho. monu ne abhigyaan ki neck per ek love bite dete hue kaha,
" ek baat hamesa yaad rakhna abhigyaan. monu tumhaare pyar ka bahut bhukha he . use jyada intejaar mat karwana. "
abhigyaan ne monu ki aankho ko chumate hue kaha,
" mujhe pata he monu. me bhi utana hi baichain hu jitana tum. aaj ki raat hamaari imtihaan ki raat he dekhate hamare ander kitana sabr he. "
aur hua bhi esa hi abhigyaan aur monu us raat kissing se aage nahi bade. agli subah abhigyaan delhi wapas chala gaya.
_______________________ last part-6 ________________________________
abhigyaan ke delhi jaane ke baad kavitaji ko laga ki ab monu ke dad se abhigyaan aur monu ke ristey ki baat karna jaruri ho gaya he. to ek din mauka dekhker unhone baldevji se jikr ched diya,
" suniyeji...........
ab gussa thook dijiye. jesa bhi he monu apna eklauta beta he. aur gay wo apni marji se to bana nahi he na. jesa bhagwaan ne use banaakar bheja he hame use wesa hi kubul karna chahiye.
aap agar is baat ko jayda tul denge to mujhe dar he ki kahi ham apna beta hamesa ke liye na kho de... :(( "
itana kahte hue kavitaji emotional ho gayi. baldevji ne unhe sambhaalate hue kaha,
" kavita mene is baare me bahut socha . bahut pada . aur me is natije per pahuncha hu ki tum sahi kah rahi ho. hame apne bachche ko agar apni aankho ke saamane rakhana he to uske sexual orientation ke sath swikaar karna padega.
kavita.....
meri neend kai baar raat me khul jaati he to sochata hu ki is budaape me monu ke bina kese jee paunga. ye samaaj aur society mere dard ko kabhi nahi samjh paayegi. haa me ye bhi mahsus karta hu ki society is ristey ko itani aasani se accept nahi karegi lekin kisi na kisi ko to pahla kadam uthana hi padega. aur me nahi chahta ki mera beta mujhe ek kaayar samjhe. isaliye aaj se me apne bete ke sath hu.... :)) "
baldevji ki baato ne kavitaaji ke murjhaaye chehre per muskuraahat ki roshani bikher di. wo rote rote has padi. dosto is dunia me ese kaun maa baap honge jo apne bachcho ko khona chahenge.
kavitaji aur baldevji ne bhi wahi kiya.
baldevji ki rajaamandi ke baad kavitaji ne abhigyaan ke ristey ki baat ched di. to baldevji chaunk gaye aur agale hi pal khush hote hue bole.
" kavita jo jimmedaari mujhe puri karni chahhiye thi wo tumane puri karke mujhe bahut bada sabak diya he . wese abhigyaan se mulaakat kab ho sakegi ??"
kavitaji ne apna mobile nikala aur monu ka no. lagaya aur use turant ghar bulwa bhega. 30 minute me monu ki jipsy bunglow ke baahar aakar khadi ho gayi. monu maa ke paas aaya to dekha ki papa bhi wahi baithe he. use laga ki aaj koi bahut serios baat hogi shayad.
kavitaji ne monu ko apne paas bulaate hue kaha,
" monu ........
tumhaare papa tumse kuch kahna chahte he ...."
monu ka dil joro se dhadak raha tha. use maalum tha ki papa aaj fir usake sath sakhti se pesh aayenge. wo apne dil ko majboot karke papa ki taraf bada.
baldevji ne bhi apne kadam monu ki taraf badaaye..
kuch pal ki khaamoshi ke baad baldevji bahut jyada emotional hokar bole,
" monu mene tujhe peechhale dino jo bhi gussa kiya tujhe ulta seedha kaha us sab ko bhool ja aur ek baat kaan khol ke sun le. mujhme ab itani taakat nahi rahi ki is budaape me apne bete ki judaai ka dard jhel saku. mene jo kaha wo ek baap hone ke naate kaha tha aur aaj bhi ek baap hone ke naate kah raha hu. tu jesa he mujhe wesa hi manjur he.
bas mujhse ek vaada kar ki kabhi mujhe chorkar nahi jaayega "
itana kahte kahte baldevji foot footkar ro pade. monu ne aage badkar papa ko gale laga liya.. wo bhi rone laga . aaj monu bahut khush tha use apne papa wapas mil gaye the. wo papa ke gale lagta hua bola.,
" aapne esa kyu socha ki me aapko chorkar chala jaaunga ....??"
baldevji rote hue bole,
" us din jab mene tujhe daanta tha to tune kaha nahi tha i me chala jaaunga"
monu pita ko apni baanho me kaste hue bola,
" nahi papa ......
wo to me gusse me bol gaya tha. aap aur maa ke alaawa mera is dunia me aur he hi kaun.
mene hamesa aapki aankho ke saamane rahunga "
aaj bahut khaash din tha . kavitaji, baldevji aur monu ke liye. aaj ye pariwaar fir se ek ho gaya tha. raat ko ye khushkhabri monu ne abhigyaan ko dene ke liye usake no. per call kiya to udhar se dipaanker ne phone uthaate hue kaha,
" monu...
abhigyaan ko bukhaar aa raha he isaliye mene dawaa dekar sula diya he. wese ek baat kahu ab use akela mat choro. uski saari bimaari uska akelapan he. aur khud ka khayal na rakhana. tumhare sath rahta he to esa lagta he mera dost fir se jeene laga he . uska kaam uski jaan ka dusman ban jaaye isase pahle tum use apna banaker yaha se le jao..."
dipaanker se baat karrne ke baad monu maa ke paas daudkar gaya aur unhe saari baat bata di. agle din hi monu aur usake maa baap delhi nikal gaye abhigyaan se milane ....
waha pahuchate hi monu abhigyaan ke room ki taraf bhaga. usane dekha abhigyaan bed per leta hau tha. monu ko dekhte hi uske chehre per chamak laut aayi. monu ne abhigyaan ko apni baanho me bharte hue use chumana shuru kar diya. abhigyaan ne bhi kiss karna shuru kar diya jono ek dusre ko beintehaa pyar kiye ja rahe the. fir kuch der baad abhigyaan muskuraate hue bola,
" ab bas kar monu. warna maleria to theek ho jaayega lekin laveria ho jaayega mujhe.
hehehehehheheheehhh ........... "
monu use chumate hue bola,
" wo to ho chuka he ham dono ko...."
monu ne jab kaha ki papa bhi aaye he milane to abhigyaan behad khush hua. wo milana chah raha tha per weekness ki wajah se usase khada nahi hua ja raha tha. to monu ne use apni peeth per utha liya aur usake dono per apni kamar ke ird gird hatho se ese pakad liye jese chhota bachcha ho. abhigyaan ne use rokana bhi chaha per monu kaha uski suanane wala tha. monu abhigyaan ko lekar maa aur papa ke saamane lekar aa gaya. abhigyaan ko dekhate hi kavitaji fikrmand ho gayi. aur bol padi,
" arey ek haftey me kitana dubala ho gaya he mera bachcha. idhar aa mera paas
aaja mere bachche.........."
monu ne abhigyaan ko kavitaji ke bagal me sofa per baitha diya to kavitaaji ne abhigyaan ko apne seene se laga liya, abhigyaan ne baldevji ko namastey kiya.
maa ke aanchal me aate hi abhigyaan ka bukhaar kamjor ho gaya. abhigyaan kavitaji ke pallu ke saaye me let gaya . baldevji uthkar abhigyaan ke paas aaye aur usake sar per hath ferate hue bole,
" beta .....
ab tumhe yaha akela nahi chorenge ham. ab tum hamari family ka hissa ho tumhe hamare sath gwalior chalna padega. "
abhigyaan ne maa ke aanchal se baldevji ki taraf dekha, use baldevji ki aankho me aaj apne pita dikhaayi de rahe the. wo baldevi ko dekhker muskuraate hue bola,
" haa papa........
ab mujhse bhi akele nahi jiya jata. mujhe bhi aap sab ka pyar chahiye. "
dipaanker ne baat katate hue kaha,
" aur me kya tera dushman hu jo mujhe chor ke jaayega ...??? :P:P "
dipaanker ki baat per sab log has pade. kuch der baate karne ke baad dipanker sab logo ko unke room tak chorkar aaya. abhigyaan ko apni goad me uthaakr monu room tak le gaya. monu ne change kiya aur aakar abhigyaan ke paas let gaya. abhigyaan ne apna sar monu ke seene per rakh liya. monu ne abhigyaan ka badan chhua jo buri tarah bukhaar se tap raha tha. jabki monu ka jism ekdam thanda rakha tha. abhigyaan ko monu ka spersh bahut thanda aur achcha laga. monu ne bhi ye mahsus kiya ki abhigyaan ko isase raahat mil rahi he. to usane apne badan se saare kapade alag kar diye. aur abhigyaan ke jism per to pahle se hi sirf ek undi thi.monu ne abhigyaan ko apne uper leta liya . do jawaan jism itane kareeb the fir bhi aaj unke ander se vaasana ki aag nahi balki pyaar ki bauchaar bahar aa rahi thi. abhigyaan ne monu ke jism ke har ang se apna ang chapet liya tha. use bahut thandak mil rahi thi. monu abhigyaan ke jalate badan ki garmi ko pyar ka prasad samjh kar pee gaya tha. kareeb 1 ghante baad abhigyaan ko neend aa gayi fir bhi monu raat bhar wese hi leta raha abhigyaan ko baanho me liye. subah jab abhigyaan ki neend khuli to usane dekha ki monu use apni baajuo me kase hue leta tha. use kal raat ki saari baate yaad aa gayi. uski aankho se aanshu baras pade. ek do aanshu jab monu ke seene per pade to monu bhadbhadaakar uth gaya aur pareshaan hokar abhigyaan ka matha chhukar dekhate hue bola.,
" tum theek ho na abhigyaan ???"""
abhigyaan rote hue bola,
" me to theek hu per mujhe itana pyar doge to me sach me kahi pagal na ho jaau. mene sapne me bhi nahi socha tha monu ki tum jesa jeevansathi meri jindgi me aayega. tumane meri jindgi ki har kami ko pura kar diya.
I LOVE U MONU. "
monu abhigyaan ke aanshu ponchate hue bola,
" mene wahi kiya jo jeevansathi ek dusre ke liye karte he. ab ham do kaha rahe he ab to ham ek he .....
hai na ???
abhigyaan muskuraate hue bol pada ,
" haa ab se ham ek he "
kuch dino baad abhigyaan monu ki family ke sath gwalior hi aa gaya. usane apna business yahi shuru kar diya tha. ek bahut hi saade prograame me monu aur abhigyaan ki shaadi ek mandir me karwa di gayi. monu aur abhigyaan aaj kavitaji aur baldevji ke sath ek khushhaal life jee rahe he. lekin samaaj me abhi bhi kuch log cmmt paas kiye bina nahi maante. per baldevji aur unke pariwaar ne ab is sab ki perwaah karna chod diya he. ab is kahani ko yahi viraam deta hu. wese dosto ek baat kahu shayad aapko bharosa ho na ho jab bhi me koi kahani likhata hu to me us story ke characters se bahut attach ho jata hu. kahani ke khatm hote hote wo characters mere dost ban jaate he. unhe alvida kahne me badi taklif hoti he. per yahi to jindgi he.
chalte rahna
chalte rahna
aur bas chalte rahna..............
_______________ samaapt_____________________________