1 Benaam pyaar!

"Kaise mujhe tum mil gyi, kismat pe aaye na yakeen.." Radio pe gaana sunte sunte chai ki chuski le hi raha tha ki mere saamne se wo gujari. Nasheeli aankhein, ghunghrale kaale baal, gora rang aur us par wo makhmal ka kurta, maano uski sundarta ko chaar chaand laga raha ho. Shayad khi ja rhi thi, bahut tezi me thi, aur mera waqt jaise whi thehar gaya.

Pure din mai bas uske hi khayalo me tha, ki agle din wo phir mujhe usi jagah mili, bahut pareshan thi. Aaj uski aankho me kuch nami thi. Wo bhi usi chai ki tapri ke pass aayi aur ek cutting chai order karke mere baju me baith gyi. Mai use dekhta raha par phir Kuch himmat juta kar maine ise puch hi liya, pareshan ho? Uski aankhein maano mujhse sawal kar rhi ho, han hu par tum kaun ho. Isse pehle ki wo kuch bol paati, maine use bola, ek dost samaj kar na sahi, insaaniyat ke khatir hi bata do, kya hua.

Dheeme swar me usne kaha, mera dost bahut beemar hai, najane kab antim ghadi aajaye. Mai use dekhta raha aur uski aankho se beshumar aanshu behate rahe. Itne me use ek call aaya aur wo bhaag kar chali gyi.

Agle din mai phir usi jagah intezaar karta raha, par wo nahi aayi. Dekhte dekhte, hafto nikal gaye, par na mera intezaar khatam hua na hi usko chod jane ka man kiya. Do hafto baad, wo phir aayi, mera chehra maano chamak sa gaya. Jaat pata na naam pata, par yeh ehsaas pyaar ka tha, yeh jarur pata tha. Aisa pyar jo badale me shayad kuch haansil bhi na kar paaye, bas ek sukoon tha.

Wo aakar behti mere saath, maine dheere se pucha, kaisa hai tumhara dost? Wo chup rahi, mere phir puchne par wo mere kandhe par sir rakh kar phoot phoot kar rone lagi. Rote hue hi boli, wo chala gya. Mujhe yahan akela chod kar, humesha ke liye chala gaya.

Aisa laga mano waqt wahi ruk gya, mai sambhalu bhi toh kaise. Maine kaha, mai hu na, tum akele kahan ho? Usne apna sir uthaya aur meri aankho me dekhne lagi. Shayad maine bahut jaldi kar di, par mera pyaar galat nahi tha.

Wo roz wahi mujhe milti aur hum dhero baate karte. Aksar wo uski baate kiya karti thi, wo aisa tha, aise rehta tha aur na jaane kya kya. Din aise hi nikalte gaye aur shaame dhalti rahi. Na naam pta tha aur na jaat, na thikana pata tha, na hi baat karne ka sadhan. Bas ek hi cheez thi, roz mulakat karne ka junoon tha.

Phir achanak kuch din wo nahi aayi. Mai bechain hogya tha. Socha kaise milu usse. Kya kru? Hafte guzar gye, phir bhi wo na aayi. Dil roya, kaash bata deta use, kitni mohabbat karta hu usse, kitni parwaah karta hu uski, dil jaise toot sa gya tha.

Achanak fir ek din wo dikhi, par is baar, kisi ke saath, maang me Sindoor, aur hatho me chudiya. Aj makhmal ka kurta nahi, ek saree lapete thi wo, aur aa kar mere gale lag gayi. Maine usse pucha, kya hua, wo boli, mere gharwalo ne meri shadi karwa di, ladka acha hai. Par mai use bhool nahi paayi hu. Mai yeh sahar chod kar bhi ja rhi hu, aur shayad kabhi wapas nahi aaungi. Yeh sun kar jaise ek sadma sa lag gaya. Wo pyaar ek tarfa ban kar mere andar hi mar gya. Kabhi bol hi nahi paaya, mai hu tumhare saath, tumhe pyar dene ke liye.

Na mai pehle bol paaya, na ab, aur wo chali ja rhi thi mujhse bahut dur. Bas aise hi katal hogya mere is benaamse pyaar ka.

avataravatar