1 Zindagi ka sach:-

Rah me chalte chalte na jane kitne logon se milte hai roj , kuch yaad rah jate hai or kuch ko hum bhool jate hai . Ek din aise hi zindagi ke rasto pr ek musafir mila jiska naam sach tha , ** meine use suna or samjha to accha lga or meine socha ki ab use apna humsafar bna lena cahiye .

Mein khush thi ki ek sathi mil gya hai , ab har ek rah me wo mujhe hosla dega .

** ek bar kisi galti pr mujhe punishment milne wali thi to maine socha ki sach ka sath lekar dekhti hun or mujhe sach ka sath mila or meine sb sach sach bta diya , thodi si udasi or aansuyon ke sath mein akeli khadi thi , pta hai kyun , kyunki is jahan me sabko sach to sunna hai, pr bardast nhi kar pate .

Pr meine aaj tak sach ka sath nhi choda hai,

Mera aisa manna hai ki beshak punishment mile ya ladai jhadgda ho pr sach bolna cahiye , aaj agr mein kabhi bhi kisi apne ko jhooth bolne ki kosish krti hun ya bol deti hun to mujhe bahot azeeb si ghutan hone lagti hai , or fir bad me mein sach bol hi deti hun , mein sach se door nhi rah pati ...

Zindagi ka humsafar sach bahot kadwa hai pr saccha hai ...

avataravatar