webnovel

Pyar Aur Paisa - Mohaabbat ki pyari si kahani

Hello Friends, Aaj Main Aapko Apni Friend Aayat Ki Love Story Batana Chahti Hun.

Friends Mera Manna Hai Agar Aapko Kisi Se Saccha Pyar Hai To Please Uski Financial Condition Mat Dekhna Fir Chahe Aap Ladke Ho Ya Ladki Kyuki Financial Condition Badal Jati Hai Lekin Saccha Pyar Har Kisi Ko Nahi Milta Aur Agar Saccha Pyar Mil Raha Hai To Hum Uski Kadar Nahi Karte Aisa Hi Meri Friend Aayat Ne Kiya Vo Meri 1st Class Se Friend Hai Hum Donk Ek Duje ke Bina Bilkul Bhi Nahi Reh Sakte The. Agar Main College Nahi Jati Thi To Vo Bhi Nahi Jati Thi . Jo Dress Usne Khareedni Hoti Thi Mujhe Bhi Vo Hi Chahiye Hoti Thi Means Hum Dono Kuch Zyada Hi Close The. Bachpan Se Hi Aayat Ko Mehngi Mehngi Cheeze Acchi Lagti Thi Vo Paiso Ko Bahot Zyada Importance Deti Thi.

Dhire Dhire Hum Bade Hone Lage School Se College Mai Kab Aa Gaye Hame Pata Bhi Nahi Chala Vakt Furrrrr Se Nikal Gaya Tha . Lekin Aayat Ki Aadat Abhi Bhi Nahi Badli Thi Vo Class Ke Middle Class Ke Baccho Se Baat Tak Bhi Nahi Karti Thi. Maine Bahot Baar Chaha Ki Uski Ye Aadat Badal Jaye Lekin Vo Meri Har Baat Sunti Thi Sivaye Is Baat Ko Chhodkar. Duniya Main Paiso Se Zyada Pyar Zaroori Hota Hai Main Bhi Use Ye Baat Samjha Samjha Kar Haar Gayi Thi.

Hamari Class Mai Rehan Name Ka Ek Ladka Tha Jo Dekhne Mai Accha Tha But Vo Bhi Middle Class Family Se Belong Karta Tha Aur Vo Aayat Ko Like Karta Tha Lekin Usne Kabhi Aayat Ko Ye Baat Nahi Btayi Thi Mujhe Bhi Isliye Pata Tha Kyuki Rehan Ki Sister Hamari Friend Thi Aur Usi Ne Mujhe Bataya Tha Ki Rehan Aayat Ko Like Karta Hai. Lekin Uski Himmat Nahi Hoti Aayat Ko Batane Ki Kyuki Vo Darta Hai Kahin Aayat Uski Insult Na Karde. Lekin Izhar To Karna Hi Tha Agar Izhar Nahi Krega To Aayat Ko Kaise Pata Chalega Darr To Mujhe Bhi Tha Kyuki Main Aayat Ke Behavior Ko Janti Thi. Khair Maine Rehan Ki Sister Jiska Naam Zoya Tha Usko Samjhaya Ki Next Week College Mai Function Hai Tab Rehan Aayat Ko Bol Sakta Hai Tab Shayad Aayat Itna Mind Nw Kare Ayr Agar Uske Dil Mai Bhi Kuch Hai To Izhar Karde. Zoya Ne Mujhe Bhi Bola Ki Main Aayat Ko Bata Dun Lekin Maine Mana Kar Diya Kyuki Mujhe Kisi Ki Life Mai Interfere Karna Accha Nahi Lagta Sabki Apni Life Hoti Hai Sab Ko Pasand Na Pasand Karne Ka Apna Hakk Hota Hai. So Friends Rehan Ne Function Vale Din Aayat Ko Propose Karne Ka Faisla Kar Liya.

.

.

.

.

to be continued

Next chapter