6 Gehri Dosti.

Kisi bhi dosti ko gehri hone me wakt to lagta hi hai. Ab agr atut vishvas vali gehri dosti chahiye or atut pyar chahiye to zahir si baat hai wakt to lagega hi. Khushi or sahil ki dosti ko gehri hone me bhi bohot wakt laga. Sahil har roz khushi ko milne uske college aya karta tha. Vo dono ek dusre ke sath beth kar ghanto baatein kiya karte the. In baaton se sahil or khushi ek dusre ke kreeb aane lage. Magar fir kuch aisa hua jis se khushi or sahil dono door rehne lage. College ke shurvati dino me khushi ke bohot sare nae friends bne. Khushi sabse ache se baat karti thi. Magr sahil ko ye baat achi nhi lagi. Sahil khushi ko ye baat nhi btata tha k use ye sab acha nhi lagta. Kuki sahil ke man me khushi ko khone ka darr tha. Sahil khushi ki bohot care karta tha. Vo khushi ko hmesha khush dekhna chahta tha. Sahil khushi ko hmesha samjhata tha ke uske liye kya acha hai or kya bura hai. Magar khushi hmesha dil se sochti thi. Khushi sahil ki kuch baaton par gussa bhi ho jati thi. Jiski vjha se khushi or sahil ka jhagda ho jata tha. Ab jaha pyar hota hai vaha jhagda to hota hi hai. Par baad me khushi ko ye samjh ata tha ke sahil uske liye hmesha se shi hi bolta rha hai. Khushi ke nae friends ke aane par sahil or khushi ab bohot kam milne lage. Ab unki baatein bhi bohot kam hone lagi. Sahil or khushi dono ka hi ek dusre ke bina dil nhi lagta tha. Magr kya kare hai to dono hi ziddi the. Ek din aisa aya jaha ek vjha se khushi ne uske sare nae dosto se milna chod diya or vo sahil ke sath rehne lagi. Ab sahil or khushi dono akele sath sath rehne lge. Jise dekh kar kai log sahil or khushi se jalne lge. Sahil khushi se bohot pyar karne lga tha. Vo khushi ke liye kuch bhi kar sakta tha. Sahil khushi ko bohot khush rkhta or uski bohot prvah karta tha. Sahil or khushi ki dosti ab bohot gehri ho chuki thi. Sahil ab smjh chuka tha ke khushi us par ab bohot vishvas karne lagi hai. Sahil ko ye ehsaas hua ke ab khushi se kuch chupana nhi chahiye. Sahil ne socha ke ab khushi ko vo raaz ki baat bta deni chahiye.

avataravatar
Next chapter