1 Rising of The Alien kid

PART-1 EPISODE-1

# Rising of Alien The kid

short disruption:- The Alien kid is coming from to the  future to save our Earth from Dogma.Dogma is Villain of our story...Dogma want to kill all humans and also want to dig out all uranium from the Earth.And make a time broker machine.

can alien kid save the Earth…? You wanted to know Then read our all the episodes of The Alien kid..

 ☆ Main characters

 Alien kid -Alien kid Future Se Human beings ko Bacchne Aata hain.Wah dikhne me human's jesa hi hain par uski chamdi nile rang ki hai...

Dogma - Dogma ke bare me jada jankari { जानकारी } toh nhi hain..Par wah  ensano { इंसानो } ko Marna chahta hain Aur wah dharti { धरती } me chupa huaa Uranium ko apne sath le jana chahta hain.Jisse wah  Time brackar Machine { टाइम ब्रकर मशीन } bana sake Aur pure time Aur space me Raaz kar sake...

Scientist - Ek Scientist jo bahut Amir hone ke bad bhi  Apni Jindgi ko science ke naam Kar…nai khoje karne me jut jata hain...Aur Unka Pura naam Professor Serious Walt hain…

William Scott -  Ek esa ladka jiski Science Me bahut Ruchi rahti hain Par 10 Saal ki Umar me uske Mata ji Aur Pita ji ke gujar jane ke bad uska koi sahara na rhta h wah apna kharcha logo ke gharo me chote - mote  gadget ko thik kar nikal leta tha Aur kuch amdani bachke wah Professor Serious Walt ki books padta tha jo bahut kam Dam me milti thi..

Ryan -Ryan ek ladka jiske bal thode se sunhere Aur thode se kale hain.. Aur uska Rang thoda sa gehuwah { गेहुव्ह } hain.Uski Aankhon me ek bada sa chashma bhi laga hain...Aur wah  har wakt apne sath ek locket { लॉकेट } rakhta hai...

Kristin - Ek simple ladki hain jo dikhne me madhiyam { मधियं }rup-rang ki hain.uski Ankhen bahut khubshurat Aur badi hain..Aur wah ek topi jesa kuch pehenti hain...Aur wah  Ryan se 5 saal se gopniya tarike se Mohabbat karti hain..

Myles - Ek Gora sa ladka jiske Saped Baal hain Aur usse chess ka bahut shok hota hain Aur wah  Ryan ka priy mitra { प्रिय मित्र } hain...

 

Page-1

{ year 3018 }

Scene  1:-  

                    {    Charo tarf afra-tafri { अफरा - तफरी } machi hui thi.....tabhi ek rocket Sapce ki Aur Jate Hue Dikhai deta hain. Ek Ajeeb sa Hare Rang ka haath Ek Lal Rang ke button ko dabateh Hue dikhta hain..dekhte hi dekhte charo Aur zehreeli gas fel Jati hain Aur log marne lagte hain..

Tabhi waha ek scientist sabki jaan bachata hain Aur uska naam hain prof. Serious Walt wah  Dogma par kabse nazar rakhe hue the.Aur wah dogma ki Sachai ke bare me sab ko btane ki koshish karta hain par uski bat koi nahi manta hain.

wah dogma ke bare me Aur kai science se judi batoh par research kar un batoh par kitabe likha karte hain...Unhone is din ke liye ek banker bhi banwaya tha Aur usme khana bhi jama karta tha wah dharti par bache hue kuch logo ko jama kar unko bachte huye banker me le jata hain...sab banker me chale jate hain..Serious Walt Sab ko Dekhta hain Aur botla hain.. }

 

Serious walt (ghusse se)  - dekha mene bola tha na...Us wakt koi mera yakin nahi kar rha tha...aab dekha kya ho gya…

{Sab Niche Muh kar ke Khade rahte hain..Phir Un Sab ke Bichme se Ek Ladka Aata hain Aur bolta hain…}

Ladka- Sir hum Sab ko maf Kar dijiye...Hum Sab se Bhul Ho gya….

{ Serious pass me rakhi Kursi par bethe hue..}

Serious walt ( Shant ho kar ) - thik hain….

{Ladka bhi unke pass kursi par beth jata hain Aur thoda ruk kar bolta hain}

Ladka - Sukariya sir…...Sir aab aap Yaha se Bachne Ka koi Rasta Bataiye…

{Serious Ladke ki tarf ghusse se dekhte hain.Ladka ghabra jata hain Aur ghabrate hue bolta hain...}

Ladka - are wo lisliye kyo ki yaha Etna kam khana Aur pani hain ki ye doh din bhi nahi chalega….

{Serious ka ghussa thoda kam hota hain Aur wah  ladke se Sehmat ho kar bolte hain…}

Serious Walt (Sahmati se) - tum theek keh rahe ho MR.aaaa..

{ LADKA apna naam jaldi se batata hain…}

Ladka (jaldi se )- sir William Scott….

{ Serious thoda Ashchariya (आश्चरिया) se Aur thodi si smile dete hue…}

Serious Walt ( khushi se ) - Mr. William Scott...

kya me tumhe Willi bula sakta hu?

 

{ Willi khush ho kar }

William Scott - ji bilkul sir…. sir kya koi Rasta hain?

{ Serious Apne ek hath ko hoth par rakhte hue khuch sochte hain Aur bolte hain… }

serious Walt ( Sochte hue )  - hmmm ek rasta toh hain…

{ willi khush ho kar Aur jaldi se bolta hain… }

Willi (khusi se ) - sir kya...

{ Serious khade hote hain Aur ek kamre ki Aur jane lagte hain Aur willi bhi unke piche jane lagta hain phir wah  ek digital poster main solar system bolte hain Aur Asteroid belt ki aur ishara karte hain Aur bolte hain… }

Serious Walt -  Willi kya tumne kabhi notice kiya hain...ki jupiter Aur Mars ke bich Jo  Asteroid belt hain wah kyo hain…

{ willi kuch samay sochta hain phir bolta hain… }

Willi - Ha Sir Par Alag tarike se..

{ Serious man (मन) me sochte hain "kya alag tarika?" phir bolte hain…}

Serious Walt ( ashchariy se)- kya! alag Tarike se Kese? Main Samjha nahi..

{ Willi thoda Sa sharmata hain Aur Haste hue bolta hain… }

Willi (Haste hue) - Sir mene aap ki sari book padi hain…

 { Serious khush ho kar bolte hain..}

Serious Walt - Oo.. Matlab tum meri Sari book padte ho?

{ Willi apne muh ko jhukata hain Aur bolta hain… }

Willi - Sir lag-bhag Sari...

{ Serious apne sir ko hilate hue… }

Serious - Accha…! toh phir tum mujhe bhi Samjha Sakte ho…

{ willi apne sir ko hilate hue bolta hain…}

Willi - Ji Sir me batata hu…

{ Serious bolte hain..}

Serious - Toh der kis baat ki batao...

{ Phir Serious digital poster ke pass se hat jate hain Aur Willi aata hain Aur batane lagta hain…}

Willi - sir Suru karu…

Serious - haa bilkul karo..

{Willi bolne lagta hain..} 

Willi - Sir aapki book Aur classic Asteroid belt theory ke hisaab se jaha par aaj asteroid belt hain..Waha par 11,500 saal pehle do planet the jo sath me Suriya (सूर्या) ka chakar lagate the…

{Willi Serious ko dhayan se sunte dekh Ghabra jata hain Aur bolta hain…}

Willi - Bas sir Ab aap batao…

Serious - thik hain willi me batata hu  toh kaha the..

Willi - Sir do planet chakar lagate the…

{Serious Hukara ( हुँकारा ) dete hue bolte hain...}

Serious - hmm...par willi wah kuch esi ghatan hui thi jo samjh ke pare hai…

Willi- Sir esa kya hua tha waha…

Serious- waha badi hi ajeeb or gareeb tarike se ek or planet aaya tha or usme anjane tarike se dhamaka ho gya tha…or woh bada wala planet apna rashta badal kar suriya ka chakar niche se upar ki tarf andakar me lagana suru kar deta hain or har 6,000 sal me ek bar 1000 sal ke liye  dharti ke pass aata hai…

Willi- par sir mera ek sawal hai?

Serious - Me janta hu willi tum yeh soch rahe ho ki itne bade dhamake me bade planet ko kyo kuch nahi hua hena…

Willi- ha sir esa kyo?

Serious - Willi me bhi yehi khoj rha hu par mujhe bhi kuch nahi malum eske bare me par etna janta hu ki sayad ek alokik sakti ne yaah us planet ne khud hi apni rakcha ki hain…

Willi- Par sir ese hum kese bachege?

Serious - Willi hum un Alien se contact karege…

Willi - Mtlb Sir waha jeevan hain…

Serious - haa wili haa..Prachin Antriksh wichar batate hain k ki us planet par jeevan hain…

Willi - Toh sir der kiss bat ki...ham karte hain na kuch…

Serious - Par willi hum unse contact kaise kare ge...

{ Willi kuch sochta hain Aur ek dam se Bolta hain…}

Willi - Sir...

           Mere pass ek tarika hain…

{ Serious khush ho kar bolte hain… }

Serious - Kya tarika hain willi…

{ willi kuch nahi bolta hain Aur niche muh karke beth jata hain…}

Serious - jaldi bolo willi Hamare paas time nahi hain…

Willi - Sir…

Serious - haa bolo Willi…

{ Willi dukhi ho kar bolta hain…}

Willi - Mujhe yaha se bahar jana hoga...kyoki meri lab main 1 EMR contacting machine Rakhi Hui hain..

Jis ki madad Se Hum alien se contact kar sakta hain..

{ Serious dukhi ho kar bolte hain…}

Serious - main tumhe nahi Jaane Dunga willi…

Willi - sir Mujhe jaana hi hoga. Humanity ke Khatiya…

{ Serious dil par fattar {फत्तर} rakhte hue pass me rakha huaa helmet willi ko Dete hain aur bolte hain…}

Serious - Willi ye Oxo hell 15 hain esse tumhe zehreeli gas ko oxygen main badalne ki sahuliyat {सहूलियत } milegi...Par tumhe jaldi karna hoga.kyoki ye Sirf CO2 ko hi oxygen me badta hain Aur aniya { अन्या } gases ko 15 minute Tak hi oxygen me badal sakta hain…

Willi - Shukriya sir…

{ Serious apne Ashu ko chup Aate huye Willi ko bolte hain }

Serious - ab jao bhi Hero.Humanity ko bachana nahi hain kya..

{ Willi ke aankhon mein bhi aansu aa jate hain...dono ko dekh kar esa lag rha tha ki dono barso purane dost hain.

phir Willi helmet ko pehen ke bahar chala jata hain.bahar charo Aur kale badal Aur andhera tha...Aur har jagah ensano ki shadi hui lashe padi thi etne me willi ko apna dog tadpta huaa dikhta hain Willi usse bhul kar apni lab me jata hain.Aur Wah padi machine utha leta hain bas 1 min bachta hain wah  banker ke gate tak pahuch jata hain par achank se willi ke piche se tez roshni aati hain Aur willi raakh me badal jata hain Serious yah dekh kar heran ho jate Aur wah waha rakha ek Aur helmate pehen kar machine lete hue aandar chale jate hain kyoki wah willi ki humanity wali baat se bahut prabhavit hote...} 

NEXT DAY (अगले दिन )

{ Serious raat bar se alien se contact karne ki koshish kar rahe the par koi reply nahi aaya sab himat har chuke the par Serious har nahi maan rhe the wah  EMR wave Antriksh ki Aur chode ja rhe the koi replay nahi aa rha tha.wah bhi himat har ne ki kagar par the }

avataravatar
Next chapter